abbasiali

Minister (2k+ posts)
میرا دل يہ کہتا ہے

Dua-Nazam.png
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Ashk mager
Har baat poorani kehdein ge
 

Night_Hawk

Siasat.pk - Blogger
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Kaash main ik sohna phull hunda,
Koi apne seene naal la lenda.
Koi dekh k sooha rang mera,
Dil pyaar di jot jaga lenda,,
Koi rakh da mainu baag ch’ apne,
Te koi vich kitaban sajaa lenda,
Koi lai ke Mainu peer manaunda,
Te Koi russia yaar mana lenda…
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Ishq k ilaqay mein,
hukm-e-yar chalta hay,

zaabtay nahi chaltay,
husn ki adalat mein,
aajizi to chalti hay,
martabay nahi chaltay,
dosti k rishton ki,
parwarish zaroori hay,
silsilay ta'aluq k,
khud se ban to jatay hain,
lekin in shagoofon ko,
tootnay, bikharnay se,
rokna bhi parta hay,
chahaton ki mitti ko,
aarzu k poday ko,
seenchna bhi parta hay,
ranjishon ki baton ko,
bhoolna bhi parta hay,
kiun k,
Ishq k ilaqay mein,
Hukm-e-yaar chalta hay,
Zaabtay nahi chaltay.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

shaam ko subah-e-chaman yaad aa_ii
kis kii Khushbuu-e-badan yaad aa_ii

jab Khayaalo.n me.n ko_ii mo.D aayaa
tere gesuu kii shikan yaad aa_ii

yaad aaye tere paikar ke Khutuut
apanii kotaahii-e-fan yaad aa_ii

chaa.Nd jab duur ufaq par Duubaa
tere lahaje kii thakan yaad aa_ii

din shuaao.n se ulajhate guzaraa
raat aa_ii to kiran yaad aa_ii
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Karo Tum Mujh Se Mohabat To Kya Baat Ho,
Mil Jae Zindagi Bhar Tumhara Sath To Kya Baat Ho.

Saanson Ke Sahare To Jee Raha Hun,
Gar Tum Ban Jao Sans Meri To Kya Baat Ho.

Dhadknen To Chalti Rehti Hain Har Garhi,
Gar Tum Ban Jao Dhadkan Meri To Kya Baat Ho.

Tumhen Hi Manga Hai Apni Duaon Mein,
Gar Tum Ban Jao Dua Meri To Kya Baat Ho.

Tumhen Hi Dhundti Hai Har Soo Meri Ye Nazar,
Gar Tum Ban Jao Nazar Meri To Kya Baat Ho.

Maut To Har Kisi Ko Aani Hai, Ik Din Mujhe Bhi Aegi,
Gar Tum Ban Jao Maut Meri To Kya Baat Ho.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Manzil-e-dost hay kia kon-e-makan se agay?
jis se poocho wohi kehta hay, yahan se agay,

Ehl-e-Dil kartay rahay Ehl-e-Hawas se behas,
Baat barhti hi nahi Sood-o-Zayan se agay,

ab jo dekha to kayi aabla'pa bethay hain,
ham k pichay thay boht, hamsafar se agay,

ham ne us hadd se kia apne safar ka aaghaz,
parr farishton k bhi jaltay hain jahan se agay,

kaisay batlayein k niaz-e-zamana kia hay,
kis ko dunya nazar ati hay yahan se agay,

Nahi aisa bhi k jab chaha ghazal keh dali,
Sher ki bat hay kuch tab-e-Rawan se agay,

Apne hissay ki pila dete hain auron ko Faraz,
Kab ye dastoor tha ham tashna labaan se agay.
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Dewana ager tara dil ho chuka hay to

dewana ager tara dil ho chuka hay to
to dewangi ki saza to na day mujhay

kuo bay-gana ho raha hay to mujh say
to bay-chargi ki saza to na day mujhay

mana kay jit lia hay to nay dil ko hamaray
per to harnay ki saza to na day mujhay
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Hijar ki yaad me sulgo to bura lagta hai....
Tum mere pyar ko tarso to bura lagta hai....
Ek tamana hai fakat,mujhpe meherban raho....
Tum kisi or ko daikho to bura lagta hai....
Mere rooh taraste hai khushbo ko tere....
Tum kahin or ja k mehko to bura lagta hai....
Arzo hai k main tumhain har pal pass hi daikhon....
Tum mere pass se utho tu bura lagta hai.....
Me utha sakta ho jab naaz tumhare jaana....
Tum agr naaz na karo to bura lagta hai....
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

parhoo gay khat mery kabhi tasveer dekhoo gay

kabhi hathoon mein jo likhi hai wo taqdeer dekhoo gay

likhoo gi kuch hatheli per parhoo gi kuch kitaboon mein

nazar mein aoon ga sawaloon mein jawaboon mein

kabhi tum muskuraoo gi kabhi ansoo bahoo gi

kisi sey kuch chupaoo gii kisi ko kuch bataoo gi

kabhi khamosh bethoo gay kabhi kuch gungunaoo gay

mein utna yaad aoon gi mujhey jitna bhulaoo gay
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Main lafzon se kuchh bhi izhaar nahin karta,
per aisa nahin ki tujh se pyaar nahin karta


chaahta to hoon main tujhe aaj bhi lekin,
terey khayaal main ab waqt bekar nahin karta
kahin tamaasha na ban jaaye ye mohabbat meri,
bas isi wastey apne dard aashkar nahin karta
jo mil gya hai usi main bohat khush hoon main,
ab tere liye khuda se taqraar nahin karta
kuchh toh baat hai teri fitrat main zaalim,
warna tujhe chaahne ki khata baar baar nahin karta
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

Khabon mein mery na tum aya karo
Meri jaan mujhy na staya karo


Aa kar jo deti ho khushiyan mujhy
To ja kar mujhy na r ulaya karo
Muntazir hon tum sy milny ko main
Intazar mein na mujh ko tarpaya karo
Jajti hai khushi chehry par tery
Dekh kar mujhko bhi muskraya karo
Na chhorna ALI ko kabhi bhi ay dost
Khush reh kar khushian lutaya karo
 

canadian

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Poetry Sharing, Mehfile Shier-o-Adab محفل شعر و ادب (Poetry Sharing Point)

har ek harf-e-arazu ko dastan kiye hue
zamana ho gaya hai un ko mahaman kiye hue

surur-e-aish talKhi-e-hayat ne bhula diya
dil-e-hazin hai bekasi ko hijr-e-jan kiye hue

**** **** ko gulistan kiye hue vo ayenge
vo ayenge **** **** ko gulistan kiye hue

sukun-e-dil ki rahaton ko un se mang loon
sukun-e-dil ki rahaton ko bekaran kiye hue

vo ayenge to ayenge junun-e-shauq ubharane
vo jayenge to jayenge tabahiyan kiye hue

main un ki bhi nigah se chhupa ke un ko dekh loon
k un se bhi hai aj rashk bad_guman kiye hue

Ada Jafri
__________________
 

Back
Top