aamir_uetn
Prime Minister (20k+ posts)
Yaar Buzurg log zara Short Tempered hotay hein .. yeh Meri Umar ka taqaza hai ... :(
mainey suna tha buzrgi mein banda thanda ho jata hai
Yaar Buzurg log zara Short Tempered hotay hein .. yeh Meri Umar ka taqaza hai ... :(
mainey suna tha buzrgi mein banda thanda ho jata hai
Arbkhan sahab aap aapni hi kahey ja rahay ho zara doosro ki bhi tu suno,
Aap itnay akalmand ho k sirf aap ko hi Quran samajh ata hai aur duniya main koi isa banda nahi jesay Quran samjh ata ho,ye kehna cha rahay ho aap k aap se bara koi ullama nahi???
zara aap wo Quran ki ayat qoute karo jsi main fajir ,zuhur ,asar ,maghrib isha ki poori tafseelaat likhi hon, aur agar wo itna mushkil AAYAAT hai k aap k ilawa kisi ko samajh nahi aa sakti tu phir sawal ye paida hota hai k aap hi sirf sahi namaz parhtey ho baki poori duniya k msalmaan ghalat namaz parhtey hain????
doosri baat aap ka kehna hai k "Us culture mein Darhi katnay ka riwaj siray say tha hi nahi .. Hatta k Abu Jehl tak ki darhi thi .. 1900 Tak darhi katnay ka riwaj to "
tu aaj tak takreeban 1 laakh 24 hazar paighambar alag alag qoumo pe ai hain tu kia un sab qoumo ka culture aik hi tha???? aur un sab Paighambar ki darhi kion thi???
O khocha hum pathan hai .. Hum Sirf mar ker thanda hota hai . . .
Na to tumhein Confirm hai kay saray paighambaron ki darhi thi aur na mujhay confirm hai .. Jin ka confirm hai uun kay daur kay vilians ko daikho ... Mossa A.S ki darhi thi to firoun ki bhi thi .. Means Culture tha ... Baki behas lambi ho jaye gi choro baat .
Mujey tu confirm hai ye baat auraap ja kar history chaano aap ko bhi pata chal jai ga sarey paighamber ki darhi thi.
And you said "Baki behas lambi ho jaye gi choro baat"
wah wah jab doosro ko bura bhala kehna hai tu lambi lambi posts karo aur doosro se kaho tum phas gai likin jab khud phasey tu keh diya k baat lambi ho jai gi.
likin akhir main sawal ye paida hota hai k jisay darhi nahi pasand wo darhi waley thread pe ata kion hai ,agar us bandey ko darhi nahi rakhni tu na rakhey kon us pe zabardasti kar raha hai.
Khabar Dar Gustakh .. Jo ainda Maulana Sb ki baat ko Negate kia ... Kufr ka Fatwa aur aik Bori tumharay Size ki Tayyar hai yaad rakhho .
kis ney kaha k masla sirf DARHI ka hai ,mujey ye tu aap bata dai?
aap se kis ney kaha k tum sirf darhi rakhlo aur sarey gunah kartey raho??
akhir wo kon loog hain jo sirf darhi pe zor detay hain aur namaz,rooza ,haj, zakat ,ikhlaaqiat aur baki sarey achay amaal ko choor detay hain???
aur isey loog sirf aap ko hi kion nazar atey hain ,wo bhi canada main rehtay hoye mujey tu pakistan main rehtay hoye isey loog nazar nahi ai, jab k main bhi namaz parhney Masjid jata hon.
mujey tu aaj tak isa banda nahi mila jo SIRF AUR SIRF DARHI PE ZOR DETA HO.
Jis tarah doosrey amaal namaz,rooza ,ikhlaaq ,haj etc Islam ka hissa hain us hi tarah DARHI ki ahmiyat apni jaga hai, aur ye baat aap Hazrat Mohaamad pbuh ki zindagi se mulhaiza farma sakti hain.
Pasand na pasand ki baat hi nahi beta .. Bat yeh hai kay jis cheez ki jitni ahmiat ho usay utni di jaye to acha hai .. tum log chehray kay balon ko ehmiat jitni dytay ho utni behas agar is baat per ho kay apna maal ghareebon mein taqseem kero takay koi bhoooka na rahay to kitna acha ho ?
Laikin nahi woh tum nahi kero gay kiun kay wo mushkil kam hai ... hai na ?
You said "bat yeh hai kay jis cheez ki jitni ahmiat ho usay utni di jaye to acha hai :
main ney bhi yahi kaha hai Islam main jitni ahmiyat hai utni ahmiyat deni chaiye darhi ko, aap opper meri post main ye baat parh saktey ho.
Then you said "tum log chehray kay balon ko ehmiat jitni dytay ho utni behas agar is baat per ho kay apna maal ghareebon mein taqseem kero takay koi bhoooka na rahay to kitna acha ho ?Laikin nahi woh tum nahi kero gay kiun kay wo mushkil kam hai ... hai na ?
Yar kuch tu khuda ka khuaf karlo bhai kion bilawaja ilzam laga rahay ho? main bahala gharebon ki madad karney k kion khelaf hon ga??? ye tu achi baat hai doosro ki madad karna aur is ka sila tu Allah zindagi main hi ata farma deta hai.Aur is tarah k thread is forum pe bhi honey chaiye .
Aur ap par to mukir e hadees ka thappa lag bhi chukka!....Pehlay aap nay sirf Quraan ki baat ki thi na?:)Khabar Dar Gustakh .. Jo ainda Maulana Sb ki baat ko Negate kia ... Kufr ka Fatwa aur aik Bori tumharay Size ki Tayyar hai yaad rakhho .
Aap kion bilawajah preshaan hoti hein?.....Hum aapko darrhi rakhnay ka thorri keh rahay hein?(bigsmile)I don't think you got the point I was making...anyway, sorry but I have no wish to be dragged into this argument like this..
Aur ap par to mukir e hadees ka thappa lag bhi chukka!....Pehlay aap nay sirf Quraan ki baat ki thi na?:)
Ji to ziada behter hai kay aap Logon kay haqooq pooray kernay per aur apnay Ikhlaq achay kernay per behes karain .. Us cheez per behas karain jis ka relation aap ki zaat kay ilawa aur logon sy bhi ho ..
Darhi ka taluq aap ki zaat say hai sirf . Ap rakhain ya na rakhain kisi ko farq nahi parta . Laikin ap ka ikhlaq kaisa hai is say perta hai . . . Yeh kiun nahi behess kerty bhai ? Kay hamara ikhlaq theek hona chahiay .
Aap Quraan ka naam letay ho iss zamanay mein?......Mein nay kaha mein thaanay mein aapkay khilaaf aik rapat na likhwa doon?(bigsmile)Jo bhi bohat Important cheezain theen sab ka Zikr Quran mein hai ...
Darhi per aik Ayat batao jo Quran mein ho ... sirf Aik .
Aap Quraan ka naam letay ho iss zamanay mein?......Mein nay kaha mein thaanay mein aapkay khilaaf aik rapat na likhwa doon?(bigsmile)
Aap kion bilawajah preshaan hoti hein?.....Hum aapko darrhi rakhnay ka thorri keh rahay hein?(bigsmile)
Preshaan to mein bhi nahin!....mein nay to pehlay se hi rakhi hui hay?mein to pareshan nahin...toh kya aap pareshan hain kyunki aap ko daadhi rakhnay ko kaha ja raha hai? (bigsmile)
Preshaan to mein bhi nahin!....mein nay to pehlay se hi rakhi hui hay?
Aap kahin to photo bhijwaon?....Color hay![hilar]
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|