canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Main Uska Dost Hoon Woh Etraf Karta Tha
Magar Woh Bateen Bhi Mere Khilaf Karta Tha,

Suna Hai Gir K Mara Hai Badilon Ki Seerhi Se
Woh Jo Asmaan Ki Chat Main Shigaf Karta Tha,

Kamaal Hai K Howa Woh Bhi Nazar-e-Be Khabri
Jo Hum Pe Roz Naye Inkishaaf Karta Tha,

Woh Qatal Ho Giya Bad Soorton Ki Mehfil Main
Jo Saare Shaher Ki Aayene Saaf Karta Tha.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Baba Bulleh Shah

Heeray sastay milday wekhay
Laa’l takri wich tulday wekhay

Phul peran wich rulday wekhay
Sianay gallan tu pulday wekhay

Koi kisay naal pyar nhi krda
Dil dunya wich rulday wekhay

Rang be-rangi dunya wekhi
Kai kai rung ik phul dy wekhay

Bus kr dila chad dy khera
Chad dy raam kahani sari

Tu rul gya taan ki hoya
Shah vi galiyan wich rulday wekhay
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: iss ko bhi apnay khuda honay per itna hi yaqeen tha

#1



icon1.gif
Bullhay Shah
Charday suraj dhalday waikhay
Bujhay deeway balday waikhay

Heeray da koi mull, na taaray
khotay sikkay chalday waikhay

Jinna'n da nai jag te koi
O ve puttar palday waikhay

Ohdi rehmat de naal banday
pani uttay chalday waikhay

Loki kehnde daal nai galdi
main te pathar galday waikhay
 

Arslan

Moderator
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

'Itna Bhi Apni Zaat Se Koi Juda Na Ho,
Nikalay Teri Talash Mein Apna Pata Na Ho,

Dekho K Phir Hawaon K Tewar Badal gaye,
Sahil Ki Rait Par Koi Kuch Likha Raha Na Ho,

Tanhaiyaan Kuch Is Tarah Basti Hain Mere Sath,
Aakaash Bhi Jaise Shajar Se Juda Na Ho,

Na Kar Tu Mere JIsm K Zakhmon Ka Yun HIsab,
yeh Dekh Tere Hath Mein pathar Bacha Na Ho,

Apnon Se Bhi Milon Toh yeh Khof Sa Rahay,
Chehray K Pechay Aur Koi Chehra Chupa Na Ho.....!!!!'
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Woh ek masoom si chahat, woh ek bay naam si ulfat

Woh meri zaat ka hissa, woh meri zaat ka qissa

Mujhe mehsoos hota hai, woh meray pass hai ab bhi

Woh jab jab yaad aata hai, nigahon main samata hai


Zuban khamosh hoti hai, magar yeh aankh roti hai

Main khud se puch leta hun, jisay main yaad kerta hun

Usay kia piyar hai mujh se, jawab "HAAN" soch leta hun


Usay bhi piyar hai shayed...


Issi shayed se wabasta hai ab to her khushi meri

Yehi ek lafz shayed ban gaya hai zindagi meri



 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana

Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone mein
Usse poori tarah sbhula do e tum phir chale jana

Ye saare paerrh pode tere bin ek rut jage hue
Tum aa ke aik baar inko sulado phir chale jana

kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum usko mitado phir chale jana

Bus itni si hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo sikha do phir chale jana

Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne ma'ani se
Bus in alfaz-o-ma'ane ko mita do phir chale jana

Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai...
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana...

Mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho..
Mujhe tum doosra unwaan laa do phir chale jana...!!




 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Kaun aayega yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaon nay hilaya hoga !

Dil-e-naadan na dhadk ay dil-e-naadan na dhadak,
Koi khat ley kay padosi Kay ghar aaya hoga !

Gul say lipti huwi titli ko gira kar dekho,
Aandhiyaan tum nay drakhton ko giraaya hoga !

Kaif pardes mein mat yaad karo apna makaan,
Ab kay baarish nay usay torr giraaya hoga !

Kaun aayega yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaon nay hilaaya hoga !




 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Meray Wujood ki jageer us nay mangi hay
Ajab khawab ki tabeer us nay mangi hay

Uski qaid main rahti hon main pehlay bhi
Najanay phir kyun zanjeer unsay mangi Hay

Guman hota hai who bhool sakta hai mujhay
Kyon kay aaj meri tasveer unsay mangi hai

Meray khuda mujhay uskay naseeb main likh dy
Kay mujhsay meri taqdeer us nay mangi hay




R
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Chahat Mein Kiya Duniya Dari Ishq Mein Kaisi Majbori
Logo Ka Kiya, Samjha'ne Do In Ki Apni Majbori,

Mein Ney Dil Ki Baat Rakhi Aur Tu Ney Duniya Walon Ki
Meri Garz Bhi Majboori Thee Un Ka Huqam Bhi Majboori,

Rokh Sakho To Pahli Barish Ki Bondo Ko Tum Rokho
Kachi Mitti To Mehkey Ge, Hai Mitti Ki Majboori,

Jab Tak Hunsta Gata Mausam Apna Hai,Sab Apney Hain
Wakht Parey To Yaad Ajati Hai Masnovi Majboori,

Aik Awara Badal Sey Kyun Mein Ney Saya Manga Thaa
Meri Bhi Ye Nadani Thee, Us Ki Bhi Thee Majboori,

Muddat Guzri Aek Wadey Per Ajj Bhi Qayam Hai Mohsin
Hum Ney Sari Omer Nibhaye, Apni Pehli Majboori


R
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Yeh Zara Zara si Baat per Terha terha ke Azaab kyun?
Jo kisi se bhi Khafa na ho Mujeh us Khuda ki Talaash hai!!

Mujeh Laghzishon pe har ghari tokta hai baar baar...
Jissey ker ke Dil ko dukh na ho mujeh us Gunnah ki talaash hai!!


 

Arslan

Moderator
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Yahan uljhy uljhy roop bht,
Per asli kam behroop bht,
Us pairh k neechey kia rukna,
Jahan saya kam dhoop bht,
Chal Insha apny gaaon main,
Bethey Gy sukh ki chaaon main,
Kion teri aankh swali hai,
Yahan har ik ki baat niraali hai,
Is dais basera mat krna,
Yahan muflis hona gaali hai,
Chal Insha apny gaaon main,
Jahan schy rishty yaaron k,
Jahan ghoonghat zewa naaron k,
Jahan jharny komal sur waly,
Jahan saaz bjain bin taaron k,
Chal Insha apny gaaon main....
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

seenay say laga kar kaha karti thi "maa" mujh ko

tu laal hay mera na sata mujh ko

pachtaiy ga aik din jab mein chali jaun gi

na chahtay huvay bhi akaila duniya mein chor jaun gi

zamana dikhaiy ga garmi ki shiddat tujh ko

yaad kar kay roa'ay ga tu phir mujh ko

mudatoon say meri "maa" nay seenay say nahin lagaiya

ab soo gai khaak mein jub kuch kehnay ka vaqt aaiya...!!!



 

Back
Top