2 FACES of RAMADAN - Must Read!!!!

karachiwala

Prime Minister (20k+ posts)
ee8b0f3ac6859b8443bc4b3f5cffecaa.gif
 

Bombaybuz

Minister (2k+ posts)
Mujha tou ya he gumaan hai ka ya qoum khas tour pay aur musalman aam tour pay waaz o naseehat k daur sai guzar gayee hain ... is IT ka dour main jahan kalma a haq kahna asaan hoga hai wahan he haq ki baat dilon pay asar karna khatam he ho gayee hai, mujha khud samait duur duur koe insaan nahi nazar aata jis ney kesi waaz kesi naseehat ya khoof a khuda sai apna tarz a amal badal leya hoo ya kuch ko duniya sai masiyaat sai alag nahi tou kuch fasley per he ker leya ho, aur tab phir society main paida hoti buraiyan bilkul bhe haraan nahi karten ka jab zulm k rastey main itney logh sath sath barhtey hain tou phir society ka ya he haal hua karta hai ... bus l woh pak zaat jald poora ker ley humara imtehan o azmaissh aur karam karay k emaan kesi darjey main saath lajaney main kamyaab ho sakain warna as a scholar said other day that ... humara emaan ko humain bister sai utha ka masalley tak nahi le ja sakta ... ya humain jannat tak kesay le jayee ga ...