log disciplined sirf aur sirf do hi tarah se ho sakte hen, aik taaqat se dar ker aur doosra apni ilmi satah ko buland ker ke jisse un ko ye baat samajh main aa jaaye keh organisation aur regulation aik khaas maqsad ke liye kyun laazmi hoti hai. is ke siwaa koi aur tareeqa mumkin hi nahin hai.
ye aisi hi baat hai keh jab tak aik bacha buland soch samajh nahin rakhta us ko her tarah se control main rakha jaaye kyunkeh woh abhi woh soch samajh nahin rakhta jo khud ko theek rakhne ke liye zaroori hoti hai. albatta jab woh baatun ko sochne samajhne lage to phir us ko saheeh ilm hi ke zariye control kiya jaa sakta hai.
albatta woh aik bahot hi khatarnaak dor hota hai jab insaan ko na to taaqat se control kiya jaa sakta hai keh taaqat us ke paas bhi hoti hai aur na hi sirf ilm se keh us ka ilm abhi bahot hi naaqis hota hai. ye dor insaan ki transition ka dor hota hai jab insaan bewaqoofi se aqalmandi ki taraf safar ker rahaa hota hai.
mojooda dor jo niyaa nahin hai aik arse se kuchh aisa hi hai. log jaise aik maqaam per aa ker ruk ge hun is dor main. na poori taaqat rakhte hen aur na hi poora ilm. yahee wajah hai her taraf uljhane hi uljhane hen aur fasaad hi fasaad. For better understanding of deen of islam from the quran see
HERE,
HERE,
HERE and
HERE.