ALLAH KA QURB

ALLAH KA QURB
Jab Insaan ka dill so jata hay ya Dunya ki lazzat say madhosh ho jata hay to ye khud ko bhool jata hay or apni haqiqat say bay khaber ho jata hay or khud say bay khaber ho janain say us ki qeemat gir jatee hay.
Is ki misaal youn samajh lo k jab bacha apni haqiqat say waqif nahien hota to wo kooray kirkit main bhi khailta hay, gerd o ghubaar main bhi khailta hay. Man Baap ki dee huie naamatoon ka bay derdee say istamaal kerta hay. Khaber hojanain per khuddaree or waqar peida ho jata hay hatta k us muqaam per pohanchta hay jahan mohtat ho ker gandagee say bachta hay or apni naamat or qeemat ko samajhta hay.
Isi terha Insaan ka Dill jab so jata hay to us ka taaluq ALLAH JALL E SHANA HU say toot jata hay yaanee wo ALLAH say ghafil ho jat hay. Jo bachpan main rehber say bicher jata hay us ki zindagi biger jatee hay or Dill ghafil ho ker ALLAH say bay khaber ho jata hay. Nafes us ka rehber ho jata hay or shetaan us ka musheer ho jata hay.Us ka Qalab Dunya ki muhabbat or fiqer main mubtila hota hay, lezzat e Dunya ka mutlashee hota hay. Dunya fanee hay or jo fana ka mutalashee hota hay wo khud bhi fana ho jata hay.
Or beidaar Dill wo hota hay jis main noor e eemane hota hay yaanee ALLAH TAALA us main noor ki chingaari rakh day tay hain wo noor QALAB main aa ker apni haqeeqat ko pukaarta hay chahay Insaan ka jism oukarna chahy ya na cha hay ye noor ZAAT E HAQ ko pikarta hay or itna pukarta hay k us ko sonain nahien deta.
Soya hua Insaan dost or dushman main tameez nahien kersakta or jab beidaar ho ta hay to siway pashemaani k kuch nahien ho ta. Phir mout usay aa ker beidaar kerti hay. Jo mout say pehlay pukarta hay us ka naam hay ZIKER. Ziker kia bhi jata hay or ata bhi hota hay. ALLAH TAALA nain apnai berguzeedabandoon k seenon ko apni toheed ka merkez banaya or un k Qaloob ko noor ka khazana banaya. Jab kisi banday per keram fermatay hain to us banday koo aisay bandoon ki suhbat main bheij detay hain jin k seenon main noor e toheed hota hay, Geram paani her botel main nahien dala ja sekta, Sheeshay ko pehlay halki aanch mai pakaya jata hay phir geram panee berdasht kernain k qabil banta hay. ALLAH k noor ki taaqat ka andaza Insaan nahien kersekta eik halki see tajalli jab TOOR per juie to wo reza reza ho gia leikin ummat e MAHBOOB (SAW) ko ye sherf haasil hua k wo QALAB main noor liya phirtay hain.
Ehle ALLAHjab kisi k Qalab ki teraf khial kertay hain or us k Qalab main noor rakhtay hain to wo hairat main aa jata hay. Ye noor usi zaat ko pukarta hay jahan say ye aya hay , bagheir pukaray usay chain nahien ata. Ye noor baatanee imraaz ka Ilaaj hota hay or jo andheira gunahoon ki waja say peida hota hay is noor say chat jata hay. Ye noor fasid maday jala deta hay or ye nafas k liye tazyana hay phir nafas ser nahin utha sekta or usay ijz wa inkasaari ikhtiaar kerna perti hay.
Jab ALLAH or raazee hotay hain to us banday ko muraaqabay ki fiqer ata fermatay hain, muraqiba eik fiqer hay jis main insaan doob ja ta hay.
Or jab ALLAH or raazee hotay hain to mushahida kerwatay hain. Eisay raazoon ka mushahida kerwatay hain k insaan heirat main aa jata hay.Is aalam main Us aalam ka jalwa dikhatay hain or jab or razee hotay hain to apna qurb atya fermatay hain, Apni Maarafet ata fermatay hain or tawaqal ata fermatay hain, na kal ki fiker hoti hay na haal ki na mazee ki. ALLAH per bharosa yaqeeni hota hay, haq ul yaqeeni haasil hoti hay, Phir un ko mukashi fa e ghaib ata fermatay hain. Yaa nee wo cheesain jo aam makhlooq say makhfee rakhee gaie hain un per zaahir ker k un ki zubanain band kerdaytay hain or un k seenon ko apnain raazon ki Qaber bana detay hain. Ye hezraat khidmat kertay hain tamaa nahien rekhtay. Un ka Qalab ALLAH ki taref rujoo rehta hay or wo makhlooq k tamaa say bay niaz hotay hain. ALLAH un k saaman khud fermatay hain. Phir maabood un ka iraada ban jatay hain or ye ALLAH ki raza per razee ho jatay hain or jab ye ALLAH ko pukartay hain Ya Rabbee to maabood bhi un ko pukar laytay hain Labbaiek Ya Aabadee Maabood jab un say Istafsaar fermatay hain kia Chahiye to ye kehtay hain Maabood teree raza cha hiya . Jab ye Maabood ki raza per raazee ho jatay hain, jinhain Maabood BAQA ata fermatay hain mout un say panah mangtee hay, ye mer ker bhi nahien mertay , jisay Ehl e dunya mout kehtay hain un k liye peigham e wasal hota hay ye us Aalam main kaie hazaar gunaah ziada kaam kertay hain or shamsheer e bay niam hotay hain.
Ye muqaam unhain ata hota hay jo apnain Qalab ko saaf kertay hain or lezzat e dunya ko terk kertay hain or aakhirat ki lazzet ko talab kertay hain, or jo ALLAH ki naamat ki hifazet kertay hain, jo dunya ka talib hay dunya us ki makhdoonm hay or jo maabood say ALLAH ko mangtay hain wo ehl e dunya k makhdoom hotay hain or dunya un ki khadim hotee hay.
Her eik ko mout ki ghatee main say guser na ho ga jahan apnay paray saath chor detay hain siway eemaan k or neik aamal k, Is andheiray main noor e eemaani say rasta tay hota hay, jo mout say pehlay roshni ka intizaam kertay hain wo Qaber k andheiray say bach jatay hain jo Aalam e fana main baqa haasil kerlaytay hain wo mout k baad bhi nahien mertay un ko ALLAH eisa Aalam ata fermatay hain jis ka wehm o gumaan bhi nahien kersaktay , Waqat door nahien INSHA ALLAH Maabood karam fermaien gay, saahib e haal bhi hongay or Sahib e Muqaam bhi hongay.