ahem ahem.... be a man or sach bolo
Assalam o Alaikum Nazreen o Hazrat. Hazaro darood Nabi Pak (S.A.W) aur un ki Aal pe
Nazreen yeh Thursday ka din tha. Ghaliban 30,000 log D.Chawk main jama the. Imran Khan jo kai dino se Aik ****** ko bara phainta laga rhe the. Jis match ko janab Pervez Rasheed ne t20 karar dya tha, usi match ko Imran Khan ne 30 din ka Test Match bana dya hai. Woh har roz raat 09:30 bajay kai chakkay maartay hain, magar patwari tension na lain kyun ke Khawaja Saad Rafique aur Khawaja Asif zinda hain.
Khawateen o Hazrat, us thursday ki night ko Imran Khan ne faislay kya tha k woh Lahore k do MNAs aur aik police walay ka naam len gay jinho ne 2 maasoom janain li. Magar chun k ghaliban investigation poori nhi hui thi, is lye unho ne naam nhi lye. Us ke ilawa hum yeh bhi akhaz kar sakte hain k shayad Imran Khan k zehan main apne giriftaar karkun aur KPK PTI k president janab Aazam Sawati ki fikar zyada thi. Magar humaray patwari bhaiyo ko Imran Khan ka mazaaq uranay ka aik aur moqa mil gaya.
Khawateen aur Hazraat! ab main aapko 17 saal pehle le jata hun. yeh 1997 se election k pehlay ka waqt tha! Benezir Bhutto ki hakumat kuch din pehlay khatam hui thi, aur election dubara call kar dia gaya tha. Nawaz Shareef ne apni campaign zor o shor se shru kar di thi. Unho ne aik jalsay main, jahan un pe jaan dene walay mere jaisay kai patwari the. Nawaz Shareef aur un k bhai, jin ko 2012-2013 k josh e Khitabat award se bhi nawaza gaya tha, unho ne charged crowd dekh kar aik barak maar di. Unho ne izzat maab Asif Zardari ko buhat walahana andaaz main zaleel kya. Unho ne bhari mehfil main yeh kaha k kuch bhi ho jaye, Zardari ka pait phar kar 60 Million USD nikaal kar laonga... Dil main shayad woh iss behiss aur mazloom qaum pe hans rhe the.
Khawateen o Hazraat ab atay hain 2011-2012 k dor main.. is doran Zardari sahab ne Nawaz Shareef ko Maulvi ka khitaab anayat farmaya tha. Aur badlay main Shehbaaz Shareef ne pyaar main Asif Zardari ko Larkana se Peshawar tak road pe ghaseetne ka faisla kar lya.. Aur apna naam bhi badalne ka koi josh e khitabat kya.
Khawateen o Hazraat, ab aap is mulk ki haalat dekhain. Yeh woh mulk hain jahan 97main aik bhai jhoot bolta hai, woh bhi kai 1000 logo k saamne.. aur us ke theek 15 saal baad bhai aik aur bara jhut bolta hai.. Dono jhut aik buhat bari party k president k baray main the.. is beech main aur bhi hazaro jhut bolay gaye, magar hamari aqalmand qaum ka yeh haal hai k woh sab bhul bhal kar truck ki light k peechay bhaagtay rehtay hain. Yeh woh qaum hai jis ko har 3 saal baad sailab baha kar le jata hain, magar jab in floods k zimedar aik ghantay ke doray pe atay hain to log un ke lye maray ja rhe hotay hain. magar is baat ka credit to Imran Khan ko dena parega k pehli baar Nawaz aur Shehbaz ko Go Go k naaray sun ne par gaye.. yun lag rha tha k jaisay asali mutasareen road pe agaye hain, aur yeh koi fake camp nhi hai.
Yeh woh qaum hai jo aik shakhs pe nazar rakh kar bethi hui hai k jaisay hi woh container pe koi statement de to us ko controversial bana dete hain. Kya is qaum ko RETROGRADE AMNESIA hai ya aisi koi beemari, jis ki waja se yeh log apne leaders ki kai saal puranay waaday bhul jatay hain.. ya in per Nawaz aur Zardari k peero ne koi jaadoo kya hua hai k un ko sirf Imran khan hi jhoota nazar ata hai... Imran khan ne jo baat 3 din pehlay kahi thi, us pe abhi se sawalaat utha rhe hain. Yeh woh qaum hai jo Imran Khan k istemal main aik Land Cruiser pe nazar rakhte hain, magar 22 crore ki BMWs un ke sir k ooper se guzar jaati hain.
Aakhir main yehi kahun ga k iss mulk k paas aik acha moka hai.. ya to woh aik sachay leader ki baat pe labbaiq kahain aur is mulk ki parliament main bethi ghalazat ko bahar nikaal pekhe.. ya to woh aik mulk ki parliament k bahar bethe sachay leader ki baat pe labbaiq kahain aur is mulk pe dhandhli k zarye anay walay badshah ka takha ulat de.. faisla aap ne karna hai..
aakhir main roshan Pakistan ka aik famous sher likh deta hun
Aye takht e Lahori, har us insaan se dolat achi
jis ki rail pail se aati ho, Hassan Nawaz ki waist main motai ;)
manjaanib aap ka chaheeta patwari.. Jawaid Powdery