Compare it with MQM - Are they MQM people?

PakPatriot1

Senator (1k+ posts)
This includes Mufti Muneeb -ur - Rehman, the chairman of Rooat - Hilal Committee. All of them are renouned relegious scholars of Pakistan.

[attachment=1:18207236]main3.gif[/attachment:18207236]

and see the following Talabani Fatawa. If this fatawa is correct then all of the above Ulema are also Kharij-e-Islam

[attachment=0:18207236]untitled.GIF[/attachment:18207236]
 
khans141

Citizen
I hope our Army will take notice on these issues and I pray to Allah Pak, Please give courage to our Army and Government to fight against these terrorist Talibans because they are only extremest not Muslims.

A Muslim spouse to be humble, polite, kind and suppose to love humanity not to love guns like Taliban killing innocent people no matter what religion they are.
They are actually Deo-Bandi + Wahabies and they hate Ahl-e-Sunnat people and did anyone ever see any extremist coming out from Sunni Madrassa........Never.

I think that is a plan to start Civil War in Pakistan. MQM people walked out from the Parliament on the day of Nizam-e-Adal regulation being passed and they let it passed unanimously...........................why? If they were really against this Regulation then why not they stayed in the parliament and stand against this, and on the other side ANP brought this issue and start black mailing Zardari that they will not be supporter of PPP in the Federal Govt. because they knew that Mr. Zardari is so greedy and he wont let his Govt. become weak.
If MQM is so against this Nizam-e-Adal regulation then why they are still allies with PPP in Federal Govt............?

If you see in Balochistan there is already problem start after John soleki's kidnapping and as everyone knows who was behind that...(America, Britian, Israel and India) and then killing three nationalist (by CIA, MI5, MOSAD and RAW) to giving them (Balochies) a chance to start violating, and who is suffering and dying in all of these strikes and attacks....only Punjabi's.

In Karachi they tried to start a big problem on the day of Long March claiming that in the rally there was sayings against Sindh by Punjabi people, who tried to create this issue.....................................MQM, but they never succeed. Thanks to Media who recorded everything on the day of Long March, otherwise there could be a big problem.

In Sarhad, ANP trying to change the name of the Sarhad Province to Pakhtoon-Khwa, By the Constitution no one can change the name of the Province until they make changes in the Constitution with 2-3rd majority but they started calling Pakhtoon-Khwa and if you see our President and Prime Minister call the same name as well.........................why? and now this Nizam-e-Adal deal. They released Sufi Mohammed first, to tell the nation that we need peace (the main reason was start dealing with Taliban) and like everyone know that Fazal Ullah is Sufi Mohammed's son in law.......this is all bloody drama. The real story will start now in Sarhad when Taliban start attacking to Sunnis Mosque and Auliya-e-Karaam's Mazaraat in other ways Wahhabi and deo-bandi against Sunnis. And if you remember in the near past Senator Ghulam Ahmed Balour said in Peshawar if someone has problem with us then go and live in Punjab..........................why not he mentioned Sindh or Balochistan.

They are trying to create a problem in Punjab to de-stablised as well from long time in different ways like salman Taseer, Sharif brother's Case decision, Governor Rule, Sri Lankan Team Attack, Manawan Attack, Chakwal Blast (to create problem within Sunni and Shia community) Laathi charge and shelling on protesters of Long March and many more,
But............Allah Pak ne bachaey rakhkha and everything become normal
ANP and MQM keep blaming that Taliban coming from Punjab...................?

The real Game is start to fight in Sunni and Deobandi+Wahabi in Karachi soon and MQM is just making peoples mind to start for that.

These are all American Agents MQM, ANP, BLA, Rehman Malik, Zardari, Sufi Mohammed, Molvi Fazal Ullah + all Taliban, they are all getting big money from our enemies and working on one agenda to break Pakistan.

May Allah Taala save us and our beloved Pakistan from our enemies inside and outside..............................Aameen Summa Aameen.
 
PakPatriot1

Senator (1k+ posts)
Good reply Khan
But please don't try to say everybody GHADDAR except leaders of Punjab. Only Punjab is not patriot to Pakistan, others also are the sons of this land.
You forgot one name NAWAZ SHARIF in the list. We have not forgotten the crimes of Nawaz Sharif. We still remember defeat on Kargill at the breakfast table of Bill Clinton, attack on Supreme court, seazure of foreign exchange accounts of Pakistanis and extra judicial killings of Karachi Youth. We also can count them as Pakistan Dushmani and American agenda.
 
Syd

Politcal Worker (100+ posts)
Unfortunately, our country is at the brink of a meltdown and we are still pointing finger at each other. This is the one time opportunity for all pakistanis to be united and kick out all the old rotten politicians who only come into power for their own benefits, wealth and power. You name it Nawaz Sharif team, Zardari team, Fazlur-Rehman team, Qazi Hussain team, Altaf team, Soofi Mohd team etc etc. Chips of the same block.

It's a sad time in the hostory when a country that was formed with the sacrifices of two million lives and uncountable losses is close to breaking up second time in just 65 years.
 
patriot

Minister (2k+ posts)
Aray bhai logo Ap kiyooN apas meN laRai shuru kar detay ho?Theek hai MQM eik mutashaddad tanzeem hai lekin agar kisi muamlay meN woh Theek baat kar rahi hai tau maan lena chahye k haN Swat kay muta'liq MQM walay sahee keh rahay heN.
Aur yeh jo so called ulamaa nay press note jari kiya hai yeh koi shariat ki muhabat meN nahiN kiya,balkeh apni masaajid aur mazaraat ko bachaanay kay liye kiya hai. in kay karobaar ko khatra lahaq ho gia hai.
Baqi rahi shariat ki baat tau ahadeeth par mabni shariat aisi hi hogi chahe woh sunni ho shia ho ya phir deobandi wahabi.IsaanooN ki banaai hui shariat aisi hi hoti hai.Siraf Islam ki badnaami.
I will say to pak army :Crush them.Crush the bloody criminal Taliban.
 
such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem,

Hadeeth ko Quran se alag kerney waley Ehmakon ki Jannat mien rehtey hien.

Kiya baat hai k Quran Namaz ka tu hukum de raha hai meger Namaz perhney ka tareeka aur aukaat aur masaail k baarey mien koi saraahat nahi.?
Kiya baat hai k Quran Roza ka hukum tu de raha meger tareeka nahi bata raha.?
Kiya baat hai k Quran Zakat ka hukum tu de raha hai meger Nisaab nahi bataa raha.?
Kiya baat hai k Quran Huj aur Umrah ka hukum tu de raha hai meger tareeka nahi bata raha.?
Kiya baat hai k Quran Qaber aur Salat e Janaaza ki baat tu ker raha hai meger inkey masaail nahi bata raha?
Kiya baat hai Quran Riba (interest) ki baat tu kerta hai meger hamien is ki tafseel nahi bata?

Aur is k ilaawaa aisey hazaaron masaail hien jin ki tafseel hamien Ahadeeth e Mubarak se milti hai... derasal Quran in tamam moaamlaat jo opper bayaan howey aur is k ilaawa jo moaamlaat hien onka Ijmaali bayaan tu kerta hai meger tafseel k liye aur phir os per amal ker k dikhaaney k liye Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki hadeeth ko bunyaad banaata hai. (Hadeeth naam hai Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k Qol, amal aur kis amal pe khaamoshi kaa).

Ikhtalaaf kiyo paida hota hai??? Is liye nahi k Ahadeeth mien zaeef aur saheeh ki tafreek mojood hai... balkey is liye k log Saheeh ahadeeth pe amal kerney k bajai apney apney imaamo, molviyo, sardaaron aur rasm wa riwaaj ki pairwi kerna shoro kerdetey hien.... warna Quran aur Hadeeth ko khalis tor per amal ki bunyaad banaya jai tu ikhtalaaf ki koi gunjaaish nahi rehtee... haan ijtihaadi masaail mien ikhtalaaf hosakta hai meger yeh ikhtlaaf islaam k bunyaadi osoolon, masaail aur akaaid pe asar andaaz nahi hota.....

Hamarey yahan tu Aqaaid mien bhi ikhtalaaf hai.... jub k aqaaid pe tu quran mien mufassal kalaam hai... meger chon k log na Quran pe sahee tor pe amal kerna chahtey hien na hee Hadeeth pe balkey apney apney banaaye howey Tareekon pe chal rahey hien....

Kamyaabi Allah aur Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k bataaye howey tareekon mien hai....

Allah hamien amal ki taufeeq ataa farmaye.

wassalam.
 
Jury

Chief Minister (5k+ posts)
PakPatriot1 said:
This includes Mufti Muneeb -ur - Rehman, the chairman of Rooat - Hilal Committee. All of them are renouned relegious scholars of Pakistan.

[attachment=1:3f4fi1uf]main3.gif[/attachment:3f4fi1uf]

and see the following Talabani Fatawa. If this fatawa is correct then all of the above Ulema are also Kharij-e-Islam

[attachment=0:3f4fi1uf]untitled.GIF[/attachment:3f4fi1uf]

Only
BAIT ULLAH MASHOD, SUFI MUHAMMAD, are muslims.
And those, who are doing suicidal attacks to mosque and Imam Bargah.
 
patriot

Minister (2k+ posts)
such bolo said:
on Sat Apr 18, 2009 9:18 pm

Bismillah ir Rahman ir Raheem,

Hadeeth

Hadeeth ko Quran se alag kerney waley Ehmakon ki Jannat mien rehtey hien.

Kiya baat hai k Quran Namaz ka tu hukum de raha hai meger Namaz perhney ka tareeka aur aukaat aur masaail k baarey mien koi saraahat nahi.?
Kiya baat hai k Quran Roza ka hukum tu de raha meger tareeka nahi bata raha.?
Kiya baat hai k Quran Zakat ka hukum tu de raha hai meger Nisaab nahi bataa raha.?
Kiya baat hai k Quran Huj aur Umrah ka hukum tu de raha hai meger tareeka nahi bata raha.?
Kiya baat hai k Quran Qaber aur Salat e Janaaza ki baat tu ker raha hai meger inkey masaail nahi bata raha?
Kiya baat hai Quran Riba (interest) ki baat tu kerta hai meger hamien is ki tafseel nahi bata?

Aur is k ilaawaa aisey hazaaron masaail hien jin ki tafseel hamien Ahadeeth e Mubarak se milti hai... derasal Quran in tamam moaamlaat jo opper bayaan howey aur is k ilaawa jo moaamlaat hien onka Ijmaali bayaan tu kerta hai meger tafseel k liye aur phir os per amal ker k dikhaaney k liye Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki hadeeth ko bunyaad banaata hai. (Hadeeth naam hai Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k Qol, amal aur kis amal pe khaamoshi kaa).
Bhai,main tau yeh janta huN k Allah swt nay Quran majeed meN farmaya hai k yeh eik mufassal kitaab hai jis meN deen ki har cheez ki tafseel biyan kar di gaee hai.Ab agar yeh sab jo aap nay sawal kiye heN in kay jawabaat nahiN heN tau soch leN phir ilzaam kis par aa raha hai?Main tau aisi jasaarat nahiN kar sakta.
Main nay jab ahadeeth kaha hai tau mera matlab hai hadeeth ki kitaabeN,Rasool Allah saw ki asli ahadeeth say tau koi kafir hi inkar kar sakta hai meri kia auqaat. Aur asli ahadeeth ko parakhnay ka zariya hai quran e kareem,jis ko Furqan bhi kaha gia hai.JhooT aur sach meN faraq karnay wala.
Quran Qabar ki baat tau karta hai maga salat e janaaza ki nahiN.Agar ham quran ko quran kay zariye say nahiN samjhna chahtay tau kam az kam os par yeh ilzaam na lagaaeN k os meN ba'z baatooN ki tafseel nahiN hai.Woh wadhu ka tareeqa btaata hai aur sath hi paani ki adm maujoodgi par tayamum ka tareeqa bhi bata deta hai,tau kia itni aham batooN ke muta'liq os say (naAuzbillah) bhool hogi thi?
Dar asal ham khud hi Quran ko ahadeeth ki kitaabooN ki roshni meN paRhna chahtay heN bajaae es kay k ahadeeth ki kitaabooN ko Quran ki roshni meN paRheN jo k noor hai.
'Aaj kay din main nay tumhaaray liye deen ko mukammal kar diya hai', yeh Allah nay Quran meN farmaya hai.Ahadeeth ki kitaabeN teesri saddi hijri meN likhi gaee theN.Deen pehlay mukammal ho raha hai.
Rasool Allah sallAllah o Alaihi wasallam ki hadeeth mubarik say koi musalmaan inkar nahiN kar sakta. Magar bhai,Muslim aur Bukhari waghaira kitaabooN meN jo kuchh likha hai main os ko min o an nahiN maan sakta.
Bar haal taliban ka islam quran ka islam nahiN that's for sure.
 
such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
hai,main tau yeh janta huN k Allah swt nay Quran majeed meN farmaya hai k yeh eik mufassal kitaab hai jis meN deen ki har cheez ki tafseel biyan kar di gaee hai.Ab agar yeh sab jo aap nay sawal kiye heN in kay jawabaat nahiN heN tau soch leN phir ilzaam kis par aa raha hai?Main tau aisi jasaarat nahiN kar sakta.
Main nay jab ahadeeth kaha hai tau mera matlab hai hadeeth ki kitaabeN,Rasool Allah saw ki asli ahadeeth say tau koi kafir hi inkar kar sakta hai meri kia auqaat. Aur asli ahadeeth ko parakhnay ka zariya hai quran e kareem,jis ko Furqan bhi kaha gia hai.JhooT aur sach meN faraq karnay wala.
Quran Qabar ki baat tau karta hai maga salat e janaaza ki nahiN.Agar ham quran ko quran kay zariye say nahiN samjhna chahtay tau kam az kam os par yeh ilzaam na lagaaeN k os meN ba'z baatooN ki tafseel nahiN hai.Woh wadhu ka tareeqa btaata hai aur sath hi paani ki adm maujoodgi par tayamum ka tareeqa bhi bata deta hai,tau kia itni aham batooN ke muta'liq os say (naAuzbillah) bhool hogi thi?
Dar asal ham khud hi Quran ko ahadeeth ki kitaabooN ki roshni meN paRhna chahtay heN bajaae es kay k ahadeeth ki kitaabooN ko Quran ki roshni meN paRheN jo k noor hai.
'Aaj kay din main nay tumhaaray liye deen ko mukammal kar diya hai', yeh Allah nay Quran meN farmaya hai.Ahadeeth ki kitaabeN teesri saddi hijri meN likhi gaee theN.Deen pehlay mukammal ho raha hai.
Rasool Allah sallAllah o Alaihi wasallam ki hadeeth mubarik say koi musalmaan inkar nahiN kar sakta. Magar bhai,Muslim aur Bukhari waghaira kitaabooN meN jo kuchh likha hai main os ko min o an nahiN maan sakta.
Bar haal taliban ka islam quran ka islam nahiN that's for sure.

Sub se pehley yeh baat zehen mien rakhlo k Quran Allah ka kalaam hai aur Allah hee behter jaanta hai k is ne kisi moaamley ki tafseel quran mien kiyo dee aur kisi moaamley ki kiyo nahi...Hamara kaam hai "hum ne suna aur hum imaan laaye".

Baaton ko khob twist kertey ho tum. mien ne jo sawal kiye onka jawab bhi tu do.... ??? Mien Quran pe ilzaam lagaaney ki jasaarat ker raha hon yaa aap Hadeeth pe ilzaam lagaaney ki jasaarat ker rahey hien? Mien ne aik food for thought rakhaa k aisa kiyo hai??? yeh ilzaam nahi balkey samjhaaney k liye aik counter question hai jis ka mien ne jawab bhi de diya jis ki mazeed wazaahat yon hai k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko Allah Azzawajul ne Role Model banaa k bheja aur Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ki zaat ko "OSWAT UN HASANA" se tabeer kiya gaya... ab batao k bagher hadeeth k hamien kis terha pata chalega k Nabi sallal laahu alaihi wasallam ne kis terha zindagi guzari... ???? ager zindagi guzaarney ki tafseel hee na ho tu Role Model kis terha howey? ager baaz baaton ki tafseel quran se mil jai aur baaz ki na miley tu kiya adhoorey Role Model howey? Log afkaar mien aaj kul forn Role Model bana lete hien meger yahan baat Deen e Islam k Role Model ki horahee hai?? jo aik mukammal deen hai.... tu Role Model bhi mokammal hona chahiye. Sirf chund baaton mien nahi... Aur Alhamdulillah Hadeeth k zariye se humien Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki mukammal zindagi ka naksha mil jaata.

Islaam 'DEEN" hai yaani "way of life" ab yeh kesa way of life hai k jis mien namaaz ka ziker tu hai os ka tareeka nahi? ab tareeka hadeeth mien hai tu sabit howa k Quran apni tashreeh k liye hadeeth ka muhtaaj hai......ab yahan quran ki gustaakhi kahan se aayee??? Quran aur Hadeeth donon Allah ki teref se otaari howi cheezien hien... aik ko maannaa aur aik ko naa maanaa yeh gustaakhi hai yaa sirf aik ko maanaa gustaakhi hai???

Hadeeth Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k dor mien bhi likhi gayee thee yeh tumhara jhoota progpaganda hai k hadeeth Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k baad 300 saal baad hee likhi gayee aur is se pehley nahi, kisi likhi howi cheez ka baad k kisi wakt mien jamaa hona os cheez ki sehet pe asar andaaz nahi hosakta, yon tu Quran bhi Allah k Nabi (sallal laahu aliahi wasallam) k baad jaama howa thaa.....

Mota Imam Malik Ahadeeth k zakheem noskhoon mien se aik hai ki tadween Imam Malik Rehmatullahalaih ne ki aur inki taareekh e paidaaish 95 hijri aur wafaat 179 hijri hai.... ab batao 300 saal kahan se aagaye????

Aur sub se ahem yeh k kisi baat ka yaad rakhna os baat ko mehfooz kerney ka ziyada mostanad/mazboot zariya hai banisbet os baat k likhey jaaney k. Isi liye Aaj alhamdulillah hazaaron aur laakhon ki taadaad mien Huffaz e Quran mojood hien jo Quran ki abdi hifaazat ka zariya hien aur isi terha Huffaz e Hadeeth bhi mojood hien.

Nabi (sallal laahi alaihi wasallam) k dor mien ahadeeth ko ziyada ter yaad rakhney aur quran ko yaad rakhney aur saath saath likhney ka tareeka raaij thaa is ki buhat saari wajoohaat thin jis mien os wakt likhna perhna jaanney walo ki kum taadaad aur Quran ko behesiyat e kalaamullah dosri tehriroon se alehda rakhna thaa..... is der ki waja se k kahin Quran mien Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k alfaaz bhi shamil na hojain is liye is ko tehreer tor pe os dor mien imtiyaazi shakal dee gayee... meger jub yeh der khatam hogaya tu phir Allah k Nabi (sallal laahu alaihi waallam) ne na sirf ijaazat dee balkey sahaba ne yaad bhi rakhaa aur likha bhi hadeethon ko.... tafseel k liye aagey diye gaye links pe mojood kitaabon ko perhye.

Food for Thought:
Ager kisi cheez ka likhaa jaana hee os k mehfooz honey k liye kaafi hai tu phir Injeel, Tauraat aur Zaboor kiyo tabdeel hogayee, yeh kitaabien tu likhee gayee thee??????????

sabit howa k likhney aur na likhney ka propaganda bekaar hai.... hakeekat mien Quran aur hadeeth k mehfooz kerney ki zimedari Allah ne lee hai aur Allah hee ki mashiyet se yeh donon cheezien mehfooz hien. Likhii howi sorat mien bhi aur yaad rakhney ki sorat mien bhi.

Tadween e hadeeth aur Ashaat e Quran ki tafseel perhney se buhat saarey mughaalton ka jawab mil jaata hai... meger afsoos log Ghulam Ahmed Pervaiz, Abdullah chakralwi aur Jawed Ghamdi jese logo ki baato pe aankhien bund ker k aitmaad kerletey hien aur mojooda Firqa peresti se bezaari ki bunyaad pe Hadeeth ka inkaar ker dete hien....

Mojooda firqa peresti se her shaks bezaar hai... meger is ka ilaaj Hadeeth ka inkaar nahi balkey Quran aur Saheeh ahadeeth pe amal hai.

Allah hum sub ko Ghoroor, takabbur, hutdhermi, khodperesti, aqalperesti aur andhi taqleed jaisey moozee amraaz se bachaye.

is kitaab ka mutaala Difa e Hadeeth k baarey mien intihaayi ehem hoga. InshaAllah.

"Makaalaat" Sheikh Ismail Salafi (Rahimahullah)

http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI1.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI2.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI3.zip

"Dawam e Hadeeth" Sheikh Hafiz Muhammad Gondalwi (Rahimahulllah)
http://www.docs.umm-ul-qura.org/Dawamhadith1.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/Dawamhadith2.zip

"Aina e Pervaiziat" Sheikh Abdul Rehman Keelaani (Rahimahullah)

http://www.ahlulhadeeth.net/php/modules.php?name=Downloads&d_op=getit&lid=1100

Is k ilaawaa ulamaa e Ahle Hadeeth se is baarey mien mazeed maaloomaat lee jaa sakti hien...

Munkireen hadeeth k fitney se hoshyaar rahien.

Allah hum sub ko apney hifz o amaan mien rakhey.

such bolo
 
patriot

Minister (2k+ posts)
such bolo said:
Sub se pehley yeh baat zehen mien rakhlo k Quran Allah ka kalaam hai aur Allah hee behter jaanta hai k is ne kisi moaamley ki tafseel quran mien kiyo dee aur kisi moaamley ki kiyo nahi...Hamara kaam hai "hum ne suna aur hum imaan laaye".
Bhai,yeh baat tau sab jante heN k Quran Allah ka kalaam hai aur yeh bhi jan-na chahye k Allah nay yeh kalaam humaare liye hee nazil kiya hai takay hum es ko samajh kar es par amal kareN. Hun ne suna aur hum imaan laaye,yeh mutshabihaat kay liye hai pooray Quran par es ko apply nahiN karna chahye.
Baaton ko khob twist kertey ho tum. mien ne jo sawal kiye onka jawab bhi tu do.... ??? Mien Quran pe ilzaam lagaaney ki jasaarat ker raha hon yaa aap Hadeeth pe ilzaam lagaaney ki jasaarat ker rahey hien? Mien ne aik food for thought rakhaa k aisa kiyo hai??? yeh ilzaam nahi balkey samjhaaney k liye aik counter question hai jis ka mien ne jawab bhi de diya jis ki mazeed wazaahat yon hai k Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ko Allah Azzawajul ne Role Model banaa k bheja aur Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasalam) ki zaat ko "OSWAT UN HASANA" se tabeer kiya gaya... ab batao k bagher hadeeth k hamien kis terha pata chalega k Nabi sallal laahu alaihi wasallam ne kis terha zindagi guzari... ???? ager zindagi guzaarney ki tafseel hee na ho tu Role Model kis terha howey? ager baaz baaton ki tafseel quran se mil jai aur baaz ki na miley tu kiya adhoorey Role Model howey? Log afkaar mien aaj kul forn Role Model bana lete hien meger yahan baat Deen e Islam k Role Model ki horahee hai?? jo aik mukammal deen hai.... tu Role Model bhi mokammal hona chahiye. Sirf chund baaton mien nahi... Aur Alhamdulillah Hadeeth k zariye se humien Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ki mukammal zindagi ka naksha mil jaata.
MaiN ne kisi baat ko twist nahiN kiya siraf yeh kaha hai k quran ka dawa hai k yeh aik mukammal aur muffasal kitaab hai.Agar hum kaheN k es meN kisi baat ki tafsil nahiN hai tau ilzaam Allah ki kitaab par ata hai.
Ab rahi baat namaz waghaira ki tafsil ki tau es ki dau wajuhaat ho sakti heN.Jab Allah Tala kahte heN: Aqeemussalaat tau sun-ne wale jaante heN k kia kaha ja raha hai,kiyooN k wahaN par kuchh log pehle say hee sunnate Ibraheemi par amal karte hue yeh kam karte thay, es liye salaat ka tariqa bataane ki zaroorat pesh nahiN Aee.Yeh tau aik wajah ho sakti hai. Aur doosri yeh ho sakti hai k salaat jis ko hum namaz kahte heN es ka mutlab hee kuchh aur ho.essi liye jis tafsil ki hum ko talaash hai woh humeN nahiN milti.(This is also a food for thought.)
Ab role model ki taraf Aaye. Hazrat Aisha (radhiAllaho anha) say kisi ne poochha k RasoolAllah saw kaise thay tau Aap ne jawab diya k Aap saw CHALTE PHIRTE QURAN THAY. Tau meray bhai Nabi saw ne zandgi kaise guzaari ,yeh maloom karne k liye humeN Quran ke elawa kahiN bhi janay ki zaroorat nahiN.Na hee Quran ki tafsil kay liye Quran say bahir dekhne ki zaroorat hai.Allah ne farmaya hai k es ko HUM NE NAZIL KIYA HAI AUR ES KI HIFAZAT AUR ES KA BIYAAN KARNA AUR ES KA JAMMA KARNA BHI HUMAARE ZIMME HAI. Agar hadeeth bhi Allah ki taraf say hai tau phir dhaeef aur sahih ka masla kiyooN hai? Allah ki kitaab quran maiN tau sahih aur dhaeef ka sawal hee nahiN hai.Kabhi aap ne kisi aiyat e Quran kay mutaliq bhi suna hai k yeh aiyat dhaeef hai es liye es par aitbaar nahiN kiya ja sakta.? Yaqeenan nahiN suna hoga.Kiyoon k yeh namumkin hai.
Aap ko maloom hoga Imam Bukhari ko 6 lakh ahadeeth mili thiN un meN say unhuN ne taqreeban 5-6 hazaar ko sahih maan kar kitaab meN likh diya tha baqi ka inkar kar diya tau kia who munkare hadeeth tay?sawal yeh hai k un ko Allah ne sahih aur ghalat ka faisala karne ki authority dee thi?
Islaam 'DEEN" hai yaani "way of life" ab yeh kesa way of life hai k jis mien namaaz ka ziker tu hai os ka tareeka nahi? ab tareeka hadeeth mien hai tu sabit howa k Quran apni tashreeh k liye hadeeth ka muhtaaj hai......ab yahan quran ki gustaakhi kahan se aayee??? Quran aur Hadeeth donon Allah ki teref se otaari howi cheezien hien... aik ko maannaa aur aik ko naa maanaa yeh gustaakhi hai yaa sirf aik ko maanaa gustaakhi hai???
Hadeeth Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k dor mien bhi likhi gayee thee yeh tumhara jhoota progpaganda hai k hadeeth Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k baad 300 saal baad hee likhi gayee aur is se pehley nahi, kisi likhi howi cheez ka baad k kisi wakt mien jamaa hona os cheez ki sehet pe asar andaaz nahi hosakta, yon tu Quran bhi Allah k Nabi (sallal laahu aliahi wasallam) k baad jaama howa thaa.....
Aap phir molvi ki baat meN aa gay. Quran ko nazil hone kay sath hee likh AUR hiffaz bhi kar liya jata tha.Aur us ko hiran ki khaal par likha jata tha ,es ka saboot khud Quran kay andar maujood hai . Yeh baat k Quran ko huddioN aur pattooN waghaira par likha jata tha ,bilkul jhooT aur laghaw hai.
Agar 100 saal bad likhi howi cheez ki sehet par assar nahiN paRta tau phir christians ki bible par aitraz kiyooN?
Mota Imam Malik Ahadeeth k zakheem noskhoon mien se aik hai ki tadween Imam Malik Rehmatullahalaih ne ki aur inki taareekh e paidaaish 95 hijri aur wafaat 179 hijri hai.... ab batao 300 saal kahan se aagaye????
Chalo 300 sal na sahi doosri saddi tau hai na? 100 saal bad ki sunni huwi baat ko aap qaule Rasool saw keh sakte heN?? Aur kaha bhi nahiN jata.qaule mansoobe alaih Rasool kaha jata hai. Yani woh baat jo log os waqt Rasool saw say mansoob karte thay.Mota Imam Malik Rematullah alaih Saha Sitta meN shamil nahiN hai.woh sub teesri saddi meN likhi gaee heN.
Aur sub se ahem yeh k kisi baat ka yaad rakhna os baat ko mehfooz kerney ka ziyada mostanad/mazboot zariya hai banisbet os baat k likhey jaaney k. Isi liye Aaj alhamdulillah hazaaron aur laakhon ki taadaad mien Huffaz e Quran mojood hien jo Quran ki abdi hifaazat ka zariya hien aur isi terha Huffaz e Hadeeth bhi mojood hien.
Quran ko likha bhi gia aur hiffaz bhi kiya gia. Hadeeth kay mutaliq aisi koi sannad nahiN hai aur na hee Allah aur os kay Rasool ne likhne ka hukum diya tha.

Nabi (sallal laahi alaihi wasallam) k dor mien ahadeeth ko ziyada ter yaad rakhney aur quran ko yaad rakhney aur saath saath likhney ka tareeka raaij thaa is ki buhat saari wajoohaat thin jis mien os wakt likhna perhna jaanney walo ki kum taadaad aur Quran ko behesiyat e kalaamullah dosri tehriroon se alehda rakhna thaa..... is der ki waja se k kahin Quran mien Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) k alfaaz bhi shamil na hojain is liye is ko tehreer tor pe os dor mien imtiyaazi shakal dee gayee... meger jub yeh der khatam hogaya tu phir Allah k Nabi (sallal laahu alaihi waallam) ne na sirf ijaazat dee balkey sahaba ne yaad bhi rakhaa aur likha bhi hadeethon ko.... tafseel k liye aagey diye gaye links pe mojood kitaabon ko perhye.

Food for Thought:
Ager kisi cheez ka likhaa jaana hee os k mehfooz honey k liye kaafi hai tu phir Injeel, Tauraat aur Zaboor kiyo tabdeel hogayee, yeh kitaabien tu likhee gayee thee?????????
Es liye k abhi nabuwat ka silsala jari tha es liye kitabboN ko mahfoz rakhne ki zaroorat nahiN thi.Jab nabuwat ko khatam kar diya tau kitaab ki hifazat ki zime dari bhi Allah Tala ne khud lay li.Na kitaab tabdeel hogi aur na hee ko aur Nabi Aey ga.
sabit howa k likhney aur na likhney ka propaganda bekaar hai.... hakeekat mien Quran aur hadeeth k mehfooz kerney ki zimedari Allah ne lee hai aur Allah hee ki mashiyet se yeh donon cheezien mehfooz hien. Likhii howi sorat mien bhi aur yaad rakhney ki sorat mien bhi.
.Quran ki hifazat ki zumedar tau Allah Tala ne li hai magar hadeeth ki?Main ne abhi tak kahiN nahiN paRha k Allah ne Bukhari aur Muslim ki hifazat ki zume dari li ho

Tadween e hadeeth aur Ashaat e Quran ki tafseel perhney se buhat saarey mughaalton ka jawab mil jaata hai... meger afsoos log Ghulam Ahmed Pervaiz, Abdullah chakralwi aur Jawed Ghamdi jese logo ki baato pe aankhien bund ker k aitmaad kerletey hien aur mojooda Firqa peresti se bezaari ki bunyaad pe Hadeeth ka inkaar ker dete hien....

Mojooda firqa peresti se her shaks bezaar hai... meger is ka ilaaj Hadeeth ka inkaar nahi balkey Quran aur Saheeh ahadeeth pe amal hai.
Phir sahih ahadeeth? Es ka matlab tau howa k ghair sahih ahadeeth bhi heN.Tau wahee kaise ho gaee.?
Allah hum sub ko Ghoroor, takabbur, hutdhermi, khodperesti, aqalperesti aur andhi taqleed jaisey moozee amraaz se bachaye
.
Ameen.
is kitaab ka mutaala Difa e Hadeeth k baarey mien intihaayi ehem hoga. InshaAllah.

"Makaalaat" Sheikh Ismail Salafi (Rahimahullah)

http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI1.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI2.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/SALFI3.zip

"Dawam e Hadeeth" Sheikh Hafiz Muhammad Gondalwi (Rahimahulllah)
http://www.docs.umm-ul-qura.org/Dawamhadith1.zip
http://www.docs.umm-ul-qura.org/Dawamhadith2.zip

"Aina e Pervaiziat" Sheikh Abdul Rehman Keelaani (Rahimahullah)
http://www.ahlulhadeeth.net/php/modules ... t&lid=1100

Is k ilaawaa ulamaa e Ahle Hadeeth se is baarey mien mazeed maaloomaat lee jaa sakti hien...

Munkireen hadeeth k fitney se hoshyaar rahien.

Allah hum sub ko apney hifz o amaan mien rakhey.

such bolo
such bolo
Posts: 83
Joined: Fri Mar 20, 2009 4:33 pm
 
such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem

Buhat afsoos k saath kehna per raha hai k tum ne wohee munkireen e hadeeth wala andaaza apnaaya howa hai jo Mr. Ghulam Ahmed Pervaiz, Abdullah Chakralwi, Aslam Jairajpori aur Jawed Ahmed Ghamdi ki teref se tamam munkireen hadeeth ko wirsey mien mila hai... aur tumhari reply ain soboot hai k tum Hadeeth aur fenn-e-Hadeeth se bilkul na wakif ho... aur tumhari maaloomaat is tamam ilm se mutalik intihaaye satahee se hien...

Mera yeh dawaa hai k ager koi shuks ikhlaas k saath Hadeeth ki tadween mien Aaima e Hadeeth ki mehnet aur inkey ikhlaas aur is ilm ko mehfooz rakhney k liye jo aik poori science takhleek ki hai, os ka motaalaa kerley tu yeh maaney bagher nahi rehsakta k Hadeeth ki Tadween aik moaajzaa hai jo Allah taalaa ne in aaima k zariye se zahir kerwaya aur is deen ko qayamat k liye mehfooz ker liya.

Mere bhai aik choti si baat arz keronga. Yeh deen qayamat tuk k liye hai aur qayamat tuk liye honey ka matlab hai k yeh qayamat tuk mehfooz rahey. Aur yeh baat huq hai k Quran jub mehfooz raheyga tu is ka bayan bhi mehfooz rahega jaisa k aap ne khod is ko tasleem kiya.

HUM NE NAZIL KIYA HAI AUR ES KI HIFAZAT AUR ES KA BIYAAN KARNA AUR ES KA JAMMA KARNA BHI HUMAARE ZIMME HAI.

Ahlesunnah wal jamaat k nazdeek jahan allah ne Quran nazil kiya woheen is ka bayan bhi nazil kiya. aur is ka bayan Hadeeth hai. Hadeeth hee hamien Quran k on goshoo ki tafseel detee hai jo bagher hadeeth k na hee hamien samajh aa saktey hien naa hee hum os pe koi aik hatmi raaye kaaim kersaktey hien... matlab yeh howa k ager sirf quran ko qayamat tuk mehfooz ker diya jaaye tu koi faida nahi jub tuk is bayan mehfooz na ho, kiyo k isi sorat mien hum aik mukammal deen pe amal kersakiengey. Wagerna haal wohee hoga jo aap ne apnee reply mien apna bayan kiya hai k aaj tuk aap Namaz/Salat k baarey mien kisi hatmi nateejey pe nahi pohanch sakey... subhanAllah....

Meree jin jin Munkireen e Hadeeth se mulakaat howi hai on sub ki raaye namaaz k baarey mien mukhtalif hai koi namaz 3 wakt ki maanta hai koi 4 wakt ki koi 5 wakt ki aur koi namaaz k maaney kuch aur hee leta hai....

Ager aap k mutabik namaaz k maaney kuch aur hien jo hum saajh nahi paa rahey tu phir tu Masjid e Nabwi, Masjid ul Haram aur dosri taarikhee masaajid, aur yeh azaan ka nizaam aur Jamaa ka khutba aur Jumaa ki namaaz, Namaaz e Eidein aur paanch wakt ki namaazien yeh sub deen mien izaafa hien???????????? yeh izaafa kub howa aur kis terha howa aur saaree ki saaree ummat ne is izaafey ko kabool kerliya??? aur pichley 1400 saaloon mien is izaafey pe aitraaz kisi ne nahi kiya??????? wese ager aap isi baat ka jawab de dien tu buhat hai warna baatien tu itni hai k aap ka poora munkireen e hadeeth ka groh qayamat tuk in baaton ka jawab nahi de sakta...

Hakeekat yeh hai k aap ka ilm aur maaloomat intihaaye sat'hee see hien aur opper se mubalgha araayee bhi (jo ain jhoot k motradif hai) aur is ka soboot aap khod de chukey hien.

Chalo 300 sal na sahi doosri saddi tau hai na? 100 saal bad ki sunni huwi baat ko aap qaule Rasool saw keh sakte heN?? Aur kaha bhi nahiN jata.qaule mansoobe alaih Rasool kaha jata hai. Yani woh baat jo log os waqt Rasool saw say mansoob karte thay.Mota Imam Malik Rematullah alaih Saha Sitta meN shamil nahiN hai.woh sub teesri saddi meN likhi gaee heN.

peheley khod kaha k 300 saal ab keh rahey hien chalo 100 saal baad... subhanallah.....300 saal mien se 200 saal kitni aasaani se kum kerdiye... yehee soboot hai tumharey jhootey honey aur mubalgha araayee ka aur kum ilmi ka isi liye mien ne kitaabon k link diye hien jo perhlo ager Allah taufeeq de.

Baat Hujjiyet e Hadeeth ki horahee hai Sihah sitta ki sirf nahi ho rahee aur aap ki itela k liye arz hai k saheeh hadeeth jahan kahin bhi ho hamara os per imaan hai chahey wo mota mien ho, Masnad e ahmed mien ho yaa siha e sitta mien ya kisi aur hadeeth ki kitaab mien.

Jub aap zaeef hadeeth k wojoood ko maantey hien tu mere dost zaeef hadeeth he is baat ka soboot hai k zakhira e hadeeth mehfooz hai. Aur woh osool aur qawaid mojood hien jis ki bunyaad pe zaeef ko saheeh se alag kiya jaasakta hai. yeh isi terha hai k Asli Ghee dunya mien mojood hai aur nakli bhi aur ghee ki pehchaan kerney waaley mahireen asaani se asli aur nakli ka pata chala saktey hien. Nakli ghee ki mojoodgi ki binaa pe asli ka inkaar koi jahil hee kersakta hai. isi terha zaeef ahadeeth ki mojoodgi ki waja se Saheeh ka inkaar bhi Muhadditheen, inkey ilm, osool aur qawaaid se laa ilm shuks hee kersakta hai.

aap ne likha hai k Imam Bukhari ko 6 laakh ahadeeth mili thin. Derasal aap ne in 6 laakh ahadeeth k milney se jo nateeja akhaz kiya hai wohee is baat ka soboot hai k aapp porey tor pe Pervaiziyon k chungal mien hien... Allah k bandey 6 laakh milney ka matlab muhadditheen ki istalah mien "matan" yaani text k hisaab se 6 laakh nahi balkey "sanad" yaani chain k hisaab se hein. yaani ager on ahadeeth ko text k hisaab se dekha jaai tu woh chund hazaaron mien hongi meger chon k aik hee text ki mukhtalif sanadien thin is liye woh taadaad mien laakho banti hien. Is liye jub onhon ne Saheeh ki tadween ki tu os wakt kuch osool banaye aur on osoolon pe jo hadeeth pori uterti gayee inhien apni saheeh k liye muntakhib kerliya aur jo on osoolon pe poori na otrin onhien chor diya aur woh osool itney pukhta aur sakht they k Jamat e Ahlusunnah Saheeh bukhari ki sehet pe mujtamey hogayee... siwaye Munkireen e hadeeth k aik chotey groh k jo pichley 60-70 saalon ki paidaawaar hai.

6 laakh ahadeeth wali baat aap ne likh k apni kum ilmi ka pol khol diya... beher haal... mien is behes ko mazeed tol dena nahi chahta aap se guzarish hai k mien jo link paste kiye they inhien perhna chahien tu perhlien in links mien aap k tamam sawalon aur ghalat fehmiyo ka jawab hai.

aap ne lihkha hai
Quran ki hifazat ki zumedar tau Allah Tala ne li hai magar hadeeth ki?Main ne abhi tak kahiN nahiN paRha k Allah ne Bukhari aur Muslim ki hifazat ki zume dari li ho

Mere khayal mien aap ne buhat kuch nahi perha... aur aap ko perhney ki sakht zarorat hai. Ahadeeth likhney ka hukum bhi Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne diya ahadeeth ko hifz kerney aur inhien aagey ponhchaaney ka hukum bhi Allah k Nabi (sallal laahu alaihi wasallam) ne diya aur Quran k saath hadeeth ki hifaazat ki zimedari bhi Allah ne lee hai jo Quran aur Hadeeth dono se sabit hai. Aur Quran ki terha Hadeeth bhi Hujjet hai aur Quran k ilawa bhi Allah k Nabi (salall laahu alaihi wasallam) pe wohee/revelation oterti thee, jo Quran aur Hadeeth dono se sabit hai. Mazeed maloomaat k liye Kitaabo k links perhiye inshaAllah tashaffee hojaigee..

Der hakeekat Quran ki hifazat mukhtalif tareekey se Allah ne kee aur Hadeeth ki mukhtalif tareekey se. Is mukhtalif tareekon mien bhi buhat saaree hijmatien pinhaan hien jo ghor o fiker kerney walo se pooshida nahi. tafseel yahan likhney ki gunjaish nahi...

Baaki jinhien "mien na maanoo" ki beemaari hoti hai on sey tu quran bhi mehfooz nahi aur woh tu quran mien bhi shuk kertey hien aur osey kitabullah maanney k liye tayyar nahin (jis terha aap hadeeth ko minjaanib Allah maaney k liye tayyar nahi). Billions ki taadaad mien ghair muslim is ki daleel hien.

Allah aap ko Quran aur Hadeeth pe chalney wala banaye... Aameen.
 
Jury

Chief Minister (5k+ posts)
1100614005-1.jpg

1100614005-2.gif
 
patriot

Minister (2k+ posts)
Such bolo bhai Ap ki duaooN ka shukria. Meri bhi yahi dua hai k Allah Ta'ala hum sub ko siraat e mustaqeem pe chalne ki taufeeq ataa farmaAy.
Jesa k Ap ne farmaya hay behas ko tool dena nahiN chahye kiyooN k hum daunooN mukhtalif level par baat kar rahe heN.Aur yeh bhi khadsha hay k Admin. yeh keh kar yeh thread lock kar deN k yahaN par mazhabi behas karna manah hay.Warna namaz par bhi bahot kucch kaha ja sakta hay.
Ap Admin. say ijazat lay leN phir baat kareN gay, InshaAllah.
Filhaal Allah hafiz. Es site par english meN kitaabeN heN paRh kar dekheN shaaed mufeed huN:

http://www.ourbeacon.com/
 
Reliver_Male

Voter (50+ posts)
PakPatriot1 said:
This includes Mufti Muneeb -ur - Rehman, the chairman of Rooat - Hilal Committee. All of them are renouned relegious scholars of Pakistan.

[attachment=1:3kxp0ohd]main3.gif[/attachment:3kxp0ohd]

and see the following Talabani Fatawa. If this fatawa is correct then all of the above Ulema are also Kharij-e-Islam

[attachment=0:3kxp0ohd]untitled.GIF[/attachment:3kxp0ohd]
Na manne ke so bahane ke Nazame Adal bandook kee nok par araha hey, pakistan me army bhee to bandook nok par atee hey, bhai koee bat nahee agar unlogon ne apne zore bazoo par Adle Nazam laya hey, agar aplogon me himat hey to ap bhee bandook ke nok par nazame adal laen. mujhe lagta hey pakistani musalman khud bre dushman hen Nazame Adal aur Islam ke bhee
 
Reliver_Male

Voter (50+ posts)
Jury said:
jab Nabi ne Islam kee tableegh kee to ap jaise logon ne mukhalfat kee jaise us waqt ke sardaron aur daulatmandon ne bare kanoonee nukat aur falsafe bitaegaye. Aaj wohee daur lag raha hey. Shariat aur Nafaze Adal kee khawahish society ke pise hue mazloom log kar rahe hen, jo har kisam kee zulam kee chakee me pis rahe hen aur Aala daulat mand log aur siasee deenee leaders , bre bre general, awal darje kee tawaifen es Nazam kee mukhalfit kar rahe hen.
 
TABLEEGHI JAMAAT, did not show Gun to Saeed Anwer, Junaid Jamshed and many more to get them on right path with out burning their houses etc. And don't pass judgment on others. May be they are better than you.

Watch this video and find out, what really SHARIAH means.
[video]http://www.youtube.com/watch?v=XruDe3eGs1U&feature=channel_page[/video]
 
such bolo

Chief Minister (5k+ posts)
Bismillah ir Rahman ir Raheem

Mr. Jury I would request you to please stick to your favorite issue which is "protecting every move of MQM" and don't get involved in Islamic issues, it is very easy to paste a youtube link but have you ever thought who you are quoting to??? This guy who is sitting in "Choraha" and the anchor person Hassan Nisar are "REJECTOR OF HADEETH" they are follower of Ghulam Ahmed Pervaiz and Abdullah Chakralwi, Aslam Jairaj pori and Jawaid Ahmed Ghamdi.

Do you know these people? they are normally against offering Salat, Roza, Huj etc. even they say that Alcohol is not prohibited moreover they are against almost all Islamic Sha'air (Symbols). They say that we follow Quran and Quran is enought for us and We dont need hadeeth (sayings, actions and approvals of Prophet Muhammad (sallal laahu alaihi wasallam).

Please beware of these people and dont quote them.

Thanks.

such bolo.
 
jazbaedil

Voter (50+ posts)
Ye Achi behas hai, iss main jhagarnay wali koi baat nahin hai, aap hazrat aik dosray ko bura bhala kahay baghair bhi ye behas agay le kar ja saktay hain, jis k pass daleel mazboot hogi, uss ki baat maan li jani chahiyay. dosri baat ye k zaroori nahin k aap donon hi ghalat hon, baaz auqaat do bilkul mukhtalif batain bhi sahi hoti hain, misal k tour pe koi kahay k chaand roshan hai, tou wo sahi hai, magar jo kahay k chaand roshan nahin hai, wo bhi sahi hai, kionk chaand ka aik hisa roshan nahin hai. Haan albatah, mera apna nazariya ye hai keh, Quran Allah ka kalam hai, aur hadees Allah k kalam ki tashreeh hai. Quran ko Allah ne mehfooz kia hai, isi tarha se Allah ne Quran ki tashreehaat ko bhi mehfooz kia hai. Ye nahin ho sakta keh Quraan tou moujood ho, laikin duniya main koi arabi jannay wala na ho. Haan Albatah, hadees ka darja baharhaal hadees hi ka hai. Quran k baray main tou ko tehqeeq ki gunjaish nahin hai, wo tou atal hai. Magar ahadees zaeef bhi hain, aur sahi bhi, aur mouzoo waghaira bhi. bas aisa hai k Quran ka jo darja hai wo hadees ka nahin hai, magar hadees ka darja itna bhi kam nahin k uss ka inkaar hi kar diya jaaey. Sahi ahadees ko maana hi paray ga, warna islam kay baray main mukamal agahi nahin hogi. Aik aur baat ye ke, mujhe nahin maloom keh Quran main kahin ye likha hai k Quraan main har baat ki TAFSEEL moujood hai. barah e karam uss ayat ko idhar bata dain. aur agar naa bata sakain, tou logon se muafi hi maang lain k aap se ghalati ho gai hai. Aur ye k "hum ne aaj iss deen ko tumharay liyay mukamal kar diya hai" ye bhi meray khiyal main hujatul wida k din Huzoor SAW ne farmaya tha, na ke ye Quraan ki ayat hai, agar aap k samnay hain tou barah e karam paish kar dain. Wese main sab kuch kehnay k bawajood ghalat ho sakta hon, iss liyay main pehlay se hi sab se muafi maang raha hon k agar koi ghalat baat lagay tou muaf kar dijiyay ga.

Taliban ka koi aur islam nahin hai, unn ka bhi wohi islam hai jo baqi sab ka hai. baat ye hai k Talibaan ki deeni tabeer se ikhtelaf tou ho sakta hai, magar unn ki deen se raghbat aur deen dari se inkaar mumkin nahin hai. Aap MQM aur iss jaisi la deen, tanzeemon aur partion se Taliban ka muqabla na hi karain tou behtar hai. Aik jaanib but shikarn hain, aur dosri janib butt farosh, aap ki marzi jis k saath ja k kharay ho jain, bas yaad rahay, Allah ki janab main apna jawab zaroor soch k rakhiyay ga.
 
Jury

Chief Minister (5k+ posts)
such bolo said:
Bismillah ir Rahman ir Raheem

Do you know these people? they are normally against offering Salat, Roza, Huj etc. even they say that Alcohol is not prohibited moreover they are against almost all Islamic Sha'air (Symbols). They say that we follow Quran and Quran is enought for us and We dont need hadeeth (sayings, actions and approvals of Prophet Muhammad (sallal laahu alaihi wasallam).
such bolo.

Not just accusing one can't prove anything. Send some thing conclusive.
How can a muslim is against offering SALAT, ROZA, HAJJ and other basic fundamentals of ISLAM?
 
Back
Top