canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: انديکھی دنیا کا کوی پھچانا سا ا ک نغمہ

Lagta Hai Yeh Abbasi Bhai Kaa Nia Shouk Hai.....lol :d6c:
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Wasi-Shah-Tumhain-janan-ijazat-hai.gif
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Barbaad Kar Gaya Wo Zindagi Pyar Ke Naam Se
Bewafai Mili Sirf Wafa Ke Naam Se
Zakhm Hi Zakhm Diye Usne Dawa Ke Naam Se
Khud Bi Ro Para Wo Meri Mohabbat Ke Anjam Se
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Roya Karenge Aap Bhi Pahron Isi Tarah
Atka Kahin Jo Aap Ka Dil Bhi Meri Tarah
Na Taab Hijr Main Hai Na Aaram Vasl Main
Kambakht Dil Ko Chain Nahin Hai Kisi Tarah
Gar Chup Rahen To Gam-E-Hijraan Se Chhut Jaayen
Kahte To Hain Bhale Ki Wo Lekin Buri Tarah
Na Jaaye Vaan Bane Hai Na Bin Jaaye Chain Hai
Kya Kijiye Hame To Hai Mushkil Sabhi Tarah
Lagti Hain Gaaliyaan Bhi Teri Mujhe Kya Bhali
Qurbaan Tere, Phir Mujhe Kah Le Isi Tarah
Hoon Jaanbalab Butaan-E-Sitamgar Ke Haath Se
Kya Sab Jahaan Main Jeete Hain “Momin” Isi Tarah

Momin Khan Momin
 
Last edited:

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

zikr-e-shab-e-firaaq se vehshat usay bhi thi
meri tarah kisi se muhabbat usay bhi thi


mujh ko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
rasta badal ke chalne ki aadat usay bhi thi

us raat der tak vo rahaa mahv-e-guftagu
masroof main bhi kam tha faraaghat usay bhi thi

sunata tha vo bhi sab se purani kahaniyaan
taza rafaaqaton ki zaroorat usay bhi thi


mujh se bichhar ke shehar mein gulh mil gaya vo shaKhs
haalaanke shehar bhar se raqabat usay bhi thi


vo mujh se barh ke zabt ka aadi tha jee gaya
varna har ek saans qayamat usay bhi thi
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)


Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih ayengai
Zinda hai dil toh aur sitamgarr bhi ayengai

Pehchaan lo tamaam faqeeron kay khadd-o-khaal
Kuch log shab ko bhais badal kar bhi ayengai

Gehri khamosh jheel kay paani ko yun na chaidh
Cheenthay uday toh teri qaba par bhi ayengai

Khud ko chhupa na sheesha garon ki dukhaan mai
Sheeshay chamak rahey hain toh pathar bhi ayengai

Aye shehr yaar dasht say fursat nahi — magar!!
Niklay safar pay hum toh teray ghar bhi ayengai

*Mohsin* abhi saba ki sakhawat pay khush na ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sarr sarr bhi ayengai
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Yaad nahi kya kya dekha, sare manzer bhul gaye;
Uski galion se jab laute, apna hi ghar bhul gaye.

Khub gaye pardesh ki apne diwaaro dar bhul gaye,
Shish mahal ne aisa ghera mitti ke ghar bhul gaye;
Uski galion se jab laute apna hi ghar bhul gaye.

Tujhko bhi jab apni kasme apne vade yaad nahi,
Hum bhi apne khawab teri ankhon
mein rakh kar bhul gaye;
Uski galion se jab laute apna hi ghar bhul gaye.

Mujhko jinhone koi unhe batlaye nazeer,
Meri lash ki pahlu mein wo apna khanjar bhul gaye;
Uski galiyon se jab laute apna hi ghar bhul gaye.

yaad nahi kya kya dekha tha sare manzer bhul gaye,
Uski galiyon se jab laute apna hi ghar bhul gaye.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: مين تو فقط اتنا چاھتا ھوں

ajab apna haal hota jo visaal e yaar hota
kabhi jaan sadkey hoti kabhi dil nisaar hota,


koi fitna ta qayamat na phir ashkaar hota
tere dil pe kaash zalim mera ikhtiyaar hota,


jo tumhari tarah tum sey koi jhootey wadey karta
tumhi munsafi sey keh do tumhey aitbaar hota,

yeh maza tha dil lagi ka key barabar aag laghti
na tujhey qaraar hota na mujhey qaraar hota,

na maza hai dushmani mey na hai lutaf dosti mey
koi gair,gair hota koi yaar,yaar hota,

tere wadey par sitam gar abhi aur sabr kartey
aghar apni zindaghi ka humhey aitbaar hota,

tumhey naaz ho na kion kar ke liya hai DAAG ka dil
yeh raqam na haat laghti na yeh iftiqaar hota!!!!!
 

zaman

MPA (400+ posts)
Re: مين تو فقط اتنا چاھتا ھوں

اردو شاعر کو اردو بھی لکھنی نہیں آتی - پگھل لفظ ہے -پگل نہیں ؟
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

سوہنڑیا ! مظلوماں تے ظُلم نہ ڈھایا کر
کدی ساڈے ویہڑے وی پیر پایا کر
ستماں دی حد نہ مُکا ، کوئی کرم وی کما
دُور نہ رہ ، ساڈے ویہڑے وی پیر پایا کر
 

Back
Top