Proud Pakistani

laiq

Politcal Worker (100+ posts)
What is This???

Why we Support Imran Khan

A One Man Political Party???

Jo kisi or ko apnay aap sey ziada aqulmund nhi samjhta in his own party???

jo khud apni party mien eik dictator ka role play ker raha hai...

sorry....
 
Bhai, aap ko kessey pata k Imran Khan kissi aur ko apney sey aqalmand nahin samjhta aur woh apni party mein dictator hey? Aap uss ki party joi karein aur khus dekhein.Ager phir woh aap ko dictator lagey tu uss k khilaaf saboot akhtey ker k qaum ko dikhaein.Yoon door sey kissi k barey mein negative sooch nahin banani chaheiy.Woh awam ki baat kerta hey aur such bolta hey,koi mushkil baatein nahin kerta jo aap ko laga k woh apney aap ko boht aqalmand samjhta hey.Woh hum logoon ko umeed detta hey.Kissi k barey mein comments denein k liye uss ko achi tarh jannana aur samjhna chaheiy.Allah ham sab ko sedha rasta dikhaey aur sach tak poohnchney ki tofeeq dey.
 

laiq

Politcal Worker (100+ posts)
dear muhammad rahman
imran khan pervez musharraf ki himayat kerta tha, phir usko khayal aaya kay maafi maang li, altaf hussain kay khilaf bola kay eik haftay mien woh griftaar hoga, aaj tuk kuch nhi howa, jo insaan kul tuk nawaz shareef ko currpt tareen insaan kehta tha aaj uskay saath betha hai, giraftari ka waqt paish aaya tou bhaag gia, zardari nay graduation ki shurt khatum ki tou khan sahab ka eik bhi comment nhi aaya, khan sahab ki party ka koi eik bhi admi aisa nhi jo media kay samnay aa kay baat ker sakay, na hi koi unki ijazat kay bina media sey directly koi baat ker sakta hai, leadership ki baatien kertay hain or aaj tuk apni party mien eik bhi leader produce nhi ker sakay.....yeh to surface level ki baatien hain, detail sunna chahien gey????

janab aali, individual faislay kernay wala shaks dictator hota hai, democratic form of government ka mutlab hota hai sub ki rai ka ehtram kerna, apni party mien aaj tuk woh aisa nhi ker sakay, tehreek e insaf kay manshoor mien likha hai kay party leader ki kisi baat or position ko challenge nhi kia ja sakta party kay under.....aap pehlay party ka manshoor tou perh lien, yaa agar chahien tou or under ki baat bata sakta hoon.....

politician or such bolay???? kahan hain aap????