Assalam-o-Alaikum-Warahmat-ULLAH ALL,
Brother, I love the suggestions/ammendments you have propose, I would add more of them to your list.
However, no matter how many suggestions or ammendments we propose, they won't work. They won't work, UNTILL WE! as a NATION decide to STOP this BS! which is going on around us.
The day, we WAKE UP as a NATION, THAT DAY, EVERYTHING will start working the RIGHT WAY, the WAY Islam prescribed it for us.
FROM THAT day onwards, NO one in the world will be able to STOP us, I HOPE ALLAH ALMIGHTY WILL BE WITH US ON THAT WAY.
The day a Muslim NATION decides to be obedient to ALLAH ALMIGHTY, ALLAH ALMIGHTY will make this ENTIRE WORLD our SLAVE. We will be able to CHANGE whatever! we want just by wanting it.
Iqbal says;
Hawas nay ker diya hai tukrey tukrey no-e-insan ko
Akhu'at ka bayan ho ja, mohabbat ki zuban ho ja
Ye Hindi, wo Khurasani, ye Afghani, wo Turaani
Tu, aey sharminda-e-saahil! uchal ker baykaran ho ja
Khudi main doob ja ghaafil, ye sirr-e-zindagani hai
Nikal kay halqa-e-shaam-o-seher say Jawadan ho ja
Instance #2:
Kiya gaya hai ghulami main mubtala tujh ko
Kay tujh say ho na saki Fuqr ki nighebani
Misaal-e-maah chamakta tha jis ka daagh-e-sajood
Khareed li hai farangi nay wo Musalmani
Instance #3:
Ye Dour apney Baraheem ki Talash main hai
Sanam Kada hai Jahan La ILa ha IL Allah
Kiya hai tu nay Mata-e-gharoor ka soda
Fareb-e-sod-o-ziyan La ILa ha IL Allah
Agarchey But hai Jamat ki aastino main
Mujhey hai Hukm-e-Azan La ILa ha IL Allah
Instance #4:
Utha mat khana-e-shesha-e-farang kay ihsaan
Sifaal-e-Hind say meena-o-jaam paida ker
Hazar chasshmey teri sang-e-rah say phootey
Khudi main doob kay zarb-e-kaleem paida ker
Instance #5:
Nigah-e-faqr main shaan-e-sikandari kya hai?
Khiraaj ki jo gada ho, wo qaiseri kya hai?
Falaq nay ki hai ata un ko khaajgi kay jinhain
Khabar nahin rawish-e-banda parwari kya hai?
Kissey nahin hai tamanna-e-sarwari lekin
Khudi ki mout ho jis main, wo sarwari kya hai?
Buton say tujh ko umeedain, Khuda say no meedi
Mujhey bata tou sahi aur kaafri kya hai?
Instance #6:
Aey Tahir-e-Lahooti, uss rizq say mout achi
Jis rizq say aati ho, parwaz main kotahi
Aain-e-jawanmardi, haq goi-o-bay baaqi
Allah kay sheron ko, aati nahin rubaahi
Instance #7:
Hai Fikr mujhey misra-e-saani ki zyada
Allah karey tujh ko ata Fuqr ki talwaar
Jo haath main ye talwaar bhi aa jayey tou Momin
Ya Khalid-e-Janbaaz hai, Ya Haider-e-Karrar
Instance #8:
Ho terey bayaban ki hawa tujh ko gawara
Iss dasht say behter hai na Dilli na Bukhara
Jis simt main chahey, sift-e-sal-e-rawan chal
Wadi ye hamari hai, wo sehra bhi hamara
Ghairat hai bari cheez jahan-e-tag-o-dou main
Pehnati hai derwaish ko taj-e-sir-e-dara
Afraad kay haathon main hai akwaam ki taqdeer
Her fard hai millat kau muqaddar ka sitara
Deen haath say dey ker agar azad ho millat
Hai aisi tijarat main Musalaman ka khasara
Instance #9:
Kabhi aey, Naujawan Muslim! taddabur bhi kiya tu ney?
Wo kya gardon tha tu jis ka hai ik toota hua tara
Tujhey uss qaum nay pala hai aaghosh-e-mohabbat main
Kuchal dala tha jis nay paon main taaj-e-sir-e-dara
Instance #10:
Hai jo hangama bapa yorish-e-balghari ka
Ghafilon kay liyey paigham hai baydari ka
Tu samjhta hai, ye saman hai dil azaari ka
Imtihan hai terey eesaar ka, khuddari ka
Kyon hirasan hai saheel-e-fars-e-aada sey?
Noor-e-Haq bujh na sakey ka nafs-e-aada sey
Instance #11:
Aqal hai teri saper, Ishq hai shamsheer teri
Merey derwesh! khilafat hai Jahangir teri
Ma siwa Allah kay liyey aag hai takbeer teri
Tu Musalman ho tou taqdeer hai tadbeer teri
Ki Muhammad (PBUH) say wafa tu nay, tou Hum terey hain
Ye Jahan cheez hai kya, loh-o-qalam terey hain
Instance #12:
Butan-e-rang-o-khoon ko torr ker millat main guum ho ja
Na turani rahey baaqi, na Irani, na Afghani
Mitaya qaiser-o-kisra kay istabdad ko kis nay?
Wo kya tha? zor-e-Haider, Faqr-e-Bu Zar, Siqd-e-Salmani