Re: This is too much>><><>< malik statement now mirza???
bhai mery alone zulfiqar mirza maun main agg lay k nahi phir rahha sath main nisaar khoro bhi hai
yeh duno Mardan House main Hain Shahi Syed waghera k sath
or MQM nay jo press confrenss ki Assambly say bahir a k wo bhi Maun say sholay barsa raha tha Raza Haroon
es waja say abb ppp yeh statment day rahi hai...
PPP mqm k khilaaf Sunni tehreek or jamat-e-islami ko bhi mila rahi hai sunni tehreek pehlay he Afaq ahmad ki etihadi hai
MQM abb alone hai karachi main magar es main kusoor bhi mqm ka apna he hai ....
esko kise surat tashadud ka rasta nahi apnana chaeyh tha.... pakistan ka tu Alamiya he yeh hai k yahan
tashadudh ka jawab Tashadudh say dea jata hai.. yahaan bech bachao karany wali koe taqat nahi hai...
Koe Aysi Qowwat pakistan main ana chaeyh jo in sab siasi or lisani dehshat gardo ka mukammal safaya karday ya
kamzkam inko lagam zaror dal day .....
Ajj k yeh statments kal karachi ki tabahi ka sabab ban saktay hain
yeh dr kaun tha kia tha ese ko issue bana k khana jangi start ki ja sakti hai..
Ramdan Ka Mubarak Month bhi Qareeb hai Kuch khoof-e-khuda in zameeni khudaoo ko nahi horaha Allah hidayat dayin hum sabko
ameen
kashif abbasi k program k start main ppp or mqm k dehshat gardo ki press confress dekh k he andaza hojata hai k
hallat kis kadar kharab hain ..