kabhi kabhi mayoosi hoti hai,, k jisse hum apna maseeha samjhtey hein wo anjanay main ya bholay pun main aisi bari galtiya ker bhaithta hai jis se uss k chahnay walo ko thais pohanchti hai,,
MQM ka punjab main jalsa kerna aur PTI ko dawat dena, bilkul aisa tha, k jese doobtay howay ko tinkay ka sahara dena, aur jo sahara deta wo bhe MQM k saath he doob jata,, tareekh main issi terha likha jata k jese Imran Khan ne Musharaf k refrandom main support keya tha, aur jisse aaj tak ba shaour log bhool nahi paey, ussi terha MQM k jalsay main bhe shirkat per PTI aur Imran Khan ko aanay walay waqto main sharminda hona perta aur maafi mangni parti,
aaj tak Shaheed ZIA UL HAQ ko bura bhala kaha jata hai kiun k ussi ne MQM ke buniyaad rekhi thi, aur Shaheed Zia ne he iss NASOOR ko support keeya tha,, aur aaj dekh lijiay iss nasoor ne roshnio k shahar ko khoon behta hoowa city bana dia hai,,
Kya Imran Khan itna kamzor hai k Altaf Hussain ke aik phone call kerne per uss ahad e wafa kerne chala tha,, kya Imran Khan ko pata nahi k Altaf Hussain aur MQM 25 saalo se awaam ko ye keh ker dhoka day rahi hai k wo jageerdar aur wadayrana nizam k khilaaf hai, magar issi system ke sab se mazboot haami hai, partner hai,,, Afsos k Imran Khan MQM ke iss siasi chaal ko na samjh saka,, aur MEDIA per aa ker MQM ke tareefein kerne lag gaya, Drones attacks , aafia aur raymond k mamlay ke waja se,, Imran Bhai ye to siasat hai, logo ko rehnumai hasil kerne k liay, popularity gain kerne k liay,,, kya MQM k iss protest ke waja se AAFIA wapis aa gai, kya raymond wapis aa gaya, kya drones attack ruk gay,,, result to zero hai,,,
mayoos keeya bohat mayoos keeya aik bar phir Imran Khan ne,,