Fursan
Minister (2k+ posts)
I mean Pro Iran.....thats u
Ha ha ha .. I have nothing to do with Iran.
I mean Pro Iran.....thats u
Ok then tell me...what are ur feelings about Taliban in Afghanistan ?Ha ha ha .. I have nothing to do with Iran.
Ok then tell me...what are ur feelings about Taliban in Afghanistan ?
Note that Im not talking about TTP.
I understand now. You belong to an Army family and No matter whatever you see or hear, you wont accept the facts. Lavish army salary, land, residential plots, handsome pensions, foreign tours, huge kick backs will not let you speak.
And by army I mean the high command and not the poor soldiers and jawans who are daily fed to this war so that generals can make money out of it.
Secondly, I agree to the fact that we have the most powerful army, who is always powerful enough to take over its own country and never perform in real time encounters with the real enemy. Give me the facts of any success in wars.
I did go to school and studied the same syllabus which was prepared by the army men and hence is full of deceiving praises & untrue heroics. Facts are very different my friend.
Lastly, now you are either a mean prick or a retard to compare India's army budget with ours. Their economy size is now 10 times that of us. Their gdp is 1.9 trillion $ whereas ours is only 210 billion $. Now if their military is spending 34 billion$, we should b spending 10 times less i.e. 3.4 billion dollars. Also there are no corporations owned by indian army & is accountable on its spendings unlike ours.
But strangely you haven't answered any of my basic questions. And you never will coz facts will make you hide your face with shame and humiliation.
BRAVO!!! zabardast bus kuch batein!!!! aap ne scotland ki misaal di keh wahan pe taleem hai aur logo mein awareness hai ....kyu??? kyu ki awareness tab ayee jab logo ko taleem mili (warna kuch sadyoo pehle aap inke halaat dekte) aur taleem kis ne di hukumat ne, democracy ne.... hamari wali democracy nahi lekin mein phir bhi kehta hu keh jab ek exercise aap baar baar karein ge tu result perfect nahi but closer to perfection aa hi jati hai... yaha pe hum aisi aisi batein sun lete hain keh ankhein aur aqal dono heran ho jate hain ke inti bhi awareness ho sakti hai .... aap ne iran ki misaal di luckily iran ka bhi aik dost mere saat hai aur us ne bhi jo bataya hai wo bhi hum ne kabhi nahi suna. hum to samajhte hain ke wahan pe democracy hai lekin ye ghalat hai... aur pure democracy hoti aur credible government hoti tu shayed iran aaj kahi aur hota kein phir bhi uske haalaat hum se teek hain. Bus jo bhi ho hamare mulk ke liye achchca ho.... kyu ke hamare mulk ke haalaaat de kar jitni pareshanai humain hoti hai shayed hi kisi ko ho... Allah reham farmayen... Ameen
We are on the same note here. Afghan Taliban are good.They dont wage war against Pakistan.
Your extreme stupidity is supported by the fact that you have started believing that I belong to the Noora cult. Cant stop laughing ! What makes u believe that i support noora league? Its true that I and many more like me blame army for our present plight coz they will happily take over and throw away elected govts, whenever they feel like but sadly they have never taken over when Pakistan needed it. And even today they behave like impotents, watching and enjoying all the killing and bloodshed around.If I belonged to Pak Army family, I would be in the Army right now :( The only thing that I was lacking in the ISSB tests was lack of Army relations which has some points. Even if I accept I m. I should be proud of that for the fact that I m one of those who defends the country by stopping Nooras and 10%s from robbing the country. At least I dont belong to a family that has political interests in mind rather country itself. You NOORA will be wiped out this time. You should save some hatred for the next time cuz Insha'Allah Army will take over soon (I wish) :D
You seem to be a dumb *** when you say India has large economy and we should spend less...cant you see a difference between 34 bn and 5 bn??? For your kind information, India is increasing its military budget over the next few years and its gona reach 100 bn. What do you say about 10% less than India? I support you here that Pakistan should increase its budget to match India :D
I gave you some examples about your so-called slogan 'ACHIEVEMENTS'....you havent told me about you achievements?? Do you have the capacity to start a debate or ur just as dumb as u sound?
If Pakistan should spend 10% less than India, will India attack Pakistan with 10% of its military capacity?? U morron, when there's war theres no limit to that. I am Muslim, (dunno about you) and when our Prophet died he had no food at his home but there were sords, arrows, armored and other weapons present. You dont die if you dont eat for a day but you can die if you dont prepare against your enemy. This is a common sense but a NOORA like you who lost his political favors because of Army takeover will not understand that.
This Army chant hurts u a lot I think. Take some more; Pakistan Army Zindabaaaaaaaaaaaaad (clap)
Noora Murdabaaaaaaaaaaaaaaaaaad :P
Tumne sahi kaha ke wahan pe taleem hai tu yeh hua hai....lein taleem ke liye democracy ki zaroorat tu nahin hai. Musalmaano ka best time Spain tha, kya whan democracy thi?? ya phir Baghdad jahan kittabein giraane se river kala ho gaya tha. Kya wahan democracy thi?? nahin. Im sure agar Muslim spain mein democracy hoti tu wahan maujood Jews aur christian Islamic gov ko kuch na kerne dete. Jaisey ke aaj Kalabagh dam masla bana hua hai. Chalo maan lo democracy bari achi cheez hai, tumne 'life in the UK' test diya hai? nahin tu waisey hi zara ja ker inki history parho ke yeh log kitni sadiyan zaleel ho ker yahan pohnchey hein. Phir bhi halaat England ke hi control mein hein na? Democracy ne sirf chand states ko faida diya hai jo dunya control kerna chahti thi aur thats it. Lekin problem yeh hai ke humne rehna tu dunya mein hi hai. Khilafat ki baat ker ke dekho, agne din hi hamla ho jaye ga. q ke jo cheez world powers ko manipulation power deti hai wo democracy hai......Yeh democracy hi hai jiske zarye forces jab chahein Pak mein riots kerwa dein, hangama kerwa dein, kisi national interest ka boycott kerwa dein. Hairbyar Muree, Altaf Hussein, Brahmdakh waghaira bahar baith ker hi Pakistan ko manipulate ker rahe hein....Iran ki baat....I dont know much about Iran lekin kuch log pro-shah hein jo revolution ko like nahin kerte. Unke khayalaat aur hein. Waisey bhi log kabhi aik point pe nahin aate. UK wale nahin chahte thay ke 2003 mein Iraq war ho, tu kya yahan ki gov ne democracy ka khayal kerte hue logon ki khwahish ko mana?? Nahin....sub gol-mal hai aur log bewaqoof ban jate hein suhane sapnon ki waja se.
Chalo Allah behtar karey humare liye aur humein aik maqsad pe ikatha karey ta'ke mil ker qaumi faisle ho sakein.
mein ek behtar nizam chahta hu chahe jo bhi ho lekin dictator mein masla ye he keh wo kuch saal baad khud ko khuda maan leta hai. jese musharraf, qadafi aur bohut se aur... musharraf ke dor mein hi missing persons ka scandal aya tha na, laal masjid ka, bajaur madrase ka aur pata nahi kya kya... mein laal masjid walo ke kaam ko justify nahi karta lekin uske baad swat ka scene aya laal masjid hi ke repercussions the zyada thar, chahe amreeca ne karwaya ya jo bhi ho lekin ek narrative to mil gaya na extremists ko, bajaur madrassa wahan pe kya kua..... tha wo drone hamla aur government ne kaha keh pak foj ne kara hai... uske baad ke repercussions dekh lo. musharraf ne kaha tha ek agar mein amrica ke kaha na manta to humain stone age mein dakhel dete , tu ab kahan reh rahain hain..... zia bhi dictator tha us ne jo karname kiye un mein se ek ye bhi hai keh non party based system introduced karwaya tha log azaad election larein aur phir khud ko nilaam karen, jo aaj kal ki politics ka nasoor ban chuka hai.... Lebiya ke bhi ek banda hai yahan pe wo kehta hai qadafi aisa tha keh hum fone per bhi kisi ke saat agar qadafi ke khilaaf baat karte to kal wo banda missing wo jata aur yahi haal iran ka bhi hai.... mere bhai paisa insaan ko maghroor bana deta hai lekin taqat ek nasha hai jo paise se bhi zyada khatarnaak hai... aap ne abhi uk ki misaal di ke wahan ke log iraq jang ke khilaaf the, lekin uk ki gov. ko u jang mein apna faida nazar araha tha, economy ka faida ,, dar ki waja se unho ne jang mein hissa nahi liya...aur agar un ke log per amrica na haat dala tab aap dekein ge ke ye phir bhi amrica ka saat detein ye nahi... wars in ke liye business hai wo sirf investment kar rahe the wahan pe... lekin ye bhi to dekho ke unke apne mulk mein to democracy hai aur hamare har dictator ko pamper karte chale arahain hain. aap spain aur baghdad ke musalmano ki misaal to dete hai lekin shayad aap ye kehta bhool gaye ko unho ne musalmaano ke liye ek benchmark set kiya hua tha, wo iqtidaar mein the ek azeem maqsad ke liye aur hamare dictator iqtidar mein rehna pasad karte hain kyu ke ye unka nasha hota hai. mein genuine democracy ki baat karta hu jo Turkey mein hai. ek musalman mulk hain jis ne statement di gaza ke baad ke israel ek terrorist state hai, koi kuch nahi bigaar saka un ka... saudi mein to kingdom hai na lekin phir bhi amrica ke kehne par nachti hai..... itni powerful economy ke bawajood bhi apna muqaam nahi bana saki.... mujhe pata hai amrica aur europe apni chalein chaltein hain lekin unko chalne do hum khud teek nahi warna unki chalon ke bawajood bhi hamain koi farq nahi parta..... mein daawe se kehta hu keh mujhe IK koi zaati mufaaad na hai aur na hi IK kisi sunta hai magar sirf itni chahta hu keh jab mein is mulk mein kisi ko apni identity batawo tu log izzat karein meri nahi balke mere mulk ki
Agar tumhein IK se koi matlab nahin aur tum Pakistani ID ki respect chahte ho tu phir tu Musharraf ko yaad karo....wohi best time tha. I m talking about 2005. Tum dictatorship aur democracy mein confused ho. Yeh donon words Europe ke hi diye hue hein. Tum Uk aur Turkey ki misaal de rahe ho. Ok, model unka le lo lekin wo awam kahan se layo ge jo Turkey aur Uk mien baste hein? Mein kisi ko defend nahin ker raha lekin yeh batao ke agar Musharraf na hota tu kya lal masjid, bajaur waghaira na hote?? Yaad karo IK kehta tha ke yeh taliban is liye hamle ker rahe hein ke Musharraf baitha hua hai. Jab elected gov aaye gi tu nahin karein ge......yaad'dasht bohtot kamzor hai hum logon ki. Ab IK yeh keh raha hai.....Isi liye kehta hun ke IK bura nahin lekin hai tu insaan hi naaaa. mere khayaal mein Zia bohot samajhdaar tha. Usne american ko bhi ghumaya hua tha aur uske daur mein Pak Asia tiger tha. Ayyub ke daur mein dams waghaira bane.
Hum log sub kuch kala samajhne ke aadi ho gaye hein. Mujhe tu democratic daur mein kuch bhi nazar nahin aata siwaye Qarz utaro mulk sanwaro, aur loot maar ke.
Bhai,,, Musharraf ki jaga koi aur gov hoti tu woh iss se zyda chamcha giri keri. Mush mein Iraq fauj nahin bheji, AQ Khan ko hawale nahin kiya jabke US ne bohot zor lagaya. yeh log hote tu yeh donon kaam bi ker guzarte. Mujhe IK nazar na aa raha hota tu kabhi democracy ko support na kerta. Dictator khuda samajhne lagte hein tu samjhein....awam khush honge tu unko dictator bhi bhane lage ga. Kya Saudi khush nahin hein?? Aur yeh democratic log to waisey hi chamchey hein. Turkey ki baat mat karo, unke ander bara royal khoon hai aur wo aik Qaum hai jo super power reh chuki hai aur apni talwaron se Islam ko 300 saal tak defend ker chuki hai. Humtu ab tak aik qaum hi nahin ban paye. Zaruri nahi ke jo wahan formula fit aa gaya wo Pak mein bhi fit aa jaye ga. humko apne circumstances ko dekh ker nizam adopt kerna chahye. something between Dictatorship and democracy. Qaddafi ko bura mat kaha karo, jabtak wo tha Libyans ki respect thi ab ****** wali haalat hai unki. Aur waisey bhi usne humare nuclear ko banane mein jitna kharach kiya hai, Allah hi jaanta hai. Uska ahsaan hai hum sub per.
mein democracy aur dictatorship mein bilkul confused nahi lekin mere khyal mein mein apni baat tum tak puhuncha nahi raha... mein genuine democracy ki baat kar raha hu jo mein ne apni zindagi mein kabhi bhi pakistan mein nahi dekhi.. tum kehte ho keh uk ke log achche hain bhai mere yahan zara aa ker dekho aik baar agar ye system na hota aur agar in ke paas weapons hote jis tarah pakistan mein har ek ke paas hote to kal tak pura glasgow mot ki neend soya hota. jo log glass se , spikes se, ropes aur pata nahi kin kin cheezo se khoon karte hain agar un ke paas hatyar hu tu pata nahi kya karte.... lekin phir bhi hum se achche hain kyu ke government in pe paisa kharch karti hai... in ko civilized banati hai.... chalo turkey ki misaal choro, brazil ki lo, singapure ki lelo...... maaf karna lekin mein dictatorship ko nahi support karta....tum ne kaha ke agar ye hukumat musharraf ki jaga hoti tu musharraf se zyada chamcha geeri karta , ye tu wahi baat kardi keh andho mein kana raja...... ek saudi ki kingdom ki misaal di tum ne lekin senkro mulko mein jo democracy hai aur wo khush hain unki misaal nahi di... chalo khair...... mujhe umeed hai keh agar imran khan agaya inshaAllah aur ahista ahista kuch teek hone laga tu democracy bhi achchi lagne lage gi inshaAllah.....[/QUOTE
Tum Uk ke logon ke baare mein thek keh rahe ho, I have been there my frnd...lol. Tum democracy ko is liye acha keh rahe ho ke tumhein aur mujhe bhi IK nazar aa raha hai. Agar yeh na hota tu wallah..har banda Dictatorship hi maang raha hota. Andhon mein kana raja wali baat thek hai...q ke jab option na ho tu suicide tu nahin kerna hota na. Lesser evil ko japhhi daalni hi parti hai. Democracy tu 100 saal pehle ki baat hogi..kya is se pehle dunya nahin chal rahi thi??
Iqbakl ne jamhooriyat ke baare mein kaha hai ke something like: Juda ho siasat se mazhab, tu reh jati hai changezi.
Chalo dua kerte hein ke democracy ka agla daur behter ho...:)
Correction: Juda ho deen say siasat to reh jaati hai changezi
This is wrong gotti! yeh tu tumne siasat ko mazhab se bhi bara bana diya lolz
Let me write exact wording for you now.
Juda ho DEEN siasat se
tu reh jati hai changezi
iske illawa Iqbal ne yeh bhi kaha tha ke: JAMHOORIAT mein logon ko GINA jata hai TOLA nahin jata.
Yeh bhi Iqbal ne hi kaha hai....
گریز از طرزِ جمہوری، غلامِ پختہ کاری شو
کہ از مغزِ دو صد خر عقلِ انسانی نمی آید
Wo jamhooriat ke qail thay but with the integration of DEEN. Yeh dest western democracy ko solution samajh raha hai jabke mera mauqqif hai ke aik farmula tamam nations per fit nahin aata. Humein apne mutabiq amendments kerni chahyein. Jaisey Iran aur China ne ki hui hein aur koi bhi unko Non-democratic nahin kehta.
Take Care
mein democracy aur dictatorship mein bilkul confused nahi lekin mere khyal mein mein apni baat tum tak puhuncha nahi raha... mein genuine democracy ki baat kar raha hu jo mein ne apni zindagi mein kabhi bhi pakistan mein nahi dekhi.. tum kehte ho keh uk ke log achche hain bhai mere yahan zara aa ker dekho aik baar agar ye system na hota aur agar in ke paas weapons hote jis tarah pakistan mein har ek ke paas hote to kal tak pura glasgow mot ki neend soya hota. jo log glass se , spikes se, ropes aur pata nahi kin kin cheezo se khoon karte hain agar un ke paas hatyar hu tu pata nahi kya karte.... lekin phir bhi hum se achche hain kyu ke government in pe paisa kharch karti hai... in ko civilized banati hai.... chalo turkey ki misaal choro, brazil ki lo, singapure ki lelo...... maaf karna lekin mein dictatorship ko nahi support karta....tum ne kaha ke agar ye hukumat musharraf ki jaga hoti tu musharraf se zyada chamcha geeri karta , ye tu wahi baat kardi keh andho mein kana raja...... ek saudi ki kingdom ki misaal di tum ne lekin senkro mulko mein jo democracy hai aur wo khush hain unki misaal nahi di... chalo khair...... mujhe umeed hai keh agar imran khan agaya inshaAllah aur ahista ahista kuch teek hone laga tu democracy bhi achchi lagne lage gi inshaAllah.....[/QUOTE
Tum Uk ke logon ke baare mein thek keh rahe ho, I have been there my frnd...lol. Tum democracy ko is liye acha keh rahe ho ke tumhein aur mujhe bhi IK nazar aa raha hai. Agar yeh na hota tu wallah..har banda Dictatorship hi maang raha hota. Andhon mein kana raja wali baat thek hai...q ke jab option na ho tu suicide tu nahin kerna hota na. Lesser evil ko japhhi daalni hi parti hai. Democracy tu 100 saal pehle ki baat hogi..kya is se pehle dunya nahin chal rahi thi??
Iqbakl ne jamhooriyat ke baare mein kaha hai ke something like: Juda ho siasat se mazhab, tu reh jati hai changezi.
Chalo dua kerte hein ke democracy ka agla daur behter ho...:)
chalo yaar zaroori nahi ke hum dono ek hi baat pe ittifaq karen lekin ye zaroori hai keh jis baat pe hum abhi ittifaq kar rahain hain wo is mulk aur kom ke liye behtar hu.. wese bhi Islam mein bhi hai ke avoid differences and discuss common points.....:)
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|