New section

HowDoUDo

MPA (400+ posts)
Asslam o alaikum,

Aaj mujhey Tahir Aziz ki donon thread parh kar khiaal aya k kion na dukhi dilon, "naqam ashiqon" (baqool joker), zindgai k maslay masail mai mubtala logon k liye aik naye section bana di jaye jin main un ko apna dil halka karne, aur apne maslon par baat cheet karne ka moqa mil sake.
Iss section ka naam kuch yon hona chahiyeh "Personal life related issues".

Meri admin se guzarish hai, k meray mansoobay par ghoor kiya jaye. Aur main yeh bhi samjhta hoon k zindgi main sirf siasat hi nahin hoti, aur forum ke memebers ko aur mozo bhi diye jain jin par woh lar jaghar sakain ^^.

http://www.siasat.pk/forum/showthread.php?245087-پیار-کبھی-نہیں-مرتا-ہے

http://www.siasat.pk/forum/showthread.php?244713-ہے-دل-کو-تیری-آرزو،-پر-میں-تجھے-نہ-پا-سکوں

PS: to admin iss thread ka title "A section for personal issues" main change kiya ja sakta hai ?
 
Last edited:

Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Yaar main to apni Personal baatain apne Ghar walon se bhi Share nahi karta

main Sirf aur Sirf Allah se kehta hoon

meri aik Dost thi jis se main kehta tha lekin us ki Gardan main bhi ab bohut SARYA aa gaya hai lihaza sab se behtar hai Allah se hi keh diya jai

Yakeen karo , mujhe Personal hone se bohut Nafrat hai
 
Main kisi say zabardasti to nahin apni zati zindgi share karwa raha, laikin jo karna chahtay hain un k liye proper section ka mutalba kiya hai. Aur zaroori nahin ke personal batain sirf piyaar mohabbat se taaluq rakhti hon, aur bhi zindagi main bohot se issues hote hain, jaissay k nokri, kisi behroone mulk main settle hona ...

Aur jahan tak rahi baat personal hone ki, mujhey bhi personal hone se nafrat hai.
 
main ap ki thread ko samjha hoon aur aap ki is soch main koi burai nahi

main aap ki baat ko ghalat nahi keh raha hoon , sirf apni Rai de raha hoon

admin section banati hai to bana le mujhe koi ahtaraz nahi
 
HowDoUDo

MPA (400+ posts)
main ap ki thread ko samjha hoon aur aap ki is soch main koi burai nahi

main aap ki baat ko ghalat nahi keh raha hoon , sirf apni Rai de raha hoon

admin section banati hai to bana le mujhe koi ahtaraz nahi

Aap ko poora haq hai apni rae se agha karne ka,aur main iss baat ko bhi samjhta hoon k har koi apni zindgai share karna pasand nahin karta. Agar aap (ya or koi member) yeh samjhte hain k bilkul fazool suggestion hay to app keh sakte hain, mujhey bura nahin lgay ga.

Laikin agar aap ko koi aitraaz nahin to parho bismillah ^^
 
coolhaider

Minister (2k+ posts)
میری ایڈمن سے گزارش ہے ایک سیکشن "ضرورت رشتہ" کا بھی بنائیں کیوں کے میرے اور برکا
(bigsmile):Pجسے چھڑے اس فورم پر دن دہاڑے اور رات گئے یہاں دندناتے پھرتے ہیں بیشک رشتہ ہونے کی پر فیس بھی لے لیا کریں
 
HowDoUDo

MPA (400+ posts)
میری ایڈمن سے گزارش ہے ایک سیکشن "ضرورت رشتہ" کا بھی بنائیں کیوں کے میرے اور برکا
(bigsmile):Pجسے چھڑے اس فورم پر دن دہاڑے اور رات گئے یہاں دندناتے پھرتے ہیں بیشک رشتہ ہونے کی پر فیس بھی لے لیا کریں

Aap ne to admin ko rishton wali maasi hi bana diya ! Aur apne saath saath barca ko kiyon ghseet rahe ho, bhabhi ne parh liya na to us ko doosri aankh se bhi marhoom kar dain gi?:lol:
 
Last edited:

Tahir Aziz

Voter (50+ posts)
بھائی یہ تو آپ نے بہت اچھی تجویز دی، لیکن میں نے نوٹ کیا ہے کہ یہاں انسانوں سے زیادہ روبوٹس گھومتے پھررہے ہیں جن کے دل جذبات سے خالی ہیں، آپ میرے تھریڈ کو دیکھ لیں، اس میں زیادہ تر لوگوں نے آکر مذاق ہی اڑایا ہے۔ شاید محبت اس دنیا سے عنقا ہوتی جارہی ہے، رہ گئی ہے تو صرف حرص ، ہوس، لالچ، طمع اور خونریزی۔
 
Sadia Hashmi

Senator (1k+ posts)

Meri admin se guzarish hai, k meray mansoobay par ghoor kiya jaye. Aur main yeh bhi samjhta hoon k zindgi main sirf siasat hi nahin hoti, aur forum ke memebers ko aur mozo bhi diye jain jin par woh lar jaghar sakain ^^.

waisy tu muhaabat b siasat he hoti hy.....

'jo jeet gay tu kea kehna haary b baazi maat nahi'

Bhai aap hum sab k mazzaq dil par na lain, yeh forum siasat ko dedicate kiya gaya hai, aur jahan par har baat ko siasi zawiye se dekha jata hai. Aur members bhi in siasatdanon ki batain sun sun ke kuch un ki tarah ho gay hain.
Aur app ko bhi pata hai internet par bohot se log ulti seedhi kahanian bana kar post kar dete hain, to members iss tarah ki kahanion ko sacha manane main jhijhakte hain, opper se aap ko iss baat ka bhi indaza ho ga k pakistani kitna ziada ulti sidhi theories ko apnate hain, to yeh sab batain mila k apko hum ki hansi mazaq par inti twajah nahin deni chahiyeh.

Aur jahan tak meri tajweez ka muamla hai, agar aik aisi section bana di jaye, uss section main wohi loag post karain gay jin ko dishasbi ho gi. Iss tarah se app jesay members bhot say fazool kissam k mazzaq se bach paien gay.
 
Agar muhaabat pakistani siasat ki tarah hoti hay, to phir uhmari allah se yehi dua hai k humain iss say door rakhay. kion k iss mohabbat main lalach, corruption aur jhoot hi nazar ata hai ^^
 
Sadia Hashmi

Senator (1k+ posts)
Agar muhaabat pakistani siasat ki tarah hoti hay, to phir uhmari allah se yehi dua hai k humain iss say door rakhay. kion k iss mohabbat main lalach, corruption aur jhoot hi nazar ata hai ^^

mein ny pakistani siasat nae kaha...sirf siasat kaha hy,,,,apny dil ki baat kisi or say relate kar k na kaha karen....achi theory aisy galat ho jati hy...
 
HowDoUDo

MPA (400+ posts)
mein ny pakistani siasat nae kaha...sirf siasat kaha hy,,,,apny dil ki baat kisi or say relate kar k na kaha karen....achi theory aisy galat ho jati hy...

Aap bhi kissi ki general baat ko us k dil ki baat se na relate kiya karain.

Aur achi theories accurate bhi hoti hain, siasat ko bohot se angles say dekha ja sakta hai, precise kar detin kis zawiye ko par twajah dena chahti hain
 
Tahir Aziz

Voter (50+ posts)
Bhai aap hum sab k mazzaq dil par na lain, yeh forum siasat ko dedicate kiya gaya hai, aur jahan par har baat ko siasi zawiye se dekha jata hai. Aur members bhi in siasatdanon ki batain sun sun ke kuch un ki tarah ho gay hain.
Aur app ko bhi pata hai internet par bohot se log ulti seedhi kahanian bana kar post kar dete hain, to members iss tarah ki kahanion ko sacha manane main jhijhakte hain, opper se aap ko iss baat ka bhi indaza ho ga k pakistani kitna ziada ulti sidhi theories ko apnate hain, to yeh sab batain mila k apko hum ki hansi mazaq par inti twajah nahin deni chahiyeh.

Aur jahan tak meri tajweez ka muamla hai, agar aik aisi section bana di jaye, uss section main wohi loag post karain gay jin ko dishasbi ho gi. Iss tarah se app jesay members bhot say fazool kissam k mazzaq se bach paien gay.

بہت شکریہ بھائی! آپ نے اچھی وضاحت کی۔ مجھے نہیں پتا تھا کہ میری زندگی کی سچی کہانی کو یہاں لوگ اس طرح مسترد کریں گے اور مذاق اڑائیں گے، یہاں تک کہ مجھے جھوٹا بھی کہیں گے۔ میں نے سوچا تھا کہ اپنے احساسات یہاں لوگوں کے ساتھ شیئر کروں گا مگر یہاں تو لگتا ہے کہ دردِ دل رکھنے والے بہت کم لوگ ہیں۔
 
baas yeah baat zehn main rakhna, yahan bhi bhot se aisay members hain jin ko aap se humdardi ho gi. Chezain sirf black or white nahin hoti
 
Sadia Hashmi

Senator (1k+ posts)
بہت شکریہ بھائی! آپ نے اچھی وضاحت کی۔ مجھے نہیں پتا تھا کہ میری زندگی کی سچی کہانی کو یہاں لوگ اس طرح مسترد کریں گے اور مذاق اڑائیں گے، یہاں تک کہ مجھے جھوٹا بھی کہیں گے۔ میں نے سوچا تھا کہ اپنے احساسات یہاں لوگوں کے ساتھ شیئر کروں گا مگر یہاں تو لگتا ہے کہ دردِ دل رکھنے والے بہت کم لوگ ہیں۔

nae pakistan mein heart patients ki tadad bohut hy.....
mein tu aap ko bohut innocent samjhi the magar aap dosron k ley dard e dil chahty hen,, kitni galat bat hy
 
Tahir Aziz

Voter (50+ posts)
nae pakistan mein heart patients ki tadad bohut hy.....
mein tu aap ko bohut innocent samjhi the magar aap dosron k ley dard e dil chahty hen,, kitni galat bat hy

آپ ہر بات میں کیڑے کیوں نکالتی ہیں، کبھی تو سنجیدہ ہوجایا کریں۔
 
Sadia Hashmi

Senator (1k+ posts)
بہت شکریہ بھائی! آپ نے اچھی وضاحت کی۔ مجھے نہیں پتا تھا کہ میری زندگی کی سچی کہانی کو یہاں لوگ اسطرح مسترد کریں گے اور مذاق اڑائیں گے، یہاں تک کہ مجھے جھوٹا بھی کہیں گے۔ میں نے سوچا تھا کہ اپنے احساسات یہاں لوگوں کے ساتھ شیئر کروں گا مگر یہاں تو لگتا ہے کہ دردِ دل رکھنے والے بہت کم لوگ ہیں۔

ye b aap ny galat kaha,,,,,, aap ki story ko accept kea tu mazaq oraya na logon ny,,,,

waisy jo sacha ho wo waqea kehlata hy.....

kea kahani b sachi hoti hy??????
 
Last edited:

Sadia Hashmi

Senator (1k+ posts)
آپ ہر بات میں کیڑے کیوں نکالتی ہیں، کبھی تو سنجیدہ ہوجایا کریں۔

aap apni baton mein kery na dala karen tu nae nikaly ga koe....

waisy ye bat m ny bohut serious ho k ki the,,,,,
heart diseases aik serious issue hy.....
 
Tahir Aziz

Voter (50+ posts)
ye b aap ny galat kaha,,,,,, aap ki story ko accept kea tu mazaq oraya na logon ny,,,,

waisy jo sacha ho wo waqea hota hy.....

kea kahani b sachi hoti hy??????

ہر کہانی زندگی کی حقیقتوں سے جنم لیتی ہے، جو ہم اپنے اردگرد دیکھتےہیں اسے ہی لفظوں میں ڈھالتے ہیں، میں اسے واقعہ نہیں کہہ سکتا ، کیونکہ اس سے یہ تاثر ملتا ہے کہ چند لمحوں میں وقوع پذیر ہونے والا کوئی وقوعہ ہے، یہ تو میری زندگی کے اٹھارہ برسوں پر محیط داستان ہے، اس کو ایک واقعہ کہنا تو زیادتی ہوگی۔
 
Back
Top