Bhai saheb, main nay toh siray say CONSCIOUS (agahi) kay upar tabsara hee nahin kiya. Main nay sirf itna farmaya kay FIL WAQT science nay agahi/fehem key asal ko saabit nahin kiya. Naa hee iskay irtiqa par behes key hai. Main nay yeh toh nahin kaha kay science kisi din agahi ko saabit nahin kar sakti?
Haan, main nay yeh zuroor kaha kay KUCH cheezain jo kay Qur'an main hain (jis tarha Allah ka Arsh, Kursi, Lawh Al-Mahfouz waghera) sciency 'uloom say nahin saabit key ja sakteen. Kyonkay yeh cheezain
mutashabihaat main say hain aur inki asal tak rasa'i mumkin nahin.
Aap ko yeh pata hona chahye kay science kay liye kisi cheez ko QAT'AN saabit karnay kay liye us cheez ka insaani hawaas say saabit hona zuroori hai. Isko EMPIRICAL EVIDENCE kehtay hain Sciency istilah main. Jis cheez ko siray say "touch, hear, smell, see, feel" nahin kar saktay usko science mustarad karta hai. Aur insaani ruh toh phir bhi maadda hai kisi qism ka - yanay kay aik makhlooq hai. Ishi tarha insaani fehem/agahi bhi makhlooq hai. Khalqat insaani hawaas kay dairay main hee hoti hai.
Allah key woh makhlooq jo kay
mutashabihat kay zumray main aati hain unkay liye muaamla aur hai. Yeh makhlooq toh hai laikin inki haqeeqi shakal insaani hawaas main kabhi nahin aa sakteen. Yeh main nahin kehta balkay Allah Ta'ala ka farmaan hai (Surah 3:7). Isiliye in makhlooq ko science nahin prove kar sakti kabhi bhi. In cheezon par sirf imaan rakha jaa sakta hai aur woh bhi ANDHA IMAAN. Inki asliyyat ya haqeeqi shakal kya hai yeh sirf aakhirat main ayaan hogi.
Yeh behes isliye chiri kyonkay jin saheb nay yeh topic shuru kiya unka kehna tha kay Qiyamat us din tak nahin aayegi jis din tak Qur'ani key har aik baat saabit na hojaye sciency i'tibaar say. Toh main nay unsay poocha kay agar yeh baat hai toh qiyamat toh kabhi nahin ayegi kyonkay
mutashabihaat ko Qur'an nay khud keh diya hai kay insaan iska ihaata nahin kar sakta.
Umeed hai kay aapko mera mu'akkif ab samajh main aa gaya ho.
گستاخی معاف جناب، ویلے ٹاٹ کے سکولوں میں پلا بڑھا ہے اس لیے انگریزی سے اتنی آشنائی نہیں مگر یہ اصول آپ نے کہاں سے لیا کہ صرف "دیکھنا" ہی موجودگی کی علامت ہے جیسا کہ آپ نے سارا زور دیکھنے پر دیا ہے کہ سائنس عرش و کرسی دکھا نہیں سکتی
جو ویلا سمجھا آپ نے فرمایا تھا کہ ڈارون کے نظریے سے انسان کی ارتقا تو سمجھ آسکتی ہے مگر آگاہی نہیں، اس کی بابت ویلے نے سوال کیا تھا کہ کہ انسان کا جسم تو مادی ٹھرا تو اس کی ارتقا کے پر پرزوں کو ڈھونڈا جاسکتا ہے مگر کیا آگاہی بھی مادہ ہے جس کے پر پرزوں ایک دن دریافت ہوں؟
دوسرا سوال کسی شے کے ثابت کرنا کا سائنسی طریقہ کیا ہے؟ آپ نے فرمایا کہ متشابہات غیر سائنسی ہیں اس پر عرض کیا تھا کہ کیا سائنس نے ترقی کے آخری منہج پر پہنچ گئی جو آپ نے فیصلہ صادر کر دیا یہ ناممکن ہیں، اسی پر سائنسی مضامین کا ذکر کیا جو کل تک سائنس میں شمار نہیں ہوتے تھے مگر آج ہوتے ہیں تو جب سائنس خود ابھی ارتقا کے مراحل میں ہے تو پھر آپ فیصلہ صادر کیسے کر سکتے ہیں
اس کو مزید واضح کر دوں کہ کل اعتراض کیا جاتا تھا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے کیسے فرمایا دیا کہ سورج عرش تک چڑھتا ہے پھر رب کا حکم پا کر واپس لوٹ جاتا ہے، منکرین حدیث اس پر رولا ڈالتے تھے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو کہاں ایسی باتیں معلوم، مگر آج آپ کے معزز سائنس دانوں نے سولر اپیکس کا نظریہ دیا ہے جو تصدیق کرتا ہے
تیسرا سوال آپ کے اصول پر تھا کہ لامحدود کو ثابت کرنے کو لامحدود طریقے چاہیے، اس پر عرض کیا تھا کہ پھر تو کسی احمق کو احمق ثابت کرنے کو احمقانہ طریقہ چاہیے
امید ہے اب آپ سوال سمجھیں ہونگے