Breaking monopoly: Volkswagen to plant its feet in Pakistan?

karachii

Minister (2k+ posts)
Ager patwari sirf "MIFTAH ISMAIL" ka naam hi parhlay tay tou ais post share na kertay.

Phenknay mei master hai
 

casper_iam

MPA (400+ posts)
Waisay ye bhi eik moama hay jis pe ksi nay koi search he nahi ki k paksitan may honda or toyota kay ilawa baki compnaia kyoun nahi hain
 

arafay

Chief Minister (5k+ posts)
Waisay ye bhi eik moama hay jis pe ksi nay koi search he nahi ki k paksitan may honda or toyota kay ilawa baki compnaia kyoun nahi hain

buht acha sawal ha. iska jawa ha ke pakistan ki economy cartels ke hathon me ha. isliye ye log apas me mil baant ke khatay hain aur kisi aur ko anay nahi dete.

musharraf ke hi daur me pakistan ki pehli car nikli jiska name tha adam revo. aaj kal india ki tatta cars ka buht shor suna hoga apne. use 10 saal pahle pakistan ne locally manufactured gari banali thi. wo gari mehran ke size ki aur entry level car ke taur pe introduce karai gai thi.

lekin jese hi market me aai, suzuki walon ne shaukat azizi ko saaf kehdiya ke ager pakistan govt ne adam revo se koi gari khareedi tu suzuki pakistan me apnay operations band kardegi. is se pahle shaukat azizi ne adam revo ke owner ko ye yakeen dilaya tha ke pakistan govt aap se 500-1000 gari kharde gi.

pakistan me auto mobile sector ka sab se bara customer govt or sarkari idarah hotay. uper se ye gai thi bhi pakistan made so govt ki zimmedari thi ke usko suppoert kartay. lekin suzuki ki dhamki ke baad adam revo beth gai kyunke nai gari thi isliye logo ne risk lene se bethar mehran ko hi khareeda.
 

360turn

Minister (2k+ posts)
Two things, this should have happened in Pakistan 30 years ago. Second after Failure of Brazil they will more likely to succeed since Brazi has depleted investment, not in continue support. Thirdly being Pakistani drivers versus Indian drivers, the psychic natural interest will be higher in Pakistan. Lastly due to corruption Suzuki & Toyota were allowed to build low versions on localized international versions of cars for general public. Well done for political circles let's see the next phase. Pakistan zindabad!
 

Back
Top