Attention Admin

eye-eye-PTI

Chief Minister (5k+ posts)
Aik to mujhey yahan ki Admin ki samajh nahee atti khas ker ke thread merge kwernay walay staff ki.


Aksar to Admin aankhain band ker ke yahan ka thread wahan phaink deta hai aor wahan ka yahan


Aaj mein ne Imran Khan khan ki complete Media talk per thread banaya jis main 23 mins se lambi aj ki mukamal press conference thi


Admin Ijaz Sahab ne mera thread uraa ke ussay chotay chotay toton walay aik aor thread main jaa ghusaya hai


Admin Ijaz Sahab maana ke ap ko thread merge kernay ka khasa tajarba hai leiken janab aisa kernay se pehlay aik daffa thread ke contents dekh lia karaiin.


Jo thread main ne lagaya thaa bilkul wohi thread Rameez Chaudhry ne lagaya hai ... farq sirf titles ka thaa


Meray thread ka title tha " Imran Khan's Very Aggressive Media Talk 27.10.2016 "


Rameez ke thread ka title hai " Imran Khan's Complete Media Talk 27 Oct 2016 "


Khuda ka wasta hai Sharif courts ki tarah Faislay na kia karain ... insaf kia karain.


Kind Regards,


eye-eye-PTI
 

eye-eye-PTI

Chief Minister (5k+ posts)
o bhai
aik taqreer kay agar 20 thread bana loo gay to admin kaya karay

Bhai Sahab Asoolan yehee hona chahiye ke jo thread Complete Speech ka bana hua hai uss main baad main anay walay similar threads ko mergge kia jaey


Naa ke chhotay chhotay toton walay threads mein complete media talk ko ghusaa dia jaaey
 

aamir_uetn

Prime Minister (20k+ posts)
Bhai Sahab Asoolan yehee hona chahiye ke jo thread Complete Speech ka bana hua hai uss main baad main anay walay similar threads ko mergge kia jaey


Naa ke chhotay chhotay toton walay threads mein complete media talk ko ghusaa dia jaaey

ببلو بھیا کچھ لوگ ٹوٹے پسند کرتے ہیں نا ، چیدہ چیدہ نکات دیکھ لیتے ہیں پوری پریس کانفرنس دیکھنے میں ٹائم لگتا ہے نا
 

Waseem

Moderator
Staff member
بھائی ٹائٹل مختلف تھی یا ویڈیوز بھی مختلف تھیں؛ اگر صرف ٹائٹل مختلف تھا تو پھر مرج کرنا ضروری تھا اور ماڈریٹر اعجاز نے ٹھیک ایکشن لیا -
 

انجام

MPA (400+ posts)
اصولی طور پر جو دھاگہ پہلے شروع ہوا وہی جاری رہنا چاہئے۔چاہے وہ مکمل خطاب والا ہویا مختصر کلپ والا۔ ویسے یہ بھی دیکھنے میں آیا ہے کہ انتظامیہ ایک ہی موضوع کو کئی جگہ اجازت دیتی ہے۔ اور کہیں مختلف موضوعات کو بھی ملا دیتی ہے۔
 

Back
Top