JI was a part and parcel of every dictatorship from Ayub to Musharraf :lol:.
sood aur profit me kiya farq hay. sood kiyoon mana kiya gaya hay. sood arger mana hay tu phir how we invest cash?
I also endorse the suggestion of "angryoldman"... this forum is infested with easy going muftis, so better consult some real aalim e deen...sood aur profit me kiya farq hay. sood kiyoon mana kiya gaya hay. sood arger mana hay tu phir how we invest cash?
naiki aur burayee hai hen kia cheez?
insaanu ke woh kaam jo maashre ko achhi salahiyaten bakhshen jin se insaniyat taraqi kare aur khush-haal ho un ko quraani siyaqo sabaaq main amaale saaliha kehte hen.
isse insaanu ko amno skoon ki zindagi muyassar aati hai. yahee wajah hai quran main ehle imaan ko amaale saaliha ki taraf mutawaje kiya gayaa hai. ehle imaan kon log hen? woh jo khud aman chahte hen aur doosrun ko bhi aman se rehne ki taraf raghbat dilaate hen. issi ka naam dawate islami hai.
isse yeh baat khoob waaze ho jaati hai islam deen hai mazhab nahin hai.
tum ney jo sawal poocha tha main ney reply kiya tha,us k baad tum ney reply kion nahi kiya?? aik hi sawal k baad bhaag gai?
azizam paki-muslim sb, aap ki umar ke mere grand children hen, ab aap batayen kia main bachun ki tarah bekaar behsun main uljha huwa aap ke saath achha lagun ga?
abhi aap ko zindagi ke kayee tajarbun se guzarna hai jo khud hi aap ko sochne par majboor karen ge ke aakhir is duniya main yeh sab ho kia raha hai. jab aap ke dil main sawaalaat ubhren ge aap khud hi jawaab dhooden ge.
maine apne bal dhoop main safaid nahin kiye. is baat ka pata aap ko us waqt chale ga jab aap meri baatun ko ghor se padhen aur samjhne ki koshish karen ge. abhi aap ka zindagi ke un masaail se paala hi nahin pada jo insaani dimaagh khol ke rakh dete hen ya phir insaan ghabraa kar ulte seedhe haath paon marta hai.
agar aap baaten samjhne ke liye sawaal karo ge to jawaab haazir karne ki koshish karun ga magar agar aap sirf yeh kehna chahte hen keh falan molvi sb kehte hen aap ghalat ho, is liye aap ghalat ho aur is wajah se main aap ki baat hi nahin sunta to phir mere baat karne ka maqsad hi fowt ho jaata hai.
rahee bhagne ki baat to aap jawaan aadmi ho main boodha aadmi hun aap se kaise baagh sakta hun?
rahe mere sawaalo jawaabaat, to woh sirf baat samjhne aur samjhaane ke liye hote hen kisi ko haraane ke liye nahin. jo mujh se ziyada ilm rakhte hen kisi baat ka un se seekhta hun aur jo kam ilm rakhte hen un ko eductae karne ki koshish karta hun jo zindagi ke kuchh din abhi baaqi hen.
agar aap ko deen ka ilm seekhna hai to apna dimaaghi tawaazan drust aqdaar par rakhu aur apna rawiya drust rakhu isse aap ka tarze amal achha ho ga. islam ki asal bunyaadi qadar yahee hai.
khud par musalman ka label lagaa kar doosrun se ulajh padna bila kisi qaade qanoon ke sar phire logoon ka kaam hota hai. isse islam ki bhi badnaami hoti hai aur insaan ki apni qadro qeemat bhi nahin rehti.
Allah ham sab ko apna paighaam sahee tarah se samajhne ki towfeeq de aur is ke zariya ham par apna karam farmaye.
© Copyrights 2008 - 2025 Siasat.pk - All Rights Reserved. Privacy Policy | Disclaimer|