AHADITH Nabwee pbuh KIYA KEHTI HAIN
Click here to view the original image of 816x459px and 1017KB.
Click here to view the original image of 816x459px and 494KB.
???? ?? ????? ?? ??????? ?? ??? ?? ?? ????? ???? ???
?? ?? ??? ?? ??? ????? ??? ??? ??? ??? ??? ???? ?? ????? ??? ???? ?? ?????
????? ???? ?? ?? ???
?? ??? ?? ?? ???? ?????? ???? ???
??? ??? @????? ?? ????? ???? ??? ?????? ?? ?? ???
??? ??? ??? ?? ???? ?????? ?? ?? ?? ????? ?? "???? ????? " ???? ??? ???? "????" ???? -
???? ?? ????? "???? ??? ?????" ?? ??? ????? ?? ??
"???? ?? ?? ???? ?? ????? ??? ?? ???? ?? ???? ???? ???? ??? ????? ?? ???? ???? ?? ????????? ??? ???? ???? ???? ??? ?? ??? ?? ????? ???? ?? ???? ????"
??? ????? ?? ??????
???? ????? ??? ????
????? ?? ????? ??.
@
meezan , @
indigo , @
Mughal1 , @
Benito ,
Dear watandost, jab aap itni baat hi ko nahin samajh rehe ke ise se pehle keh aap kisi bat ko batore reference pesh karen khud us baat frame of refernce jaanana zaroori hai. aasaan yun samjhen keh yeh baat apni jaga drust hai ke nabi ki baat nabi ki baat hai aur us ka apna aik munfard maqaam hai magar ise pehle yeh saabit karna intahee zaroori hai keh woh baat fil waaqehee nabi hi ki baat hai.
bil farz aik baat nabi hi ki baat saabit hoti hai to phir bhi us ko us ke maqsad ke ehtbaar se dekhaa jaaye ga. yani nabi nabi hai aur sirf khudaa hi khudaa hai lihaaza khudaa ki baat apne maqsad ke ehtbaar se dekhi jaaye gi aur nabi ki baat apne maqsad ke ehtbaar se.
1)dastoor ka haq sirf aur sirf khudaa ko hai kyunkeh woh is kaainaat ka maalik hai. kisi makhlooq ko sire hi se yeh haq hai hi nahin ke woh apne liye dastoor khud tajweez kare.
2)insaan ko dastoor saazi ka haq hi nahin hai kyunkeh insaan kaainaat ka maalik nahin hai. isi liye kisi nabi ko bhi yeh haq nahin hai keh woh insaanu ke liye dastoor banaaye kyunkeh nabi khud aik khudayee mukhlooq aur insaan hai.
3) is baat se maloom hua keh nabi ko aaqaa kehna aur khud ko nabi ka ghulaam kehna quran ki roshni main drust baat nahin hai. nabi aur ummati ka taaluq ustaad aur shagird ka hai isi liye nabi ko ustaad yaa maaster kehne main koi harj nahin hai.
4) har shakhs khwaa woh nabi ho yaa aam aadmi sab khudaa ke diye hue dastoor ke paband hen kisi shakhs ke nahin. ashkhaas sirf aik doosre ke madadgaar hen dastoor ke mutaabiq.
5) khudaa ne insuaanu ko qwaaneen nahin diye balkeh qwaaneen banaane ke zaabte diye aur insaanu ko yeh haq diye hai keh woh khudayee maqsad yani islam ko aur apni zaroortun ko maddenazar rakh kar diye ge zaabtun ke mutaabiq qwaneen khud banaa len.
6) in baatun se yeh tayun karna mushkil nahin hai keh quran ki hesiyat kia hai aur ahadithe nabvi ki hesiyat kia hai.
7) Agar yeh reference framework ghalat hai to batao ke kese aur agar yeh drust hai he to is ki roshni main apni baat ko drust saabit kar ke batao sab baat yaheen khatam ho jaaye gi.
agar molavyun ne quran ko us ke samjhaane ke mutaabiq samjha hota to yeh sab masaail peda hi na hote magar in logoon ne deen ko apne maqaasid ke liye samjha aur apne maqaasid ke liye is ko badastoor istemal kiye jaa rehe hen aur awaam hai ke sochne ki takleef hi gawaara nahin karti to phir haal yahee hona tha jo ho raha hai. mullah bhi zaleel aur mullah ke peechhe chalne waale bhi, aur ummat par nazar dodaa kar dekh len.
zaroori hai keh ham log apne halaat ko drust karen aur woh tab tak nahin ho sakte jab tak ham mullah se islam ko samjhne ki koshish karen ge.
is liye zaroorat is baat ki hai keh ham khud islam ko samjhne ki koshish karen aur is ke liye mullah aur deegar ehle ilm se istifaada achhi baat hai. jab tak ham yeh rawish nahin apnayen ge ilm hamaare paas nahin aa sakta kyun ke ilm tang zehen logoon se bhaagta hai jo doosrun ki baat hi sunana gawaara nahin karte.
aik ham jaise log hen jo har shakhs ki baat sunana zaroori jaante hen kyunkeh ham ko har baat sunane se ilm ki koi na koi baat mil jaati hai aur aik aap jaise log hen keh pehle hi faila kar lete hen ham ko is aadmi ki baat ko sunana hai aur us aadmi ki baat ko nahin sunana. aise logoon ke paas ilm kahan se aaye ga jo khud par khud hi ilm ke darwaaze band kar len?
koi baat nahin sahib apni apni dhun main lage raho aur apne apne kiye ka khamyaaza bhugatate jao. khudaa ka qanoone fitrat atal hai aur kisi ka lihaaz nahin karta.
khudaa ham sab ki apne kalaam ko samjhne main apne kalaam hi se rahnumayee farmaaye.