Aapne meri baat ko nahi samjha... Ahl-e-ilm hone main koi burai nahi hai leken Ahl-e-ilm banne k lye Ahl-e-ilm se Seekhna zaroori hota hai... warna sab apna nuqta-e-nazar rakhenge or.... apni raaye rakh k bolenge k sab ko apni raaye rakhne ka haq hai... is tarhah hum ek Qaom to har giz nahi bansakte... Hal sirf yeh hai mere bhai k jin hone Search karlya usko Research jab karenge jab esahi Nai nai baaten apne feham se log kya karenge....
dear shadaab aur Allah aap ko sarzabzo shadaab hi rakhe. main aap ki baat samajhta hun magar tafseel se jawaab nahin diya. aap is baat ko hamesha zhen main rakhen ke insaan peda hote hen phir badte hen aur zindagi ke shuru se aakhir tak bahot se maqamaat se insaan ko guzarna padta hai. main aap se is had tak to itifaaq rakhta hun ke har shakhs ka ilm baraabar nahin hota yani kisi ko kam ilm hasil hota hai aur kisi ko ziyada. jaise ke aik bache ka ilm aik bade ke muqaable main. lakin hota yeh bhi hai ke bache agar kam waqt main ziyad ilmi baatun main lage rehen to woh badoon se ilm main aage nikal jaate hen. isi tarah agar log mukhtalif tarah ki cheezen sekhne main apna waqt lagayen ge to mukhtalif cheezen seekhen ge aik doosre se. jahan aap rehte hen wahan ka ilm aap ko mujh se behtar haasil hai aur jahan main rehtun wahan mera ilm aap se behtar ho ga. is liye ilmi ikhtilaaf koi buri cheez nahin hai aur na hi is ka tayun hi aasaan hai keh koi kon si baat seekhe aur kon si nahin. is ki waja yahee hai ke ilm aik dam se nahin pohnchta sab ko har jaga balkeh is main waqt lagta hai. jab jab insaan ki zindagi ka tajurba badta hai ilm badta rehta hai. lagta yahee hai ke aik dor aaye ga ke ilm to duniya ko har jaga dastyaab ho ga magar sif wahee seekh saken ge jo seekhna chahen ge.
is baat se aap ko yeh andaaza ho gaya ho ga keh waja ikhtilaaf ki ilm bhi hai aur aqal bhi. insaan peda hote hi aqalmand nahin ho jaata balkeh us ko aqal seekhte seekhte aati hai. aqal aur naqal do aise baaten hen jin ke baghair insaan insaan ban hi nahin sakta. sab se pehla marhala hi insaan ka khud aqal seekhna hai jo woh apne dimaagh aur hawaas ki madad se seekhta hai aur us ke aqal seekhne ki had us ka mahol hota hai jo us ko zindagi main muyasar aata hai. aaj duniya bahot qareeb aa rahee hai is liye har tarah ke mahol aapas main tasaadam pazzer hen aur in main wahee mahol bach rehe hen jin main khud aisi baaten payee jati hen jo insaanu ki behtari se mutalqa hen. yahee waja hai agar ham logoon ne in baatun ka ehsaas na kiya to phir hamara bach nikalna bahot hi mushkil hai.
quran isi liye ham ko bahot had tak samajhne ki zaroorat hai ta keh ham khud bhi aman pasand maashra banaa saken aur doosrun ko bhi namuna ban kar apni taraf matwaajeh kar saken. isis liye jin baatun ki hamaare paas acche hone ki daleel hi na ho kerh ham aurun ko us ka kaail kar saken to phir ham kpo bhi woh soch chor deni chahiye kyunkeh ghalat baatun par qaaim reh kar ham na apna faaidah kar sakte hen na doosrun ka.
aaj khuli soch ki zaroorat hai isi liye ham ko apna zehnband mahol khatam kar ke logoon ke zehn bhi islam ki taraf kholne hun ge. woh raasta ham ko phir maloom karna ho ga jo ham ko 1400 saal pehle bataaya gayaa tha.
woh raasta ham ko apni daide eent ki masjid alag banaane se nahin mile ga balkeh insaaniyat ne jo quaido zawaabit mussallama maan liye hen un ke mutaabiq islam ko haq saabit karne se mile ga. isi liye jab ham un qawaneeno zawaabit aur aqdaar ko saamne rakh kar quran ko dekhen ge to na sirf hamaare balkeh tamaam duniya ke masaail hal karne main bahot hi madad mila gi woh madad jo tamaam khudayee paighambrun ko khudaa ne apni wahee ke zariye di. yahee waja hai jab ham aqal ki us sata par pohnch jaayen ge jaham ham ko quran pohnchaana chahta hai to phir ham main ikhlaaf khatam ho jaaye ge kyun us maqaam se har sawaal ka jawaab saaf saaf dikhayee deta hai.
yun samjhe keh jan ham pweda hue kisi ne hamaare aage maths ki kitaab rakh di dasween jamaat ki. is ke baad ham batadreej maths seekhte rehen ge hatta kah us stage pe pohnch jaayen keh us kitaab ko samajh len jo ham ko peda hote hi thamaa di gayee thi. us waqt to ham ko is ka sar per ham ko maloom hi nahin tha magar jab jab ham ilm seekhte rehe baaten ahista ahista samajh main aanen lagin. isi liye agar koi ham ko yakjaa karne ke liye zabardasti is safar se rok de to ham kabhi bhi apni manzil par nahin pohnch saken ge aur nah hi koi ham ko apne zor par yakjaa kar sake ga aur agar kisi tarah kar bhi diya to yeh itahaad ziyaadah der pa nahin ho ga. isi liye ham ko is simt nahin jaana chahiye warn na ham ab aik hun ge aur na kabhi baad main aur yun hamesha hamesha ki kashmakash main mubtila rehe ge jaise aaj tak rehe hen.
isi liye main samajhta hun ham ko un logoon ki madad karni chahioye jo ummat ko aage le jaa rehe ilmi ehtbaar se na ke un logoon ki jo ham ko bhaid bakryan banaa rehe hen.
Allah ham sab ko apni ktaab ki behtar se behtar samajh aata farmaaye ta keh ham aik doosre se achhi baaten seekh saken aur aik doosre ko achhi baaten sikhaa saken.
regards and all the best