Re: مين تو فقط اتنا چاھتا ھوں
ajab apna haal hota jo visaal e yaar hota
kabhi jaan sadkey hoti kabhi dil nisaar hota,
koi fitna ta qayamat na phir ashkaar hota
tere dil pe kaash zalim mera ikhtiyaar hota,
jo tumhari tarah tum sey koi jhootey wadey karta
tumhi munsafi sey keh do tumhey aitbaar hota,
yeh maza tha dil lagi ka key barabar aag laghti
na tujhey qaraar hota na mujhey qaraar hota,
na maza hai dushmani mey na hai lutaf dosti mey
koi gair,gair hota koi yaar,yaar hota,
tere wadey par sitam gar abhi aur sabr kartey
aghar apni zindaghi ka humhey aitbaar hota,
tumhey naaz ho na kion kar ke liya hai DAAG ka dil
yeh raqam na haat laghti na yeh iftiqaar hota!!!!!