A very Intresting Debate on Beard (DARHI) - Javed Ahmed Ghamidi

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Janab aapke Framework per amal karna k baad Har Ghar main Ek Javed Ghamidi betha hua hoga apni baat or apni zid per ara hua... Beshak Allah ne logon ko zaabte dye hain leken Aamil or Aalim main farq hota hai.

aap ki yeh baat drust hai keh agar meri samajh main aaye hue framework par amal kiya jaaye to har ghar main ehle ilm peda hun ge aur thoda aage sochen ke jab aise log peda ho jaayen ge to nateeja kia nikle ga. yahee ke elhle ilm un baatun par bilkul muttafiq ho jayen ge jin par un ko dalaail muyassar hun ge aur un par jhagda nahin karen ge jin par pichhle 13 sadyun se jhagde chal rehe hen aur hamesha badhte rehe hen.

doosre lafzun main jis raaste par ummat aaj tak chali aa rehee hai us main un ko kia mila jo ummat main ilm aa jaane ke baad kho jaaye ga?

jab aap ke paas waqt ho is darse quran ko sunye shaaid is main aap ko kuchh aisa mil jaaye jis ki aaj ham ko behesiyate qaom zaroorat hai.

http://archive.org/details/DarseQuranSuraAlAraafAyah130To141ByGhulamAhmedParwez
 

WatanDost

Chief Minister (5k+ posts)
watan dost bhai aap ne to kamaal ki bhi taangen tod kar rakh deen. aap ke jawaab se maloom hota hai aap shari istalahaat se be bekhabar hen. [HI]agar quran aur hadith main har cheez defined kar di gayee hai to phir fiqh ke tamaam quaido zawaabit bekaar thehre kyunkeh aap ke bakol woh falsfa thehra.[/HI] ab main aap ko kaise samjhaon jab aap kisi baat par ghor karne ko tayaar hi nahin.main sirf itna hi kahun ga keh aap masaail main uljhane se pehle un quaido zawaabit ko maloom karen jin ki bunyaad par fiqh murattab ki jaati hai. aap ko yeh bhi uljhan hai ke falsafe kia hai aur us ko kis hesiyat se rad ya qabool kiya jaata hai.

Quran main koi hokam aisa nahin hai jis ki waja na batayee gayee ho aur aap ke mutaabiq hokam aa gayaa to kaam shuru. aap ko maine misaal bhi di thi keh quran main agar kaha gayaa hai kaafirun ko qatal karo to uth kar chal nahin dena kaafirun ko qatal karne balkeh pehle maloom kar lena keh aisa kis liye kaha gayaa hai. ab yeh aap ke liye falsfe ka masla ban gayaa kyunkeh quran aadmi ko aqal istemal karne ki dawat de raha hai. Quran main ahkaam batore ahkaam bayaan hi nahin hue balkeh batore namoona bayaan hue hai kulia bataane ke liye keh qawaaneen banaane ke liye kin cheezun ko madde nazar rakhna zaroori hai. qanoon ka bhi to koi nakoi maqsad hota hai aur hokan se bhi koi na koi maqsad hi haasil karna masood hota hai. bila maqsad na qawaaneen banaaye jaate hen na ahkaam diye jaate hen.

behtar tha khudaa aap ke soch ke mutaabiq ahkaam deta taa keh ham ko apna dimaagh istemaal karne ki zaroorat bahot hi kam padti. uthaa hokam pada aur amal kar daala. us waqt masla yeh pesh aa jaata keh phir qwaaneen ki list inti lambi ho jaati jin ki ham ko zaroorat thi ke un ko yaad rakhne ke liye ham ko kisi aur tarah ke dimaagh ki zaroorat padti. na sirf yeh aur bhi bahot si matalqa baatun ko aur tareeqe se khaa ko karne ki zaroorat padti. problem yeh hai jab khudaa apna mansooba banaa raha tha aap log mojood na the warna aap koi achha mashwara de dete.

bhia aap apni soch ko buland karne ki koshish karen Allah behtar kare ga.


Yaar Main nai BArAY Baray DEEDH daikhaY hain.
Aap janab Sab kai sardar ho.

Main AAP ki Baat sai hi Sawal Poochta hoon
Ab aap TO THE POINT Jawab DaitaY jao.
TAQrEEr Nahi ChahYe PLEASE.

FIQAH chaar FUQAH nai KIS BUNYAAD per BANAYA,
Quran aur Sunnat/HADITH ki bunyaad per Ya kissi Aur BUNYAAD per ????
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Yaar Main nai BArAY Baray DEEDH daikhaY hain.
Aap janab Sab kai sardar ho.

Main AAP ki Baat sai hi Sawal Poochta hoon
Ab aap TO THE POINT Jawab DaitaY jao.
TAQrEEr Nahi ChahYe PLEASE.

FIQAH chaar FUQAH nai KIS BUNYAAD per BANAYA,
Quran aur Sunnat/HADITH ki bunyaad per Ya kissi Aur BUNYAAD per ????

yeh logoon ke aqal hi ki pedawaar hai agar aap thoda is par ghor karo ge warna quran hadith to pehle hi mojood the. phir yeh keh aisa karna achha tha ya nahin is par aik arse se behsen jari hen. taqleed par tanqeed ajista ahista badhti hi rahee hai aur aaj to bahot hi ziyada hai. waja yahee hai keh is ki waja se ummat jahaalat main phans gayee.

http://www.youtube.com/watch?v=4nbmIvhQh20&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=HKpZ5f6IDug&feature=related
http://www.youtube.com/watch?v=SIZJr-v3-pk&feature=relmfu
http://www.youtube.com/watch?v=by87KnEk_SY&feature=relmfu


http://www.youtube.com/watch?v=cwMt5A_VtX8

http://www.youtube.com/watch?v=mgo4aGe1OGc&feature=fvwrel

http://www.youtube.com/watch?v=FKs7oi_-NUo&feature=related

http://archive.org/details/DarseQuranSuraAlAraafAyah130To141ByGhulamAhmedParwez

http://www.youtube.com/watch?v=ubqoVngXq8k&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=Aq6qqKaj2eU&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=lGikGf32FMQ&feature=related

http://www.youtube.com/watch?v=prCxXJZurCE&feature=related
 
Last edited:

shadab

New Member
aap ki yeh baat drust hai keh agar meri samajh main aaye hue framework par amal kiya jaaye to har ghar main ehle ilm peda hun ge aur thoda aage sochen ke jab aise log peda ho jaayen ge to nateeja kia nikle ga. yahee ke elhle ilm un baatun par bilkul muttafiq ho jayen ge jin par un ko dalaail muyassar hun ge aur un par jhagda nahin karen ge jin par pichhle 13 sadyun se jhagde chal rehe hen aur hamesha badhte rehe hen.

doosre lafzun main jis raaste par ummat aaj tak chali aa rehee hai us main un ko kia mila jo ummat main ilm aa jaane ke baad kho jaaye ga?



jab aap ke paas waqt ho is darse quran ko sunye shaaid is main aap ko kuchh aisa mil jaaye jis ki aaj ham ko behesiyate qaom zaroorat hai.

http://archive.org/details/DarseQuranSuraAlAraafAyah130To141ByGhulamAhmedParwez

Aapne meri baat ko nahi samjha... Ahl-e-ilm hone main koi burai nahi hai leken Ahl-e-ilm banne k lye Ahl-e-ilm se Seekhna zaroori hota hai... warna sab apna nuqta-e-nazar rakhenge or.... apni raaye rakh k bolenge k sab ko apni raaye rakhne ka haq hai... is tarhah hum ek Qaom to har giz nahi bansakte... Hal sirf yeh hai mere bhai k jin hone Search karlya usko Research jab karenge jab esahi Nai nai baaten apne feham se log kya karenge....
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
Aapne meri baat ko nahi samjha... Ahl-e-ilm hone main koi burai nahi hai leken Ahl-e-ilm banne k lye Ahl-e-ilm se Seekhna zaroori hota hai... warna sab apna nuqta-e-nazar rakhenge or.... apni raaye rakh k bolenge k sab ko apni raaye rakhne ka haq hai... is tarhah hum ek Qaom to har giz nahi bansakte... Hal sirf yeh hai mere bhai k jin hone Search karlya usko Research jab karenge jab esahi Nai nai baaten apne feham se log kya karenge....

dear shadaab aur Allah aap ko sarzabzo shadaab hi rakhe. main aap ki baat samajhta hun magar tafseel se jawaab nahin diya. aap is baat ko hamesha zhen main rakhen ke insaan peda hote hen phir badte hen aur zindagi ke shuru se aakhir tak bahot se maqamaat se insaan ko guzarna padta hai. main aap se is had tak to itifaaq rakhta hun ke har shakhs ka ilm baraabar nahin hota yani kisi ko kam ilm hasil hota hai aur kisi ko ziyada. jaise ke aik bache ka ilm aik bade ke muqaable main. lakin hota yeh bhi hai ke bache agar kam waqt main ziyad ilmi baatun main lage rehen to woh badoon se ilm main aage nikal jaate hen. isi tarah agar log mukhtalif tarah ki cheezen sekhne main apna waqt lagayen ge to mukhtalif cheezen seekhen ge aik doosre se. jahan aap rehte hen wahan ka ilm aap ko mujh se behtar haasil hai aur jahan main rehtun wahan mera ilm aap se behtar ho ga. is liye ilmi ikhtilaaf koi buri cheez nahin hai aur na hi is ka tayun hi aasaan hai keh koi kon si baat seekhe aur kon si nahin. is ki waja yahee hai ke ilm aik dam se nahin pohnchta sab ko har jaga balkeh is main waqt lagta hai. jab jab insaan ki zindagi ka tajurba badta hai ilm badta rehta hai. lagta yahee hai ke aik dor aaye ga ke ilm to duniya ko har jaga dastyaab ho ga magar sif wahee seekh saken ge jo seekhna chahen ge.

is baat se aap ko yeh andaaza ho gaya ho ga keh waja ikhtilaaf ki ilm bhi hai aur aqal bhi. insaan peda hote hi aqalmand nahin ho jaata balkeh us ko aqal seekhte seekhte aati hai. aqal aur naqal do aise baaten hen jin ke baghair insaan insaan ban hi nahin sakta. sab se pehla marhala hi insaan ka khud aqal seekhna hai jo woh apne dimaagh aur hawaas ki madad se seekhta hai aur us ke aqal seekhne ki had us ka mahol hota hai jo us ko zindagi main muyasar aata hai. aaj duniya bahot qareeb aa rahee hai is liye har tarah ke mahol aapas main tasaadam pazzer hen aur in main wahee mahol bach rehe hen jin main khud aisi baaten payee jati hen jo insaanu ki behtari se mutalqa hen. yahee waja hai agar ham logoon ne in baatun ka ehsaas na kiya to phir hamara bach nikalna bahot hi mushkil hai.

quran isi liye ham ko bahot had tak samajhne ki zaroorat hai ta keh ham khud bhi aman pasand maashra banaa saken aur doosrun ko bhi namuna ban kar apni taraf matwaajeh kar saken. isis liye jin baatun ki hamaare paas acche hone ki daleel hi na ho kerh ham aurun ko us ka kaail kar saken to phir ham kpo bhi woh soch chor deni chahiye kyunkeh ghalat baatun par qaaim reh kar ham na apna faaidah kar sakte hen na doosrun ka.

aaj khuli soch ki zaroorat hai isi liye ham ko apna zehnband mahol khatam kar ke logoon ke zehn bhi islam ki taraf kholne hun ge. woh raasta ham ko phir maloom karna ho ga jo ham ko 1400 saal pehle bataaya gayaa tha.

woh raasta ham ko apni daide eent ki masjid alag banaane se nahin mile ga balkeh insaaniyat ne jo quaido zawaabit mussallama maan liye hen un ke mutaabiq islam ko haq saabit karne se mile ga. isi liye jab ham un qawaneeno zawaabit aur aqdaar ko saamne rakh kar quran ko dekhen ge to na sirf hamaare balkeh tamaam duniya ke masaail hal karne main bahot hi madad mila gi woh madad jo tamaam khudayee paighambrun ko khudaa ne apni wahee ke zariye di. yahee waja hai jab ham aqal ki us sata par pohnch jaayen ge jaham ham ko quran pohnchaana chahta hai to phir ham main ikhlaaf khatam ho jaaye ge kyun us maqaam se har sawaal ka jawaab saaf saaf dikhayee deta hai.

yun samjhe keh jan ham pweda hue kisi ne hamaare aage maths ki kitaab rakh di dasween jamaat ki. is ke baad ham batadreej maths seekhte rehen ge hatta kah us stage pe pohnch jaayen keh us kitaab ko samajh len jo ham ko peda hote hi thamaa di gayee thi. us waqt to ham ko is ka sar per ham ko maloom hi nahin tha magar jab jab ham ilm seekhte rehe baaten ahista ahista samajh main aanen lagin. isi liye agar koi ham ko yakjaa karne ke liye zabardasti is safar se rok de to ham kabhi bhi apni manzil par nahin pohnch saken ge aur nah hi koi ham ko apne zor par yakjaa kar sake ga aur agar kisi tarah kar bhi diya to yeh itahaad ziyaadah der pa nahin ho ga. isi liye ham ko is simt nahin jaana chahiye warn na ham ab aik hun ge aur na kabhi baad main aur yun hamesha hamesha ki kashmakash main mubtila rehe ge jaise aaj tak rehe hen.

isi liye main samajhta hun ham ko un logoon ki madad karni chahioye jo ummat ko aage le jaa rehe ilmi ehtbaar se na ke un logoon ki jo ham ko bhaid bakryan banaa rehe hen.

Allah ham sab ko apni ktaab ki behtar se behtar samajh aata farmaaye ta keh ham aik doosre se achhi baaten seekh saken aur aik doosre ko achhi baaten sikhaa saken.

regards and all the best
 

JusticeLover

Minister (2k+ posts)
default.jpg


thanks for sharing very informative video.:jazak:
 

Back
Top