Nawaz Sharif offers PML-N ticket to Javed Hashmi

Annie

Moderator
Finally Hashmi is showing his real face. Good to see the cat out of the bag.

--------------------------------------
lfld0.gif

 

Altaf Lutfi

Chief Minister (5k+ posts)
Hashmi sahib bakaoo maal nahin hain..yaad rakhna Bro, Hashmi ke khilaf koi disinformation kam nahin karay gi kyun ke Hashmi sahib is man of integrity

Mujh se zyada tu Hashmi sahib ka maddaah shayad hi koi ho, 1968 se in ko watch kar raha hoon.lekin yaad rakhna chahiyay keh waqt k saath insaan bhi badaltay hai, Hashmi sahib aakhir ek insaan hi tu hain, un k saath PML-N ne zidati ki tu inteqaman PTI main chalay aaye, un ki baghiana jabillat k liay PTI fit thi magar PML-N k liay saalon ki mushaqqat ko ganwa dena bhi aasan nai tha, isi liay PTI k plateform se Nawaz Shareef ko apna leader mana tu yeh gehray qalbi ta'alluq ka azhaar tha.

Mera khayal hai keh 10 August se un ki phone calls ka record dekh kar mazeed haqeeqat se aankhain churana mumkin naheen. har koi Nelson Mandela nai hota, musalmaan zaroor bikta hai, qeemat theek lagay tu. Agar hashmi wohi purana daler Hashmi hota tu PML-N ki taraf se himayat par tamancha raseed karta kyun keh us par PTI ghaddari ka ilzaam laga rahi thi lekin us ne khair maqdam kia. sab ko saaf saaf nazar aa raha hai. main kis khushi main peetal ko sona pukaroon ? meri beenaai bhi theek hai aur aqal bhi thikanay hai.
 

Back
Top