KIA PEERI MUREEDI ACHHI CHEEZ HAI?
mera jawaab yeh hai keh yeh apni asal main to achhi cheez hai magar jis taraf ham log is ko le kar ge hen woh achhi cheez nahin hai.
peer boordhe aadmi ko kehte hen aur ilmi lihaaz se budhaapa ilm ki alaamat hoti hai is liye peer ko ustaad kehte hen kyunkeh ustaad amooman shagird se umar main aur ilm main badaa hota hai. matlab yeh keh agar ustaad sb khud kuch na jaante hun ge to shagirdun ko kia sikhaayen ge?
mureed talab gaar ko kehte hen yani ilm ka talabgaar yaa taalbe ilm yaa shagird.
is lihaaz se ustaad aur shagird ka rishta jo keh asal peeri mureedi hai bahot aala hota hai. khud khudaa bhi bandoon ka peer hi hai aur bande us ke shagird.
hamaare mullah ne albatta ham ko behlaa phislaa kar aik aisi peeri mureedi main daal diya hai jo deene islam ke mohn par zor daar tamaacha hai. yun ham ko bahot ghussa aata hai jab ham dekhte hen koi deene islam ki behurmati kar rahaa hai magar asal behurmati ki taraf ham ko kabhi dihaan hi nahin aaya.
agar ham chhate hen ham deene islam ko saheeh tarah se jaan saken to ham ko aise logoon ka sadde baab kiye bagher chaara hi nahin jo ham ko mazhabi bemaar banaa rahen deene islam ke naam par. in logoon ne ham ko khudaa ki mahkoomi ke bajaaye bebunyaad khayalaat ka pujari banaa daala hai.
peeri mureedi bazaate khud koi buri cheez nahin balkeh bahot hi zaroori cheez hai magar is ka istemaal bahot hi ghalat ho rahaa hai jis ki wajah se ummat shadeed mushkalaat ka shikaar hai. log apna waqt insaaniyat ko behtari ki taraf le jaane ke bajaaye abtari ki simt le jaane waali baatun main sarf kar rahe hen.
http://www.siasat.pk/forum/showthread.php?42439-Allama-Ghulam-Ahmad-Parwez-s-threads-collections&