Mujha samajh he nahi aa saki aik chotti sai baat ka Ummat aur Jammat jab bhe jahan bhe koe baat ker rahey hoon us main ghussa, ilzaam ya nafraat he kiyon hoti hai, jab k in ko dawa us deen ka champion honey ka hai jis ki bunyaat he mohabbat, bhai-charey aur sab sai barh k bardasht pay hai (kya hum nahi jantey ka Sabeeren ka kitnidafa aur kya darja bayan hua hai) ... tab phir hum ager religuious hain lakin humara dil naram nahi parta, humain dosrey ki takleef bachain nahi karte, Hum apni zaat sai agey kuch dekh he nahi patey tab ya deendari ka dawey kam kuch humara ya dosron ka bhala karain gey.