azeez dosto kyun apna apna qeemati waqt bekaar aur bebunyaad behso mubahison main barbaad ker rahe ho?
main ne bahot si baaten post ki hen kuchh khaas threads main un se faaida haasil kerne ki koshish karen.
ye baat 100% drust hai keh sirf aur sirf quran hi deene islam ki asal, jard aur bunyaad hai. kyunkeh ye khudaa ka kalaam hai insaaniyat ki kaamil hidaayat ke liye.
uljhan ye hai keh ye kalaam khudaa ne insaanu ko apne padhne ke liye nahin diya hai balkeh insaanu ko khud un ke padhne aur samajhne ke liye diya hai.
ab kon saa aisa insaan hai jis ko khudaa ke mind ka pakka pata ho keh woh apne kalaam main kon si baat ka kia matlab bataana chahta hai insaanu ko? aisa koi aik bhi insaan is duniya main nahin aaya. is ke barax her kisi ne quraan ko apni apni samajh ke mutaabiq hi samajhne ki koshish ki hai.
unhi logoon main se kuchh ne apne apne khayalaat ka izhaar apni apni likhi hui kitaabun main kiya hai. lihaaza kaise pata chale ga keh quraan ki baatun ka asal matlabo maqsad kia hai? jab tak ham insaan apne is sawaal ka jawaab nahin paa lete ham sab ka quraan ko theek tarah se samajhne ka dawaa drust saabit ho hi nahin sakta.
Issi liye ham sab ko haqeeqi duniya ke kuchh ghair mutnaaza haqaaiq ko pehle dekhna ho ga. phir un haqaaiq ki roshni main quraan ko samajhne ki koshish kerni ho gi tab jaa kar quraan ki drust samajh aaye gi. warna saari zindagi guzar jaaye gi aur quraan ki drust samajh nahin aaye gi chahe aap logoon ki likhi hui jitni bhi kaaben padh lain.