Re: Nafsi Nafsi
Moulvi is little bit out of his limits. Has he got any reference from Quran,
Bible, Pslams any revealed book, what he is talking about, has he received
Burhaan from Allah what he is saying, THAT ALL OTHER PROPHETS WILL
BE SAYING NAFSEE NAFSEE, These Moulvis do not have any limit of
exaggerating the things from their own: Would that someone put this verse
into his mind:
Ah, what will convey unto thee what the Day of Judgment is
Again, what will convey unto thee what the Day of Judgment is!
A day on which no soul hath power at all for any (other) soul.
The (absolute) command on that day is Allah's.
Sura (82:17-19)
Only Allah knows from where these Moulvi bring their statements????
brother reference mangna tumhara haq banta hai lakin buhtan tu na dharo Maulana per. Aap ne kya poora quran parha hai? kya apko pata hai kah aisa kahin b nahi likha? agar aapko b poorai quran aur hadith ka ilam nahi tu aise shakhs par bila waja buhtan dharna kahan ka insaaf hai jis ne ba-qaida quran ki aur hadith ki taleem li hai, ussk liay Arbi zubaan seekhi hai aur poori umer deen ki khidmat k liay waqf kr di haibgair kisi faida k aur profit k
aur meray bhai mein apko isska reference tu nahi de skta kah ye kahan likha hai lakin ye zroor kahta hon kah Allah k saarai nabi barguzeedah aur aam insaan se fazeelat mein buht oonchai hein. lekin Allah k nazdeek nabiyoun ki fazeelat mein farq zroor hai aur ye buht c cheezon mein saabat ho skta hai. kuchh mein bata daita hon aur kuch k baaraim mein aap khud tehqeeq kr lein.
1. Allah ne 1,24000 prophets ko baijha lakin Quran mein kitnon ka ziker hai
2. Allah sab nabiyoun per kitaab nazal nahi farma'e sirf 4 per hi naazal farma'e
3. Allah ne her nabi aur rasool ko kisi na kisi khas qaum k liay baijha lakin Prophet Muhammad (PBUH) ko saari duniya k liay hidayat kahah aur rehmat kaha( do i need to tell you about that Aya "aur ham ne ay nabi tumhein donon jahanon k liay rehmat bana kr baijha".
4. Allah ne kisi nabi ya rasool ko usski zindgi apna deedaar naseeb nahi farmaya aur sirf Hazrat Muhammad(PBUH) ko mairaaj pe bulaya.
5. Allah ne Quran jaisi kitab hazoor per nazal farma'e aur hazoor ki zindgi ka her her lamha, action aur farmodaat mehfooz kr diay rahti dunya tak.
mein ginwana chahoon tu shayd lafz hi khatam ho ja'ein lekin mera khyal hai meray bhai ko baat samaj aa ja'ey gi. jab itni importance hai hazoor ki tu kya Allah unhein ummatiyoun ki shiff'at ka haq nahi dein gai. by the way shayd aapko pata nahi shiffa'at ka haq tu auron k paas b hai e.g. hufaaz-e-karaam k paas, shuhada k paas aur scholars of islam k paas etc. so ap kya her kisi pe inkaar krein gai. Quran ki ayaat ko sayyaq o sabaaq k sath samajhna buhut zroori hai. eik ayat ko parh kr aap ne ye kah dia moulvi sahib hi jhootai tu hazoor apko ye sanad(certificate) dainai ka haq kis ne dia. meray nabi ki fazeelat itni na hoti tu Prophet Eisa hazoor k ummatee ban ker iss dunya mein aanai ki khawahish na krtai.
azaan k baad ki duaa parhee hai kabi. agr nahi tu ab parh lein jis k aakhir per her koi khud hi kahta hai "Ay Allah aur hamein qayamat k din unki shafa'at se behra-mand farma".
meri aakhri naseehat ye hai brother kah Think before you leap. Jazakum Allah Khair.