Why your prayer not stopping you from bad things

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
aap ki baat gawahi ki had tak to drust hai magar gawahi bhi wohee mohtabar hai jis ko sach saabit kiya jaa sake. haqaaiq aur usoolun ke khilaaf koi gawahi bhi mohtabar saabit ho hi nahin sakti. matlab ye keh sirf aur sirf drust baat hi drust saabot ki jaa sakti hai. haan agar baat drust maloom ho to gawahi us ko saabit zaroor ker sakti hai agar us ke khilaaf usse mazboot gawahi na ho.
آپ کی بات کو درست مانا جا سکے اس کے لیے آپ گواہی لے آئیں اسے معتبر ثابت کریں
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)

main ne apna nuqta e nazar tafseel ke saath bayaan ker diya huwa hai aap us ko padh len aur us ko samajhne ki koshish bhi karen.

rahee baat gawahi aur saboot ki to aap ye bataayen saboot hota kia hai aur woh kaise kisi daawe ko saabit kerta hai.

agar aap ko maloom na ho to phir bhi aap mere diye ge link ko padhen wahaan aap ko ye malumaat tafseel ke saath mil jaayen gi.

hamaari behs is baat per hai keh kia quraan ke context main lafze salaah ka maani namaaz ho sakta hai ya nahin? aap kehte hen salaat ka maani namaaz hai aur main kehta hun aisa mumkin hi nahin hai.

ab sawaal peda hota hai ye ikhtilaaf door kaise ho sakta hai? aap ke khayaal main is ka hal ye hai keh kuchh rawayaat le len jo aap ki baat ko drust saabit ker den to masla hal ho jaaye ga. mere nazdeek masla ka ye hal mumkin hi nahin hai. wajah? wajah ye hai keh khudaa ham insaanu se aisi baatun ka taqaaza ker hi kaise sakta hai jin ko woh poora hi na ker sake kyunkeh us ke liye aisi baatun ka poora kerna mumkin hi nahin hai?

main yahaan per in baatun ki tafseel main nahin jaana chahta kyunkeh main ye sab baaten pehle hi tafseel ke saath bayaaan ker chuka hun.

islam ke paanch arkaan per meri achhi khasi explanation mojood hai us ko ghor se padh len baaten khud hi saaf hona shuroo ho jaayen gi.
 
میں آپ کے اور آپ میرے نقطہ نظر سے آپ اچھی طرح واقف ہیں. لہذا اسے کریدنے کی ضرورت نہیں ہے.

دوسروں پر جرح کرنے میں بہت جلدی کرتے ہیں اب آپ سے ثبوت مانگے گئے ہیں تو گفتگو کو ثبوت کی تشریح طرف موڑ دیا

صلوه کا مطلب نماز لیا جائے یا کچھ اور اس سے نہیں پڑتا. قرآن نے اسے کس مقصد کے استعمال کیا ہے اور سنت رسول سے کیا ثابت ہے وہ اہم ہے. اب کوئی کہے کے اسے چودہ سو سال بعد قرآن میں استعمال ہونے والے لفظ کا صحیح مطلب معلوم ہو ہے تو اس کی ذہنی حالت پر ترس ہی کھایا جا سکتا ہے

چاہے جتنی بھی مفصل ہو آپ یا آپ کے کسی امام کی ذاتی رائے میرے لیے کوئی معنی نہیں رکھتی​
 
aap kyun aisi behs main pad rahe hen jis ke baare main aap ne sochne ki zehmat kabhi gawaara hi nahin ki hai?

mere sawalaat her aik ke liye aaj bhi wohee hen. zabaan kia shai hai, ye kahaan se ayee hai? ilfaaz bane kaise aur un ke maani kahaan se aur kaise aaye waghera waghera? aap agar link ko padh saken to ibtadaa main kuchh aisi hi baaten aap ko milen gi. jab tak aap in bunyaadi baatun ki ehmiyat ko samajhne se qaasir rahen ge aap idhar udhar ki baaten hi kerte rahen ge.

jab tak aap insaani zabaan ke baare main khud ko educatre nahin kerte aap confused hi rahen ge. jis ke nateeje main aap ghalat baatun ko saheeh samajhte rahen ge aur saheeh baatun ko ghalat. main yahee mashwara doon ga aik baar links ko achhi tarah se padh hi lijiye shaaid baat ban hi jaaye.
 
main ne ye baat bhi aap se poochhi hai keh saboot kia hota hai. main dohraa is liye rahaa hun kyunkeh aap ne kahaa hai main ne aap ko tashreeh ki taraf phair diya hai. is ka matlab yahee hai keh aap ko tashreeh aur saboot ke darmiyaan link maloom nahin hai. jab tak aap mukhtalif kadiyan aapas main milaa ker dekhna nahin seekhen ge baat bane gi nahin. issi liye aap ko agar aap ker saken to mera likhaa huwa zaroor hi padh lena chahiye.
 
atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
aap kyun aisi behs main pad rahe hen jis ke baare main aap ne sochne ki zehmat kabhi gawaara hi nahin ki hai?

mere sawalaat her aik ke liye aaj bhi wohee hen. zabaan kia shai hai, ye kahaan se ayee hai? ilfaaz bane kaise aur un ke maani kahaan se aur kaise aaye waghera waghera? aap agar link ko padh saken to ibtadaa main kuchh aisi hi baaten aap ko milen gi. jab tak aap in bunyaadi baatun ki ehmiyat ko samajhne se qaasir rahen ge aap idhar udhar ki baaten hi kerte rahen ge.

jab tak aap insaani zabaan ke baare main khud ko educatre nahin kerte aap confused hi rahen ge. jis ke nateeje main aap ghalat baatun ko saheeh samajhte rahen ge aur saheeh baatun ko ghalat. main yahee mashwara doon ga aik baar links ko achhi tarah se padh hi lijiye shaaid baat ban hi jaaye.
بات زبان جانے سے زیادہ ہدایت یافتہ ہونے کی ہے. قرآن مجید کو صرف اپنی سمجھ کے مطابق سمجھنے کی ضد کر لی جائے تو لغت، محاورے اور اصول بھی مات کھا جاتے ہیں
Wake up Pak arifkarim
 
Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
بات زبان جانے سے زیادہ ہدایت یافتہ ہونے کی ہے. قرآن مجید کو صرف اپنی سمجھ کے مطابق سمجھنے کی ضد کر لی جائے تو لغت، محاورے اور اصول بھی مات کھا جاتے ہیں
Wake up Pak arifkarim

main ne jo kahaa hai aap us ki roshni main apne jawaab per roshni daaliye. kia parwez sb, modoodi sb, dr israr sb, ghamdi sb ya kisi aur shakhs ne khawaa woh muslim ho yaa nonmuslim is per koi baat ki hai? agar ki hai to woh share karen. ye nuqta samajhna intahee aham hai aur ye aham kyun hai ye main ne link main bataaya huwa hai. issi tarah ke deegar naqaat per bhi aap zaroor hi ghoro fikar karen taa keh baat aap ki samajh main aa sake aur aap tohaam parasti ko chhor saken.

yaad rakhen zabaan pehle ayee phir qawaaido zawaabit maloom kerne ki koshish ki gayee taa keh aik zabaan ki madad se doosri zabaan seekhne main madad li jaa sake. is ke baojood bahot si baaten qawaaido zawaabit ke teht nahin aatin ya un ke qawaaido zawabit ham ko aaj tak maloom nahin ho sake.

ye baat hi ghalat hai keh koi kahe keh fulaan lafz ka matlab sirf aur sirf yahee hai jo kisi ne kisi zamaane main kitaab main likh diya hai. is bunyaad per keh woh lafz is maani main istemaal kiya gayaa hai kisi dor main. wajah ye hai keh kisi aik lafz ke saare ke saare mataalib kisi aik shakhs ne bhi likh ker aage nahin pohnchaaye. bas jab zaroorat padi koi lafz istemal kiya gayaa kisi maani main aur bas.

quraan ke ilfaaz ke mataalib insaanu ko dhoondne paden ge her dor main apne apne waqt ke mutaabiq jaisa keh main ne explain kiya huwa hai. isi liye quraan ki nai nai tafaseer ki her dor main zaroorat rahe gi taa keh quraan ke ilfaaz ke asal maani saamne laaye jaa saken.

aik bahot hi bada ikhtilaaf to yaheen se shuroo ho jaata hai keh islam deen hai ya mazhab. phir bahot se ilfaaz ke motazaad maani hote hen. issi liye quraan ke text ke drust context ko maloom kerne ki zaroorat pesh aati hai. issi liye mumkinaat se guzar ker hi asal baat tak pohnchaa jaa sakta hai warna nahin.

agar aap diye ge link ko padte to aap ko khud hi pata chal jaata ghamdi sb ka nuqtae nazar ghalat kyun hai zabaan ke baare main. ghamdi sb ne parwez sb ke tarze tafseer per aik poora lecture diya huwa hai. unhune zabaan ke wajood main aane aur progress kerne ke baare main koi baat hi nahin ki hai jisse un ko maloom hota keh un ka nuqtae nazar ghalat kyun hai.

میں اپنے موقف پر روشنی ڈال چکا ہوں. قرآن مجید کو صرف اپنی سمجھ سے سمجھنے والوں کی سمجھ کی مثال بھی دے دی ہے
 
mpyevkiq

Voter (50+ posts)
کیا خوب کہا ڈاکٹر اسرار نے

اوۓ پاکستان کے بیشرمو، اوۓ یوتھیو، تم جب نماز پڑھتے ہو تو عمران خان کے اگلے جلسے کے بارے میں سوچنا شروع کر دیتے ہو، اپنے حقوق کیلئے آواز اٹھانے کا سوچتے ہو؟

نماز ٹھیک سے نہیں پڑھتے بلکہ سوچنا شروع کر دیتے ہو کہ نواز شریف اور زرداری پچھلے بیسیوں سال سے ملک کا خون چوس چوس کر ملک کی بینڈ بجا رہے ہیں؟

خضوع اور خشوع کی بجاۓ اسحاق ڈار کا سوچتے ہو جو سزا یافتہ مجرم تھا لیکن اب سب کچھ معاف اور وہ ملک کے خزانے پر سانپ کی طرح آ کر بیٹھ گیا ہے؟

تم سجدہ کرتے وقت سوچ رہے ہو کہ اب ان مگر مچھوں کی نئی نسل، مریم نواز، حمزہ شہباز، بلاول زرداری، آصفہ زرداری، ایمل ولی خان، اور اسعد محمود، تیار ہو چکی ہے، مسلط ہو کر بچا کھچا ملک کا گوشت اور اسکی ہڈیاں نوچنے کیلئے؟

یار تم لوگ ڈرتے نہیں؟ کتنے بےشرم ہو؟ کتنے بیغرت ہو؟

بیشک تمھاری نماز تمہیں ملک میں ہوتی ہوئی ناانصافی کے بارے میں سوچنے سے نہیں روک رہی، تم نماز ہی ٹھیک سے نہیں پڑھ رہے

ڈاکٹر اسرار ماڈل ٹاؤنیے کو نواز شریف ماڈل ٹاؤنیے کی طرف سے سونے کا تمغہ ملنا چاہئیے، اس نے پاکستان کے کروڑوں عوام کو ان کی اوقات یاد دلانے میں اپنی ساری عمر وقف کر دی
 
Last edited:

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
میں اپنے موقف پر روشنی ڈال چکا ہوں. قرآن مجید کو صرف اپنی سمجھ سے سمجھنے والوں کی سمجھ کی مثال بھی دے دی ہے

aap agar apni baat per ghor karen to aap ka to koi moqif hai hi nahin. is liye keh aap hi to keh rahe hen keh apni taraf se baat kerna sire hi se ghalat hai.

is ke baraks mera kehna ye hai keh her insaan baat sirf aur sirf apni taraf se hi ker sakta hai. warna main agar aap ki taraf se koi baat karun ga to aap us per ehtaraaz ker den ge keh ye to meri baat hi nahin hai.

phir ye keh main ne aap ko apna moqif bataane ka nahin kahaa hai balkeh main ne jo kuchh likhaa hai us ko saamne rakh ker aap ko apni baatun per ghoro fikar ki dawat di hai.

aap ke jawabaat se aap bahot hi ziyaada confused maloom hote hen issi liye aap ko baaten samajhne main shadeed uljhanu ka saamna hai. jab tak aap usoolun ke mutaabiq baaten kerna aur samajhna nahin seekhte aap ki ye uljhane door ho hi nahin saktin. aap hi nahin jo log bhi usoolun ke mutaabiq nahin chalte woh kabhi bhi us satah per pohnch hi nahin sakte keh woh khud baatun se koi usool maloom ker saken.

is ki misaal aap yun samjhen keh aik hai riyaazi ke sawaalaat ko riyaazi ke mojood formulun ke mutaabiq hal kerna aur doosra hai riyaazi se mutalqa nai nai peda hone waale sawalaat ko hal kerne ke nai nai tareeqe ya formule dhoondna. jo shakhs riyaazi ke formulun ke concept se hi waaqif nahin hai usse ham nai tareeqe dhoondne ki tawaqo kaise ker sakte hen?

yahee wajah hai kisi mullaan ne aaj tak koi qanoone qudrat maloom nahin kiya. kyunkeh un ko aisi baatun se kia lena dena?

rahee aap ki pesh kerda misaal to aap khud hi sochiye keh is main kitna dam hai? kia kisi ghalat baat ko maan lena aqalmandi hai ya us ki koi aur tojeeh pesh kerna agarche keh woh tojeeh bhi ghalat hi saabit ho? pioneers hamesha se ghalatyiyan kerte aaye hen. wajah yahee hai keh insaan bila ghalatiyan kiye kuchh seekh hi nahin sakta keh aisa mumkin hi nahin hai. agar aisa mumkin hai to aap bataa den? lihaaza ghalat baatun ko ghalat kehne ki aadat daaliye aur un baatun ke peechhe mat chaliye.

aap samait mullaan ka yahee aqeeda hai keh paighambar ki zindagi sab insaanu ke liye aik behtarteen namoona hai. kia aap ki ye baat drust ho sakti hai? kaise? agar aap is baat ko saabit na ker saken to aap ko aise aqeede se toba kerni chahiye aur is baare main drust baat ko maloom ker ke us ko aqeeda banaana chahiye.

ab aap kahen ge jab sadiyun se sab yahee maante aa rahe hen to main kaise is baat ko chhor sakta hun? yahee baat isaai kehte hen isaa ke baare main. jab sab sadiyun se un ko khudaa ka beta maante aa rahe hen to phir is aqeede ko kaise chhor den? yahee wajah hai agar usoolun ko aik taraf rakh diya jaaye to insaanu ko uljhanu ke siwaa kuchh bhi haasil nahin hota.

sadiyun se log mullaan ke islam ke hi ghulaam hen warna un ki ye haalat na hoti jo hamaare saamne hai. jab tak log mullaan ke islam ko chhor ker drust islam ko maloom ker ke us ko apnaate nahin musalmaanu ki haalat badalne waali nahin hai.