aziz e mohtaram
zardari se aik interview main pocha gaya ke aap ke pass 5 saal hakumat thi , phir aap ne BB ke qatilon ko kuin nahi pakra , to us ne kaha ke agar main aisi koshish karta to mera bhi bhutto jaisa hashar hota , is bare main pura aik column hai hamid meer ka
lekin chalain main phir bhi aap ki baat ko wazni keh deta hoon kuin hi zahiri taur par to PPP ne zardari ko guard of honour diya
Rahi baat nawaz ki to aap zara woh waqt yaad karo jab Imran khan ke dharne nahi huay the , kis tarha musharraf adalat jata tha , kis tarha saad rafique , mushahid ullah , khuwaja asif , talal aur na jane kitne musharraf par tanqeed karte the , lekin phir dharne shroo huay aur us ke baad sab kuch badal gaya
aziz e mohtaram , zardari aik din k liye bhi musharraf ke khilaf nahi datta , agar woh bhi nawaz ki tarah datt jata na to dharnon jaisa koi drama zardari daur main bhi shrooho jata
yeh to sach hai ke nawaz ne musharraf ko jane diya lekin yeh imran khan ke dharnon ke baad ka sach hai