Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

jo%20chal%20sako%20to%20koi%20aisi%20chaal%20chal%20jana.jpeg
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Received an e-mail from a friend. I thought I should share it friends.
[FONT=&quot]Kuch Ishaq Kiya Kuch Kaam Kiya.[FONT=&quot][/FONT][/FONT]
[FONT=&quot]Woh Log Bohat Khush Qismat Thay,
Jo Ishaq Ko Kam Samujhty Thay,
Ya Kam Say Aashqi Karty Thay,
Hum Jeety Jee Masroof Rahay,
Kuch Ishaq Kiya Kuch Kam Kiya,
Kam Ishaq Kay Aary Aata Raha,
Or Ishaq Say Kam Uljhta Raha,
Phir Aakher Tang Aaker Hum Nay,
Dono Ko Adhoora Chod Diya.
[FONT=&quot][/FONT][/FONT]
[FONT=&quot]
[FONT=&quot]English Translation.[/FONT][FONT=&quot]
[/FONT]
[FONT=&quot]Loved a little, Worked a little[/FONT][FONT=&quot]
[/FONT]
[FONT=&quot]Those were very fortunate people,
Who considered Love an obligation,
Or they just loved their task,
I remained busy all my life,
Loved a little, worked a little,
Sometimes love was a snag in the way of my work,
While sometimes duty didnt allow me to love with passion,
Ultimately I got upset of the situation,
And left both my love and my work incomplete.[/FONT]
[FONT=&quot][/FONT]
[/FONT]
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Teri Bargah Mein Ay Khuda, Junhi Sar Ko Maine Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudayi Ne, Mujhe pastiyon Se Utha Diya,
Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha, Tere Dar ka Aik Faqeer Tha,
Tu Ne Aik Hi Sajday Mein, Mujhe Kya Se Kya Bana Diya,
Rag-e-Jaan Se Bhi Tu Qareeb hai,Tu Hi Likhta Sab K Naseeb Hai,
Jisay Chaha Pal Mein Utha Diya, Jisay Chaha Pal Mein Gira Diya..!!!!


Quran ki faryaad
taaqo mein sajaya jaata hoon, aakhon se lagaaya jaata hoon
taweez banaya jaata hoon, dho dho ke pilaaya jaata hoon
juzdaan hareer-o-resham ke aur phool sitaare chaandi ke
phir itr ki baarish hoti hai, khusbu mein basaaya jaata hoon

jiss tarha se tota maina ko kuchh bol sikhaaye jaate hain
iss tarah parhaaya jaata hoon, iss tarah sikhaaya jaata hoon

jab qol-o-qasam lene ke liye takraat ki nobat aati hai
phir meri zaroorat parrti hai, haathon mein uthaaya jaata hoon

dil soz se khaali rehte hain, aankhen hain ke num hoti hi nahin
kehne ko main ek ek jalse mein parh parh ke sunaya jaata hoon

neki pe badi ka galba hai, sachchai se barhkar dhokha hai
ek baat hansaaya jaata hoon, sau baat rulaaya jaata hoon

ye meri aqeedat ke daawe, qanoon pe raazi ghairon ke
yun bhi mujhe ruswa karte hain, aise bhi sataaya jaata hoon.


user_offline.gif
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

~.~ Sab Tareefein "Allah" Ki ~.~





Tareeqiyan Bharti Hain To
Kirnon Ki Chamakti Machalti Talwaren
In Ke Wajod Ko Lakht Lakht Ker Deti Hain




Thanda Noor Kholti Handiya Ke Rastey Kuhar Ban Ker Barasta Hai
To....



Surmai Shaam Ka Parinda Door Ufaq Se Aa Ker

Nend Ka Sehar Barsata
Jalti Makhlooq Ke Seron Per Dhaal Ban Jata Hai



Chand Apny Halay Main Nachta Nachta Jhuk Ker

Sumandar Ko Bosay Deta To.....

Sahil ke Nangey Zaray Lehron Ka Libaas Pehan Letey Hain



Raat Ke Phailey Par Katt Jatey hain To...

Is Ki Agosh Mian Atkheliyan Kerta Samandar Gussey Se Kholney Lagta Hai

Badil Lapak Ker
Is Gussey Ko Apney Baraf Seeney Mian Thanda Ker Detey Hain



Or Zameen Ki Lapakti Piyasi Zubanen

Is Thandak Se Hayaat Ki Garmi Dor Kerti Hain


Maa'on Ke Khushk Seenon Mian

Dodh Ki Lehren Josh Marti Hain To.......

Gosht Ke Masosm Lothoron Main
Zindagi Rooh Ban Ker Phalti Pholti Hai

Mitti Ke Khameer Se
Wajod Main Aaney Wala Yeh Lothray
Sa'aton Ko Nigal Ker Husan Ka Shahkaar Bantey Hain


Aey Rab Kareem !



Wo Aankh Andhi Hai

Jo Sab Kuch Dekh Ker Bhi Tuje Nahi Pehchanti


Wo Qadam Chalna nahi Jantey

Jo Teri Simt Bharna Nahi Chahtey


Wo Dil Murda Hain

Jo Tere Zikar Se Apney Andar Talatum Mehsos Na Keren


Wo Kaan Behrey Hain

Jo Fiza Main Bikharti ,Ras Gholti Teri Sada Ko Na Sun Saken


Wo Jism Murda hain

Jin Ki Peshani Teri Chokhat Per Jhukna Nahi Jantin



Aey Rehmaan !

Aey Raheem !


Meri Pighal Chuki Rooh Se
Hamad Ke Khalis Qatray Kasheed Ho Ker
Tere Dar Per Jhuki Aankhon Se Baras Rahey Hain


Sarey Muqadas Lafz

Or Wo Sarey Jumley
Jo Teri Hamad Ke Mai'ni Se Shanasa hain



Sab Teri Hi Taqdees Ke Liey hain



Beshak Sab Tareefen "Allah" Ki
Jo Tamam Jahanon Ka "Rab" hai...!!
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)



Chalay jo ho to bata k jao


Ke kitni shaamein udaas aankhon mein kaatni hein


Ke kitni subhain akelay pan mein guzaarni hein


Bata k jao Ke kitne sooraj azaab rastoon ko dekhna hai


Ke kitne mehtaab sard raatoon ki wusaton se nikaalne hein


Bata k jao ke chaand raatoon mein waqt kaise guzaarna hai


Khamosh lamhoon mein tujh ko kitna pukaarna hai


Bata k jao ke kitne lamhay shumaar karne hein hijr raton ke


Ke kitne mousam aik aik kar k judaiyon mein guzaarne hein


Bata k jao ke panchiyon ne akele pan ka sabab jo poocha


To kaya kahoon ga???


Bata k jao ..main kis se tera gila karoon ga


Bichhar ke tujhse Habeeb..kis se mila karoon ga


Bata k jao ke aankh barsi to koUn moti chuna karay ga


Udaas lamhon mein dil ki dhadkan suna karay ga


Bata k jao k mousamon ko payam dene hein ya nahin


Fallak ko, taron ko, jugnu'on ko slaam dene hein ya nahin


Bata k jao k kis peh hai aitebaar karna


To kis ki baaton pe be-niazi kay silsale ikhtiyaar karna


Bata k jao k ab ravviyoon ki chaal kiya ho


Jawaab kiya ho, sawaal kiya ho


Arooj kiya ho, zawaal kiya ho


Nighah, rukhsaar, zulff, chehra ..nidhaal kiya ho


Bata k jao ke meri halat pe chandni khikhila pari to


main kya karoon ga


Bata k jao k meri soorat pe teergi muskara parhi to


Main kiya karoon ga


Bata k jao k tum ko kitna pukaarna hai


Bichhar k tujhse yeh waqt kaise guzaarna hai


Ujaarna hai? nikhaarna hai?


Chalay jo ho to bata kay jao


kay loutna bhi hai ya... ???????
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Suno!
Main thak gaya hoon
Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
Meri neendoon main tairay wasl ka raisham ulajhta hai
Mairay ansoo mairay chehray pe tairay ghamm ko likhtay hain
Mairay ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Maiary alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Mager main thak gaya hoon
Aur main ne khamashi ki goad main sir rakh dia hai
Main baloon main
Tumharay hijr ki narm ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasl ka raisham bhi ab neendain nahin bunta
Mairi aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basaira hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay de...!!!
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

You've no idea how hard I've looked for a gift to bring You.
Nothing seemed right.


What's the point of bringing gold to the gold mine, or water to the Ocean.
Everything I came up with was like taking spices to the Orient.


It's no good giving my heart and my soul because you already have these.


So- I've brought you a mirror.


Look at yourself and remember me.

- Jalaluddin Rumi, Essential Rumi, Coleman Barks, pg14
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Oh! Supreme Lover!
Let me leave aside my worries.
The flowers are blooming
with the exultation of your Spirit.

By Allah!
I long to escape the prison of my ego
and lose myself
in the mountains and the desert.

These sad and lonely people tire me.
I long to revel in the drunken frenzy of your love
and feel the strength of Rustam in my hands.

I'm sick of mortal kings.
I long to see your light.
With lamps in hand
the sheikhs and mullahs roam
the dark alleys of these towns
not finding what they seek.

You are the Essence of the Essence,
The intoxication of Love.
I long to sing your praises
but stand mute
with the agony of wishing in my heart.


Rumi - 'The Love Poems of Rumi' - Deepak Chopra & Fereydoun Kia
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

How could I ever thank my Friend?
No thanks could ever begin to be worthy.
Every hair of my body is a gift from Him;
How could I thank Him for each hair?
Praise that lavish Lord forever
Who from nothing conjures all living beings!
Who could ever describe His goodness?
His infinite glory lays all praise waste.
Look, He has graced you a robe of splendor


>From childhood's first cries to old age!
He made you pure in His own image; stay pure.
It is horrible to die blackened by sin.
Never let dust settle on your mirror's shining;
Let it once grow dull and it will never polish.
When you work in the world to earn your living
Do not, for one moment, rely on your own strength.
Self-worshiper, don't you understand anything yet?
It is God alone that gives your arms their power.
If, by your striving, you achieve something good,
Don't claim the credit all for yourself;
It is fate that decides who wins and who loses
And all success streams only from the grace of God.
In this world you never stand by your own strength;
It is the Invisible that sustains you every moment.

Saadi, translation by Andrew Harvey and Eryk Hanut - 'Perfume of the Desert'
 

Back
Top