Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Chand khushk patey they[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] wo koi aur na tha chand Khushk patte the
shajar se tut k jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhain socha to kuch na yad aya
abhi abhi to ham ek-dusare se bichre the
tumhare bad chaman par jab ik nazar dali
**** **** main Khizan k chirag jalate the
tamam umr wafa ke gunahgar rahe
ye aur bat ki ham adami to ache the
shab-e-Khamosh ko tanhai ne zaban de di
pahar gunjte the dasht sansanate the
wo ek bar mare jin ko tha hayat se pyar
jo zindagi se gurezan the roz marte the
naye Khayal ab ate hain dhal ke zahan main
hamare dil main kabhi khet lahlahate the
ye irtiqa ka chalan hai k har zamane main
purane log naye admi se darte the
?Nadeem? jo bhi mulaqat thi adhuri thi
k ek chehre ke piche hazar chehre the
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] Ik sehmi sehmi si aahat hai, ik mehka mehka saya hai
Ehsaas ki is tanhai mein yeh raat gaye kon aya hai
Aye shaam alam kuch tu hi bata, yeh dhang tujhe kyon bhaya hai
Woh meri khoj mein nikla tha aur tujh ko dhoond ke aya hai
Mein phool samajh ke chun loon ga is bheege se angaaron ko
Ankhon ki ibaadat ka mein ne bss aik yehi phal paya hai
Kuch roz se barpa chaar taraf hain shadi o gham ke hangamey
Sunte hain Chaman ko maali ne phoolon ka kafan pehnaya hai
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani
Koi sun ke kya karega meri dukh bhari kahani
Na zawaal nagehani, Na arooj jaawdani
Meri zindagi ka unwan, Fakt aik lafz “Faani”
Yeh shikast ka jahanum kahin phir bharak na uthey
Mere ishq ke khandar par, na karain woh gulfishani
Na gumaan yaar in per, Na jamal e yaar in mein
Tere kokab o kamar se na behel saki jawani
Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori
Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon
Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon
TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ?
Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon
Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon………!
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna
Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhale Rakhna,
Chot khana, Magar Is Tarah K Lodhey Uthey
Zulmat Gham Isi Tarey se Ujahely Rakhna
Apne Ahbaab ko Seeney Se Lagaye Phirna
Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna,
Meri Pehchan Mere Peer-e-Hain Zakhm Se Hai
Ab Bhi Aezaaz sahi Shaal Do Shaley Rakhna,
Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai “Nadeem”
Kuch Zaroori To Nahi Paaon Mein Chaley Rakhna
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Dil Mein Hum Aik Hi Jazbe Ko Samoyen Kese[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese,
Zehen chhalni jo kiya hai, to yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, tujhe pass bitha ker rotay,
Ab yeh yeh mushkil hai, tere samne roye kese…!
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] Waqt ik pal ko jo ruk jaye to ehsaan is ka,
Chand yaadain mere dil mein se guzarna chahain..
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Jo buraayi mere naam se mansoob huyi..[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] Jo buraayi mere naam se mansoob huyi,
Dosto! kitna bura tha mera acha hona..
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Aayina dekh ke, Aik aur tamasha dekho..[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho,
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho,
Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami,
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho,
Meri peyas’on, meri aaso’n, meri ankhon mein kabhi,
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho,
Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi,
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho,
Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi,
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho,
Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar,
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho..
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya..[/h] [h=3]Ahmad Nadeem Qasmi Poetry[/h] Mujh se kaafir ko tere ishq ne yun sharmaya,
Dil tujhe dekh ke dharrka to khudaa yaad aaya,
Mere dil pe to hai ab tak tere gham ka saaya,
Log kehte hain neya daur naye dukh laya,
Mera meyaar-e-wafaa hi meri majboori hai,
Rukh badal kar bhi tujhe apne muqaabil paya,
Charagar aaj sitaron ki kasam kha ke bata,
Kis ne insaan ko tabasum ke liye tarrpaya,
Log hanstey hain to is soch main kho jata hon,
Mauj-e-sailaab ne phir kis ka gharaunda dhaaya,
Uss ke andar koi fankaar chupaa betha hai,
Jaantey boojhtey jis shakhs ne dhoka khaya..
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Hath uthayen hum bhi[/h] [h=3]Faiz Ahmad Faiz Poetry[/h] aiye hath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa
koi but, koi khuda yad nahin
aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
unki raton main koi shama munawwar kar de
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
unki nazron pe koi rah ujagar kar de
jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqrar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
aj izhar karen or khalish mit jaye
 

Atif

Chief Minister (5k+ posts)
Aayina dekh ke, Aik aur tamasha dekho..

Ahmad Nadeem Qasmi Poetry

Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho,
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho,
Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami,
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho,
Meri peyas’on, meri aaso’n, meri ankhon mein kabhi,
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho,
Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi,
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho,
Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi,
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho,
Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar,
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho..


یہ ساری شاعری آپکو یہاں اردو میں مل جائے گی۔

http://www.urduweb.org/mehfil/tags/احمد+ندیم+قاسمی/
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain[/h] [h=3]Faiz Ahmad Faiz Poetry[/h] Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain
Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain
Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain
Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain
Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=2]Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se[/h] [h=3]Faiz Ahmad Faiz Poetry[/h] Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se
Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se
Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se
Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se
Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se
Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se
 

Admiral

Chief Minister (5k+ posts)
10479737_10204515961804959_7521242799668728997_n.jpg
 

Back
Top