Post your one and only favourite shair

Malik495

Chief Minister (5k+ posts)
Kuch dino se Abbasi bhai buhat tarang men hain.. iss liye socha k ab iss tarang men sab members ko ajana chaye... so isi liye aik thread start kia hay k apna sab se favourite shair post karain.. wesay to har kisi ko kaafi ziada shair achay lagty hon gay lakin koi aik choose kr k likhain jo aap samjhty hen k wakay hi isay favourite kaha ja sakta hay...ghazal ya nazam nahi sirf do ya chaar lines limit hy......

mera favourite shair to khair ap sab parhty hon gay hr post k neechay..
magar parveen shakir ka yeh shair mujhe buht pasand hay...

Rafaqaton kay naye khuwab khushnuma hain magar......
Guzar chuka hay tere aitbaar ka mosam..........
 
maksyed

Siasat.pk - Blogger

کوئی ہاتھ بھی نہ ملائے گا جو گلے ملو گے تپاک سے
یہ نئے مزاج کا شہر ہے ذرا فاصلے سے ملا کرو
 
Ch Azam

Councller (250+ posts)
Shair ki pasandeedgi ap k mood par depend karti ha ................ :)

Ask apna ho ya tumhara nahi deakha jata
Abr ki zad main sitara nahi deakha jata
Teray chehray ki kashish thi k palat k deakha
Warna Suraj tu dobara nahi deakha jata...........
 
EniGma90

Minister (2k+ posts)
Kuch dino se Abbasi bhai buhat tarang men hain.. iss liye socha k ab iss tarang men sab members ko ajana chaye... so isi liye aik thread start kia hay k apna sab se favourite shair post karain.. wesay to har kisi ko kaafi ziada shair achay lagty hon gay lakin koi aik choose kr k likhain jo aap samjhty hen k wakay hi isay favourite kaha ja sakta hay...ghazal ya nazam nahi sirf do ya chaar lines limit hy......

mera favourite shair to khair ap sab parhty hon gay hr post k neechay..
magar parveen shakir ka yeh shair mujhe buht pasand hay...

Rafaqaton kay naye khuwab khushnuma hain magar......
Guzar chuka hay tere aitbaar ka mosam..........

Coincidentally, apka signature comes first in my list but number 2 is the following

Boht tabdeliyan laya hoon apne aap main lekin..
Buss tum ko yaad kerne ki wohe aadat purani hai!!
 
Bombaybuz

Minister (2k+ posts)
Saach kah doun tujh sai Brahman! gar tou bura na maney
Tera sanam-qadoon k buut aab hoo gayee puraney
Apnon sai bair rakhna tu nai butooon sai seekha
Jung a jadal seekhaya waaiz ko bhe khuda ney...

Pani pani ker gayee mujha ko Qalander ki ya baat
Tu jhuka jab ghair ka agey na tan tera na maan
Apney maan main doobh k paja suragh a zindage
Tu mera banta na baaan apna tou baaaaaaaaan

Aaaj bhe hoo jo Braaheem ka Emaan Paida
Aag ker saktee hai andaz a gulistaan paida
 
virus

Senator (1k+ posts)
Khizan ki dhoop say shikwa fazool hay shakar

main yoon b phool tha akher mujhay bicharna tha
 
Ch Azam

Councller (250+ posts)
Sher main ja kar parhnay walay bhool gye....
Kis ki Man ne kitna zewer becha tha.........

Keya Milain isi leye resham k tar bunti hain
K Dukhtaran-e-watan tar tar ko tarsain
Keya chaman ko isi leye mali ne khon se sincha tha
K us ki apni nigahain bahar ko tarsain....

Pathar ubalti rahi ik Man tamam rat
Bachay faraib kha k chitai pe soo gye..........
 
riverblue

MPA (400+ posts)
khushion ka waqt bhi kabhi aa hi jaey ga mohsin
gham bhi tou mil rahay hain tamanna kiye baghair

it may not be khas but i found this at a very appropriate time and havent forgotten it since! i like it
 
riverblue

MPA (400+ posts)
our respected member paindo bhai ka signature mujhe bohot pasand aya tha

کا فر کے دل سے آیا ہوں میں یہ دیکھ کر
خدا موجود ہے وہاں مگر اسے پتہ نہیں
 
rana14801

Senator (1k+ posts)
i always laugh and enjoy the KHAYAL OF THE POET who says YA RAB TERE KAUSER MAIN TALKHEE HAY NA MASTEE............... MUJH KO JO PILAANI HAY TO DUNYA SE MANGA DE.
 
ahmadalikhan

MPA (400+ posts)
7.GIF

Allama Iqbal r.a. - Bal-e-Jibreel