Muhammad Ikhlaq Siddiqui

Minister (2k+ posts)
Re: Aik Shair...

IT WAS the best of times, it was the worst of times, it was the age of wisdom, it was the age of foolishness, it was the epoch of belief, it was the epoch of incredulity, it was the season of Light, it was the season of Darkness, it was the spring of hope, it was the winter of despair, we had everything before us, we had nothing before us, we were all going direct to Heaven, we were all going direct the other way- in short, the period was so far like the present period, that some of its noisiest authorities insisted on its being received, for good or for evil, in the superlative degree of comparison only.

~ Opening paragraph of Tale of Two Cities
 

Muhammad Ikhlaq Siddiqui

Minister (2k+ posts)
Re: Aik Shair...

From Macbeth


Life's is but a walking shadow, a poor player
That strets & frets his hour upon the stage
And then is heard no more:it is a tale
Told by an idiot,full of sound and fury,
Signifying nothing.
 

rana14801

Senator (1k+ posts)
Re: Aik Shair...

Rana Sahib this was my own shair.....
bhai i never said it is mine. i liked it and posted it.i can send another one i hope u like it. Hamare ghar woh aaen gay unhain ham khoob chairain gay, suna hay unko ghusey main lipat jaane ki aadet hay. i do not know who is the poet but i like it as well. regards.
 

abbasiali

Minister (2k+ posts)
دل دکھتا ہے Courtesy of Aqeel813

[MENTION=9322]aqeel813[/MENTION]
5d2d7dc05e20e66479b36ce3105099e7.jpg
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Kal Chodhween Ki Raat Thi

Kal Chodhween Ki Raat Thi, Shab Bhar Raha Charcha Tera

Kuch Ne Kaha Yeh Chaand Hai, Kuch Ne Kaha Chehra Tera

Hum Bhi Wahen Mojood The, Hum Se Bhi Sab Poocha Kiye

Hum Hans Diye, Hum Chup Rahe, Manzoor Tha Pardaa Tera

Is Shehr Mai Kis Se Milen? Hum Se To Chootein Mehfilein

Har Shakhs Tera Naam Le, Har Shakhs Deewaana Tera

Kooche Ko Tere Chor Kar, Jogi Hi Ban Jayen Magar

Jungle Tere, Parbat Tere, Basti Teri, Sehraa Tera

Hum aur rasm-e-bandagi? Aashuftagi? Uftaadgi?

Ahsaan Hai Kiya Kiya Tera, Ae Husn-E-Be’parwah Tera

Do Ashk Jane Kis Liye, Palkon Pe Aa Ke Tikk Gaye

Altaf Ki Barish Teri, Ikraam Ka Dariya Tera

Ae Be’daraigh-O-Be’amaan, Hum Ne Kabhi Ki Hai Faghan?

Hum Ko Teri Wehshat Sahi, Hum Ko Sahi Saudaa Tera

Hum Par Yeh Sakhti Ki Nazar? Hum Hain Faqeer-E-Raah Guzr

Rasta Kabhi Rokaa Tera? Daman Kabhi Thaama Tera?

Haan Haan Teri Surat Haseen, Lekin Tu Aesa Bhi Nahi

Is Shakhs Ke Ash’aar Se, Shohraa Hua Kiya Kiya Tera

Be’dard Sunni Ho To Chal, Kehta Hai Kiya Achi Ghazal

Ashiq Tera, Ruswa Tera, Shair Tera, INSHA Tera
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: دل دکھتا ہے Courtesy of Aqeel813

Hairaton ke silsilay soz e nihaan tak aa gaye
Hum nazar tak chahtay thay Aap jaan tak aa gaye.

Na-muraadi apni qismat gumraahi apna naseeb
Karwaan ki khair ho, Hum karwaan tak aa gaye.

Unki palkon per sitaaray Apnay hontton pe hansi
Qissaa e Gham kehtay kehtay hum kahan tak aa gaye.

Apni apni justujuu hai Apna apna shauq hai
Tum hansi tak na pohanchay, Hum faghaan tak aa gaye.

Zulf mein Khushbuu na thi yaa rang aariz mein na tha
Aap kis ki aarzuu mein gulistaan tak aa gaye.

Rafta rafta rang laaya jazbaa khamosh e ishq
Wo taghaful kartay kartay imtehaan tak aa gaye.

Khud tumhain chaak e girebaan ka sha`oor aa jaayega
Tum wahan tak to aao, Hum jahan tak aa gaye.

Aaj meh-kaday mein inqelaab aanay ko hai
Ehal e danish andeshai e sood o ziyaan tak aa gaye .. !!

Qabil Ajmairi ..
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: دل دکھتا ہے Courtesy of Aqeel813

Faqeerana aaye sadaa ker chalay
Miyan khush raho hum duaa ker chalay.

Jo tujh bin naa jeenay ko kehtay thay hum
So uss ehad ko ab waffaa ker chalay.

Shafaa apni taqdeer hi mein na thi
K maqdoor tak to dawaa ker chalay.

Woh kya cheez hai aah jiss k liye
Her aik cheez se dil uthaa ker chalay.

Bohat aarzuu thi gali ki teri
So yahan se lahuu mein nahaa ker chalay.

Dikhayee diye yun k be-khud kiya
Hamain aap se hi judaa ker chalay.

Jabeen sajda kartay hi kartay gayee
Haq e bandagi hum adaa ker chalay.

Parastish kii yahan tak k aye buutt tujhay
Nazar mein sabhon ki Khuda ker chalay.

Na daikha gham e dostaan shukar hai
Hamain daagh apna dikhaa ker chalay.

Gayee umar dar band fikar e ghazal
So iss fann ko aisa barrhaa ker chalay.

Kahain kya jo poochay koi hum se Meer
Jahaan mein tum aaye thay kyaa ker chalay .. !!

Meer Taki Meer ..
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

یہ سیاست فورم ہے،تمہاری بکواس اور تک بندی کے لئے نہیں۔ماڈریٹر کو اس قسم کی فالتو چیزوں کو جگہ نہیءں سینی چاہیے۔رشتے داری ہو تو بات دیگر ہے۔

Please mind your own business and let others do whatever they want to.Dont become a morality " Thekedaar " here.If you are not interested dont come on this thread and nobody wants to listen to your sermons.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: وصال و ہجر ميں يا خواب سے محروم آنکھوں ميں


بھائی الله خیر کرے
آج کل اس طرح کے بیشمار تھریڈ
کوئی پرانی یادیں آ رہی ہیں یا کسی پرانی یاد کو کنیڈا کی امیگریشن مل گئی ہے

Milley Tou Nahin.Woh koshish Ker Rahey Hain.....lol
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Tenu Mil Jaye Mehak Mohobatan Di
Sade Hisse Gum Da Zeher Hove

Tu Chumda Rahe Mukh Khushiyaan De
Sade Vehre Hanjuaan Di Neher Hove

Tenu Yaad Rave Na Naam Sada
Asi Bhuliye Rabb Te Rab Da Keher Hove

Tere Kadman Vich Hove Sir Sada
Sade Sir Mathe Tera Pair Hove

Ja Ve Sajnan Teri Khair Hove...
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Urdu Romantic Poetry by Wasi Shah

KIS QADAR ZULM DHAYA KARTE HO
YE JO TUM BHOOL JAYA KARTE HO
KIS KA AB HATH RAKH KAR SENE PAR
DIL KI DHARKAN SUNAYA KARTE HO
HUM JAHAN CHAYE PEENE JATE THE
KIA WAHAN AB BHI JAAYA KARTE HO
KAUN HAI AB K JIS K CHEHRE PAR
APNI PALKOON KA SAAYA KARTE HO
KEUN MERE DIL MEIN RAKH NAHI DETE
KIS LIYE ZULM UTHAAYA KARTE HO
FONE PAR GEET JO SUNAATE THE
AB WO KIS KO SUNAYA KARTE HO
AKHRI KHAT MEIN US NE LIKHA THA
TUM MUGHE YAAD AAYA KARTE HO



wasi-shah-meriurdu.jpg




@NightHawk

Waisey Ghazal Bhi Aachi Hai......Magar Shakal Kee Taarif Kia Baghair Nahin Reh sakta.....:lol::lol:[hilar]
 

riverblue

MPA (400+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Hanstay chehray, mehkay aangan
Thandi shaamein, raseelay saawan
Jo bhi kuch hai, isi say hai

Yahi hamari laila hai
Yahi hamari sohni hai
Yahi hamari sassi hai
Heer bhi apni yahi zameen
Yahi zameen yeh zameen
Yahi yahi zameen, yeh zameen
Bass yahi zameen, yeh zameen
Yahi yahi zameen, yeh zameen

Khushbu iss ki, rung iss kay
Jeena marna sung iss kay
Hum tou lagay angg iss kay
Yahi hai gori ki payel
Yahi hai aankhon ka kajal

Maathay ka teeka bhi yahi
Yahi hai haathon ki mehndi
Yahi zameen yeh zameen
Yahi yahi zameen, yeh zameen
Bass yahi zameen, yeh zameen
Yahi yahi zameen, yeh zameen

Yahi rasta yahi manzil
Yahi kashti yahi saahil
Yahi jaan hai yahi hai dil
Aao apnay jeewan mein
Pehla uss ka naam likhein
Pehlay uss ki baat karein
Jo apni pehchan banee

Yahi zameen yeh zameen
Yahi yahi zameen, yeh zameen
Bass yahi zameen, yeh zameen
Yahi yahi zameen, yeh zameen
 

Back
Top