canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)


If I am only...


If I am only ant...How do you say that one ant does not mean nothing? But I wish that I am ant near soldiers of Allah, those who fight for His sake.

If I am only the air... How do you mean that air does not mean nothing. But I wish that I am air of Makkah mountains.

If I am only one drop.. . How do you mean that one drop does not mean nothing? But I wish that I am one drop of Jannah seas and Jannah rivers.

If I am only one hair... How do you say that one hair does not mean nothing? But I wish that I am one hair on Prophet Mohammed sallahu alayha wa saalam head.

If I am only one word... How do you mean that one word does not mean nothing? But I wish that I am the word which my Rabb will accept and be pleased with her.

If I am only strong and steadfast enough to pass everything what is happening to me with sabr, I would overcome and win all temptations and worries of this Dunya and I would get back to You Allah with that You be pleased with me.


Written by my Muslim sister and freind
SMILY252.gif
. May Allah bless her and reword her with Jannatul Firdews and all Muslims. Ameen Ya Rabby

__________________
I was always looking for ways which leads towards You, trying to recognize them,what is the most hidden in ourselves to discover. The secret is love which heart feels when it mentions Your name,and of fragment of the most beautiful rose in Dunya, Your Jannah is the most beautiful. Praise be to You Allah, The Most Exalted Rabb, The Calmer of hearts and Giver of every good.


And the Face of your Lord full of Majesty and Honour will abide forever. ( Surah Ar- Rahman)

user_offline.gif
 

baqa

Politcal Worker (100+ posts)
Bayad-e-Faiz (بیادِ فیض)

Bayad-e-Faiz (بیادِ فیض)
An application for Android phones & tablets


218930_221004264577069_221002721243890_947689_3452577_o.jpg


فیض احمد فیضؔ کی 100 سالہ تقریبات کے سلسلے میں اُن کے 100 منتخب اور یادگار کلام پر مبنی بیادِ فیض، جس میں منتخب شاعری، مضامین، ادارئے، ویڈیوز، آڈیوزاور یادگار تصاویر کے علاوہ ممتاز شخصیات کی طرف سے پیش کیے گئے نظرانۂ عقیدت شامل کیے گئے ہیں

2011 is centennial year of Faiz Ahmed Faiz. We, like millions of other admirers across the world, are celebrating his centennial birthday.

This app is our tribute and is dedicated to the memories of one of the greatest poets of twentieth century.

For details, features and screenshots, please check:
http://www.facebook.com/pages/Bayad-e-Faiz-بیادِ-فیض/221002721243890

Android Market Page:
https://market.android.com/details?id=com.baqa.urdu.faiz
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

kya likhun.?

K ab thak chuka hun likh likh kar
dard jo bhi sahay hain wo likhun.?
Ya dard dene walay ka hosla likhun
ya apni be-basi ka falsafa likhun
kya wo haadsa likhun.?
Ya kuch na likhun aur tor dun qalam
ya ye likhun k ab mujhe marnay ka shoq hai
lekin maroon bhi to kis k liye.?
Kon hai jo mujhe kandha dega.?
Kon hai jo mujhe yaad karega.?
Woh jo jeete jee baat nahin kartay
ya woh jo bhulay se bhi yaad nahin kartay
woh kya royengay meri mayyat par
jo mere zinda honay ka ehsas tak nahin kartay
ab aur kya likhun k ab to qalam bhi saath nahin dega
chalo ab aisa karta hun k ab kuch nahin likhta
qalam ko tor deta hun
main likhna chor deta hun
woh kya choray ga mujhay
main khud uski duniya chor deta hun.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Us Nay Jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,

Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin,

Ho Gaya Jab Ya Yaqeen Ab Wo Nahi Aye Ga,
Aanson Aur Gham Nay Diya Dil Ko Sahara Mohsin,

Woh Tha Jab Pass To Jeenay Ko Bhi Dil Karta Tha,
Ab Tu Pal Bhar Bhi Nahi Hota Guzara Mohsin,

Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

وہی آبلے ہیں وہی جلن کوئی سوزِ دل میں کمی نہیں
جولگا کے آگ گئے تھے تم وہ لگی ہوئی ہے بجھی نہیں

میری ذندگی پہ نہ مسکرا مجھے ذندگی کاالم نہیں
جسے تیرے غم سے ہو واسطہ وہ بہار خزاں سے کم نہیں

تیری یاد ایسی ہے باوفا پسِ مرگ بھی نہ ہوئی جدا
تیری یاد میں ہم مٹ گئے تیری یاد دل سے مٹی نہیں

وہی کارواں ،وہی راستے وہ ذندگی وہی مرحلے
مگر اپنے اپنے مقام پر کبھی ہم نہیں کبھی تم نہیں

نہ فنا میری نہ بقا میری مجھے اے شکیل نہ ڈھو نڈ یے
میں کسی کا حسن خیال ہوں میرا کوئی و جود و عدم نہیں
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)



Dard Kya Hota Hai Batain gey Kisi Roz,

Kamaal Ki Ghazal Tum Ko Sunain gey Kisi Roz,

Thi UnKi Zid K Main jaon Un Ko Manane,

Mujh Ko Ye Weham Tha K Wo Bulayen gey Kisi Roz,

Us RAB Ki Qasam Maine To Socha Bhi Na Tha,

Wo Itna Mere Dil Ko Dukhain gey Kisi Roz,

Har Roz Aainay Se Yehi Poochti Hun Main,

Kya Rukh Pay Tabasum Bhi Sajain gey Kisi Roz?

Urnay Do In Parindo Ko Azaad Fiza Main,

Tere Apne Hongay To Loat Hi aainegy kisi Roz.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Yeh Khwabon ke Sodager kesey Khawab dikhatey heyn
Bechain Qaid rooh ko sapney Sunehrey dikhatey heyn
Dil ki Viran basti meyn shadyaney khushyun ke bajatey heyn
Dil Laganey key ,Dil ujarney ke tareqey hazar batatey heyn
Pewasta reh ke shajr se akser shakheyn he iski kat jatey heyn
Guftar ke na kirdar ke , jhooti shaan .o.shokat waley
Hazar tareqey sobah.o.shaam byaan kertey jatey heyn

Meyn ne bhi ek khwab dekha tha
Tum harey sang jeeney ka tumharey sang rehney ka
Tumharey sang chalney ka ,tumharey sang rang bherney ka
Tum bin na jeeny ka tum bin na marney ka
Mager merey khawab kacahey they, Inkey sarey rang pheekey they
Yeh sarey kachey ,pheekey khawab janey kyun merey howey
Meyn ne sachey khawab dekhey they ,sachey sapney sochey they

~saraj~

 

engr58

Citizen
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

very nice sharing
 

sherazopel

Politcal Worker (100+ posts)
Re: Sir ALama iqba

very interesting iblees means DEVIL If we are resolved to describe Islam as a system of superior values, we are obliged, first of all, to acknowledge that we are not the true representatives of Islam.


6263_big.gif
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Teri Bargah Mein Ay Khuda, Junhi Sar Ko Maine Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudayi Ne, Mujhe pastiyon Se Utha Diya,
Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha, Tere Dar ka Aik Faqeer Tha,
Tu Ne Aik Hi Sajday Mein, Mujhe Kya Se Kya Bana Diya,
Rag-e-Jaan Se Bhi Tu Qareeb hai,Tu Hi Likhta Sab K Naseeb Hai,
Jisay Chaha Pal Mein Utha Diya, Jisay Chaha Pal Mein Gira Diya..!!!!


Quran ki faryaad
taaqo mein sajaya jaata hoon, aakhon se lagaaya jaata hoon
taweez banaya jaata hoon, dho dho ke pilaaya jaata hoon
juzdaan hareer-o-resham ke aur phool sitaare chaandi ke
phir itr ki baarish hoti hai, khusbu mein basaaya jaata hoon

jiss tarha se tota maina ko kuchh bol sikhaaye jaate hain
iss tarah parhaaya jaata hoon, iss tarah sikhaaya jaata hoon

jab qol-o-qasam lene ke liye takraat ki nobat aati hai
phir meri zaroorat parrti hai, haathon mein uthaaya jaata hoon

dil soz se khaali rehte hain, aankhen hain ke num hoti hi nahin
kehne ko main ek ek jalse mein parh parh ke sunaya jaata hoon

neki pe badi ka galba hai, sachchai se barhkar dhokha hai
ek baat hansaaya jaata hoon, sau baat rulaaya jaata hoon

ye meri aqeedat ke daawe, qanoon pe raazi ghairon ke
yun bhi mujhe ruswa karte hain, aise bhi sataaya jaata hoon.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

THE YOUTH OF ISLAM

On whom relies the bark of God,
Adrift beyond the bar;
The-born age is dark as night
and thou its dim pole-star.
This is no time for idle rest.
Much yet remains undone;
The lamp of Tauhid needs thy touch
To make it shame the Sun !
not yet have other nations seen
What thou art truly worth:
The realm of Being has need of thee
For perfecting this earth.
If aught you keep this world alive,
Tis thine impetuous zeal,
And thou shalt rise it's ruling star,
And thou shall shape it's weal.
thou art like fragrence in the bud,
Diffuse thyself:be free;
Perfume the garden breeze,and fill
The earth with scent of thee,
Raise thou,thru love,all humble things
To greatness and to fame,
Enlighten thou the groping world
With Dear Muhammad name,
(Translanted from Shikwa Jawab
Shikwa of Dr Sir Mohd Iqbal)
 

Arslan

Moderator
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Kab hui pyar ki barsaat hame yaad nahi,

Khoof may doobi mulaqaat hame yaad nahi.

Ham to madhosh thy kuch itna us ki Chahat may,

Us ne kab Choor dia sath hame yaad Nahi.

Zindagi jaber-e- musalsal ki terah kati hai,

Janay kis juram ki pae hai saza yaad nahi.

Me ne palkon se dar-e-yar par dastak di hai,

Me wo saael hoon jisay koi sada yaad nahi.

Aao 1 sajda karain aalam-e- madhoshi me,

Log kehtay hain k saghar ko khuda yaad nahi.
 

Back
Top