Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)

Andheri Raat Main Rehte Tu Kitna Acha Tha
Ham Apni Zaat Main Rehte Tu Kitna Acha Tha
Dukhon Ne Bant Lia Hai Tumhare Baad Hmain
Tumhare Hath Me Rehte Tu Kitna Acha Tha
(Wasi Shah)

 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
Dil Main Afsos Aankhon Main Nami Si Rehti Hai
Zindagi Main Shaid Koi Kami Si Rehti Hai
Muj Se Roth Jate Hain Aksar Apne Wasi
Shaid Mere Khalos Main Koi Kami Se Rehti Hai
Poet: Wasi Shah
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
Har Ik Shab Meri Taza Azab Main Guzri
Tumhare Bad Tumhare Hi Khuwab Main Guzri
Mai Ik Phol Hoon Wo Muj Ko Rakh Ke Bhol Gaya
Tmam Umar Usi Ki Kitab Main Guzri
(Wasi Shah)

 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)

Samandar Main Utarta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain
Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain
Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chin Gayi Jab Se
Koi Bi Lafz Likhta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain
(Wasi Shah)

 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
Dard ki dil pe hukomat thi kahan that us waqt
jab muje teri zaroora thi kahan tha us waqt
Mout ke sukh main chala aya muje dekhne ko
Zinda rehne ki museebat thi kahan tha us waqt
Dil ke daryaon main ab rait hai sehrayon ki
Jab muje tum se muhabat thi kahan tha us waqt

(Wasi Shah)
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
اک رات دا جاگنا بہت اوکھا
اک جاگدا دکھی بیمار راتیں

یا راتیں چور تے ٹھگ جاگدا
یا جاگدا پہرے دار راتیں

یا جاگدا عشق دی رمز والا
یا جاگدا یار دا یار راتیں

وارث میاں سب سو جاندے
بس جاگدا پروردگار راتیں
(وارث شاہ)
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
بڑا عشق عشق توں کرناں اے
کدی عشق دا گُنجل کھول تے سعی

تینوں مٹی وچ نہ رول دیوے
دو پیار دے بول، بول تے سعی

سُکھ گھٹ تے درد ہزار ملن
کدی عشق نوں تکڑی، تول تے سعی

تیری ہسدی اَکھ وی پجھ جاوے
کدی اندروں سانوں، پھول تو سعی
(میاں وارث شاہ)

 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=3][/h] Us ki chahat ka bharam kya rakhna,
Dasht-e-hijraan mein qadam kya rakhna,
Hanss bhi lena kabhi khud per mohsin,
Har gharri aankh ko namm kya rakhna..

[h=3]Mohsin Naqvi[/h]
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=3]Mohsin Naqvi[/h] Aawargi mei “mohsin” is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Jab khwab nahi koi, kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana,
Aisa na ho darya mei tum baar-e-garaa’n thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,
Suqraat k peene se kya mujh pe ayaa’n hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,
Jab bhi nazar aao gy hum tum ko pukare’n ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana… :(
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
[h=3]Ahmad Faraz Poetry[/h] Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de,
Tanhaayi ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar,
Aye dil! tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan,
Tu halqa-e-yaraan* mein bhi mohtaat* raha kar..
 

Muhammad Jabran

Councller (250+ posts)
Ahmad Nadeem Qasmi Poetry



Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,
Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota
Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath
Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota
Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau
Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota
Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein
Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota
Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee
Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota
Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm
DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota
Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati
Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota
Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka
Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota
 

Back
Top