Re: نیکی کی دعوت دو برائ سے روکو
azizam paki muslim sb, is forum par kyunkeh log aik doosre se ulajh padte hen is liye admin bunyaadi baatun par behso mubehse ki ijaazat hi nahin deti. rahee aap ki baat ke maine umar se aqal ko joda hai to yeh aap ne ghalat samjha. mera kehne ka maqsad aapko yeh bataana tha ke kuchh baatun ko bawjood koshish karne ke karne ke liye waqt darkaar hota hai. aap agarche mere liye umar ke lihaaz se bache ho magar aap ko nayee baatun ki mujh se ziyadah malomaat hun gi aur aapki haazir damaaghi bhi mujh se behtar ho gi. umar ke saath saath kuchh baten behtar ho jaati hen aur kuchh badtar.
Allah aap ko ilm se mohabbat aata farmaaye aur aap ko aik sahibe baseerat shakhs banaaye lambi aur tandrust zindagi de kar aur ilm par amal ki towfeeq bhi ataa farmaaye. apni khwaaish is ke siwaa kuchh nahin keh jo kuchh zindagi main seekha is ke saath hi qabar main na jaa paden shaaid is main kisi ko kuchh faaida haasil ho jaaye. yahee wajah hoti hai lambi lambi posts ki.
Agar waqt mayasar ho to qurane kareem ki bahot achhi tarah se study karen, maine is kitaab ko bahot hi buland ilmi satah ki kitaab paaya hai aur abhi tak mera jee is ki study se bhara nahin hai. albata is ki study ke liye deegar ilmi kitaabun ka padhna bhi laazmi hai ta keh zehni satah utni buland hoti jaaye jitni quran ko samajhne ke liye darkaar hai.
khud agahee, jahan agahayee aur khudaa ka ehsaas jab tak is darje pe insaan nahin pohnchta quran ki zaroorat aur ehmiyat samajh main nahin aati. albata jab insaan quran ka maqaam insaani zindagi main dekh leta hai to phir us par woh raaz khulna shuru ho jaate hen jin ke liye quran ko naazal kiya gayaa hai.
Allah ham sab par apna karam farmaye. khudaa haafiz.
Main ney sirf aap se pooch raha tha aap ney reply kion nahi kiya? aur aap ney itni lambi baat kar di.
doosri jahan tak age ki baat hai tu kia sirf bari age hona Haq pe honey ki alamat hai?ye mantaq aap ki samajh se baalatar hai.
Akhri baat main kisi molvi k kehney pe aap ko gahalat nahi keh raha aur na hi main aap ko harana chata hon ,main tu sirf ye keh raha hon aap k paas sahi ilm hai tu mujh se baat karlo ,ta k agar main gahalat hon tu mujhey sahi baat ka ilm ho jai ya phir agar aap ghalat ho tu aap ko sahi baat ka ilm ho jai.