کیا سیلاب الله کا عذاب ہے؟

thinking

Prime Minister (20k+ posts)
Ye floods ka azaab itna bara nahi kisi qoum ke lia bhi..Abhi recently pori dunia mein hi Moon Soon regions countries mein salaibo ne bohat tabahe machae ha.Pakistan bhi last mein is ka Shakar howa..Asal Azaab Allah swt ka ye ha ke hamaray uper. Badkar..Corrupt..Choor..Zalam..Gunah gar.Zani..Sharabi.. hukamran musalat kar dia ge hain..Aur in ke sath Mulk ke tamam powerful adaray hain...Ye ha asal azaab..Jis ki traf ham dekh hi nahi rehay..Ham sirf floods dekh rehay hain.Jo agay ab barshain na honay ki wajah se aglay saal August tak ruk jaya ga..aur log slowly apni normal life ki traf jana start kar dey gein.agar in Choro ne saheeh madad ki tu jaldi recovery ho gi..
 

Citizen X

(50k+ posts) بابائے فورم
Azaab anay ke waqt khatam hogaye, Azab khas qoumon ke liye khass waja ke liye aatay the, aur kabhi koi azab nahi aya jub tak Allah ne us qoum mein koi peghamber nahi bheja unki islaa ke liye.

Is liye har qudarti aafat ko azaab khena ghalat hai
 

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
32_21.png

And we will surely let them taste the nearer punishment short of the greater punishment that perhaps they will repent.
 

Wake up Pak

(50k+ posts) بابائے فورم
Agar yeh Allah ka azab hay tu siraf ghareeboon per he kiyon aata hay?
Azab tu jaati mujra aur billo house may aana chaiyay jin key waja say aaj yeh qoum itni ghareeb aur pasti may hay.
 

Wake up Pak

(50k+ posts) بابائے فورم
32_21.png

And we will surely let them taste the nearer punishment short of the greater punishment that perhaps they will repent.
Does not apply to this flood situation.
Rains are natural phenomenon but to deal with it is upto the humans.
If our corrupt politicians would have made dams in the past 50 years the situation would have been much different by now.
 

atensari

(50k+ posts) بابائے فورم
Does not apply to this flood situation.
Rains are natural phenomenon but to deal with it is upto the humans.
If our corrupt politicians would have made dams in the past 50 years the situation would have been much different by now.
سیلاب ایک مظہر ہے. نااہل سیاستدانوں کا عذاب سیلاب، خشک سالی، بجلی، گیس، پینے کے قابل پانی کی کمی کی صورت میں سارا سال قوم پر مسلط رہتا ہے​
 

Wake up Pak

(50k+ posts) بابائے فورم
سیلاب ایک مظہر ہے. نااہل سیاستدانوں کا عذاب سیلاب، خشک سالی، بجلی، گیس، پینے کے قابل پانی کی کمی کی صورت میں سارا سال قوم پر مسلط رہتا ہے​
Iss may Allah ko kion blame kiya jaata hay?
 

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
khudaa ki zaat per bohtaan baandhne chhor do. khudaa apna taaraf hi rehmano raheem jaise ilfaaz se kerwaata hai. woh ham ko bataata hai us ne apna nizaame hasti kaise set up kiya huwa aur woh kaise kaam kerta hai.

woh insaanu ko kehta hai in baatun aur kaainaat ko samajh ker kaainaat ko musakhar karo taa keh ye kaainaat tumaare liye faaidemand ho. woh ham ko her us baat aur kaam se mana kerta hai jo hamaara waqt zaaya kare ya ham ko nuqsaan pohnchaane waala ho.

sochne ki baat ye hai aakhir khudaa ko ham ko aisi baaten bataane ki zaroorat kia thi? yahee keh ham waise kaam karen jin se ham ko faaida pohnche aur woh kaam na karen jin se ham ko nuqsaan pohnche. jab hamaare ghalat kaamun se ham ko nuqsaan pohnchta hai aisa nuqsaan khudaa ham ko pohnchane deta hai kyunkeh kyunkeh us ne ham ko apni set up se agaah kiya huwa hai.

ye aisi hi baat hai keh koi rah chalte andhe ko bataaye keh aage nahin jaana kyunkeh aage raaste main khadda hai aur woh andha aage jaaye aur us khadde main gir jaaye aur ulta bataane waale ko gaaliyan dena shuroo ker de.

khudaa ke baat kerne ka apna aik andaaz hai jis ko theek tarah se samajhne ki zaroorat hai. hamaare qurani tarjamun aur tafseerun main bahot ziyaada ghalatiyan payee jaati hen. jahaan tarjama kisi baat ko hone dena kerna chahiye wahaan kerna ker diya jaata hai. To let something happen is not same as doing something. azaab main mubtila hone dena aur azaab dene main bahot farq hota hai.

yahee wajah hai sab log kehte hen khudaa ne fulaan ko azaab diya halaan keh khudaa saaf saaf bataata hai keh aisa logoon ke apne amal ka hi nateeja hota hai yani consequence. kyunkeh ye dunya cause aur effect ke tareeqe per kaam kerne ke liye set up ki gayee hai. set up khudaa ki hai aur causes logoon ki apni hopti hen aur unhi ke consequecnes logoon ko face kerne padte hen. For more detailed explanation see HERE.
 

Back
Top