canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Sara Jabeen

dil per laga ke chout muravvat nah keejiye
"izhaar-e-iltifaat kee zehmat nah keejiye"

kyaa jii sakenge aapke deedaar ke baghair
wada wafa ka karke baghaawat nah keejiye

dekar gulaab unki mehak ko na cheeniye
lillah! mere dil peh qasaawat nah keejiye

moti hamaari aankh ke arzaan nah houn kahin
dunyaa mein istarah ki sakhaawat nah keejiye

miljaayen qurbatein hamen, mitjaayein faasle
dil se duaayen keejiye, hasrat nah keejiye

majbooriy-e-firaq ka shikwa nahin bajaa
khud per na ho yaqeen tou muhabbat nah keejiye

afsaana-e-bahaar na honton pe laaiye
zikr-e-shabaab behr-e-inaayat nah keejiye

sara ko apne zauq-e-nazar per hei iatimaad
apnaa khayaal rakhiye, naseehat nah keejiye
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Suhel Khan Ulfat

merii jo maaniye to muhabbat nah keejiye
apne sukoon-e-dil se adaavat nah keejiye

main jaantaa hun baaz na aayegaa ishq se
is naa muraad dil ko naseehat na keejiye

rusvaa kahiin na kar de zamaanaa ye aapko
is darja mujh ghariib se ulfat nah keejiye

dil men tha aapke jo aakhon nah kah diyaa
"izhaare iltifaat kee zehmat nah keejiye"

maasoomon, bebason va ghariibon ki laashon par
taameer apne ghar ki imaarat na keejiye

ban jaate hain kabhii kabhii mahlon men makbare
daulat hii sirf dekh ke nisbat nah keejiye

dukh jaaye dil kisii kaa hasiin aapkiii bane
aise kabhii kisii se zaraafat na keejiye

jo ho gayaa khataa to mire dil ki kyaa khataa
phir teer chhoriye ke shikaayat nah keejiye

mar jaaye nah khushii se voh qadmon par aapke
'ulfat' par aaj itni i'naayat nah keejiye
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Ain Ul Haq Watai

raheay kaheen kisi say shararat na keejeay
koi amal khilaf-e-shariyat na keejeay

mazhab ka naam lay kay siasat na keejeay
jab haq kee baat aaey to hujjat na keejeay

makr-o-riya bina-e-siadat na keejeay
himmat agar nahi to qiyadat na keejeay

dollar ki jhalaroon ko na zanjeer-e-pa karain
umr-e-azeez nazr-e-himaqat na keejeay

pee jatay hain nichoor kay khoon-e-rag-e-ghareeb
behtar yahi ha noha-e-ghurbat na keejeay

nazuk sa aik dil tha so abb dagh dagh hay
"izhar-e-iltifat kee zehmat na keejeay"

jab bastiyan tabah hon imdad bhaijeay
lakin unhi kay haq ki himayat na keejeay

paitee pay baat aaee to jailor nay yeh kaha
hoti nahin to aap mushaqqat na keejeay

kar-e-jahan daraz hay or umr mukhtasar
haan jaeay watai say ulfat na keejeay
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Najeeb Qasir

hai gar che lakh wajhe fazilat nah keejiye
shauq-e-sukhan khilafe-e-wadiyat nah keejiye

apni riwayaton se baghawat nah keejiye
saoda usool par kisi qeemat nah keejiye

maqdoor ho to rah se hat jaiye magar
zalim ki behr tor eanat nah keejiye

chalna ghalat nahin hae kissi rahnuma ke saath
be-parkhey aitbar-e-qiadat nah keejiye

go tajrubat-e-ishq buhut khoob to nahin
yeh kis ne keh diya ke mohabbat nah keejiye

achche nahin mizaj-e-girami huzoor ke
?izhar-e-iltefat ki zehmat nah keejiye?

roothe huon ko ja ke manana pare agar
apni ana ko hael-e-ulfat nah keejiye

behter yehi hae apni khata maan lijye
kiyon kar huee hae is ki wazahat nah keejiye

izhar-e-ishq koi buri baat to nahi
qasir zaban se sharhe mohabbat nah keejiye
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Ateeq Khan Saba

kitna hi dard-o-ghum ho shikyet na kiijiye
warna , huzoor, aap mohabbat na kiiliye

such bolne ki gar nahin himmat to na sahi
par jhoot ki to aap himayet na kiijiye

sajde mein sirf sar hi jhuke dil na jhuk sake
bekar hai , phir aisi ibaadat na kiijiye

khud uth ke aap kiijiye roshan koi chiragh
yun baithe baithe shikwa-e zulmat ni kiijiye

logon mein pyar baatna mumkin nahin agar
to kum se kum kisi se adaawat na kiijiye

ho kar juda muhaal ho ieena hi aap ka
itni bhi ab kisi se mohabbat na kiijiye

sood-o-zian ki fikr hai is mein bhi aapko
ab ishq to ba - tarz -e- tijarat na kiijiye
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
nowe'e busher se aap yon nafrat nah keejiye
tari kisi ke seher pe zolmat nah keejiye



a'qal-o-sha'ur-o-fiker nahi aagahi nahi
phir karawan ki aap qayadat nah keejiey

jis ka ke karobar ho fira'un ki tarha
ayse kisi khuda ki ibadat nah keejiay

nikli jo mo.n se bat to jaey gi door tak
apni aya.n kisi pe haqeqat nah keejiye

ja ker jahan se lot ke aana mahal ho
tay aysee manzilon ki musafat nah keejiye

ujrat jo de rehe he.n to bharpoor deejeay
hergiz kisi ki raega.n mehnat nah keejiye

un se ta'loqaat na had se barhaiye
who bewafa he.n un se muhabat nah keejiye

tarz-e-'amal ne aap ka sab kuch bata dia
izhaar-e-iltifaat kee zehmat nah keejiye

danish waran-e-waqt ne mujh se kaha wazir
apne mafaad me.n koi khidmat na kejeay(Wazir Hassan Wazir)
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
badnamion key deep na jal ney lagein huzoor
hum sey ta al luqat ki shohrat nah keeiye

woh khood to khailtey hain meray dil sey raat din
aur mujh ko yeh qasam keh shararat nah keejiye

hum ko firaq -e-yaar ki aadat see ho gayei
ab aap iltefaat kee zehmat nah keejiye

ho ney laga hay khood peh hamein aur hee gumaan
allah iss qadar bhi mohabbat nah keejiye( Syed Akhtar Hussain Surosh)
 

bons

Minister (2k+ posts)
A piece of Munno Bhai's Punjabi poetry. I have also tried to translate it in Urdu for those who don't understand Punjabi.

poem1.gif


وہ بھی خوب دن تھے

وہ بھی خوب دن تھے
بھوک لگتی تھی
مانگ لیتے تھے
مل جاتا تھا
کھا لیتے تھے
نہیں تھا ملتا
رو پڑتے تھے
روتے روتے سو پڑتے تھے


یہ بھی خوب دن ہیں
بھوک لگتی ہے
مانگ نہیں سکتے
ملتا ہے تو
کھا نہیں سکتے
نہیں ملتا تو
رو نہیں سکتے
نہ رویں تو سو نہیں سکتے
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
How much I wish....





Oh Allah, how much I wish eman
in my heart so that I always remember You,
and that I do not forget You for one signle
moment. Oh my Allah, reword me with this eman.

Oh Alllah, how much I wish that I let one honest
tear only for You, and not out of burden in my heart,
and that my heart trembel every time when someone
mention Your name.

Oh Allah, how much I wish, to get up every morning
on early Fajr salah, so that I be in Your Company and
that You be pleased with me. Oh Allah, make
me firm and steadfast.

Oh Allah, how much I wish that I die ten times
like a Shaheed, and that I never feel sad because
I am leaving this passing Dunya which is like a grain of sand
infront of other World and Your Jannah.Oh Allah grant
me with Your pleasure and nothing but Your pleasure.

Oh Allah, how much I wish that I be Hoor of Jannah
and that I sing the most beautiful songs to my
loved one, that he be Mumin and one of those
who are close to You. Oh Allah, accept my dua
and reword me with this happiness.

Oh Allah, how much I wish to not pass this time
in dissobidiance to You, and that after this death
I never live to die again, worring who is
going to stay behind me and without me.

Oh Allah, how I wish to be with my parents
in prostations of Jannah,and in the company of
Prophets and all truthfull Mumins, Oh my Allah
reword me with this peace, so that my soul
find rest.


Written by; Asja
hearts.gif
 

Arslan

Moderator
Jisko lainey taajron ka dasta nikla..
Bikney aaya to tawaqu se bhi sasta nikla,


Apnay seeney mein chhupaye huye teri yadein,
Ham pe hr shakhs aawazein kasta nikla..


Ham ne hr baat boht soch smjh kr ki hai,
Bas ik lafz-e-mohabt tha jo barjasta nikla..


Wo jis ne paaon taley kitney dil masal daaley,
Kal wohi shakhs mohabbat ko tarasta nikla..


Teri muskaan se mansoob rahi rahat meri..
Mera Hr gham tere gham se paiwsta nikla.
 

Arslan

Moderator
Na bhuja chiragh-e-Diyaar-e-dil, Na bicharne ka tu malal kar
Tujhay degi jeene ka hosla, Mere yaad rakh le samhal ka

Ye bhi kya k aik hi shaks ko, kabhi sochna kabhi bhoolna
Jo na bujh sake wo diya jala, Jo na hosake wo kamaal kar

Gham-e-Aarzu mere justuju, main simat k aagaya rubaru
Ye sakoot-e-marg hai kis lye, main jawab don tu sawaal kar

Tu bichar raha hai to soch le, tera sath hai mere zindgai
Tujhay rokna mere maut hai, mere bebasi ka khayal kar

Ye jo ek sa'at-e-wasl hai, sar-e-sa'at-e-zehan jami hue
Issi ek saat-e-wasl ko kabhi maah kar kabhi saal kar

Mere dard ka, mere zabt ka, mere bebasi, mere sabar ka
Jo yaqeen na aaye to dekh le, tu hawa main phool uchaal kar

Tere sarhadon pe main kyun rukon, mujhay rok mat mujhay jane de
Mere saari umer safar ki hai, mujhay is qadar na nidhaal kar

Jo khushi mile, wo kabool kar, mujhay chor de mujhay bhool ja
Main hon "Jazib"-e-sitam aashna, tu bas apne ghar ka khayal kar
 

Back
Top