Re: لاکھوں انسانوں کی زندگی بدلے والی کتابیں
yeh intahaahee zaroori baat hai keh log is baat ka ehsaas karen ke islam deen hai mazhab nahin hai. mazhab pooja paat ka doosra naam hai aur yeh malukiyati dor ke mullah ki ijaad hai jis ko aaj tak molvi deen samajh kar phelaa rehe hen apni kam ilmi ki wajah se ya phir apne zaati mufaad ki wajah se.
bahot se log islam ko mazhab kehte aur likhte hen magar un ka maqsad mazhab se deen hi hota hai. deen aik nizaame zindagi ko kehte hen.
agar aap modoodi sb ki in baatun par ghor karen to aap issi nateejah par pohnchen ge.
modoodi sb ne islam ke maani khudaa ki itaat kiye hen, yeh lafze islam ke maani un ke maqsad ko zahir karte hen warna lafze islam ka maada seen, laam aur meem hai. is ke maani skoon ke hen yani woh shai jis main khud bakhud harkat na ho aur woh haalate skon main ho. yahee wajah hai is ke maani amno salaamti ke hen.
insaanu par jab zaroorat ka ghalba hota hai to woh apne andar harkat aur bechaini paate hen aur jab un ki zaroorat poori ho jaati hai to phir un ko chain aa jaata hai aur woh skoon ki haalat main waapas aa jaate hen. is lihaaz se islam ke maani kisi maqsad ko haasil karne ke zariye ke bhi hen. yahee wajah hai seedhi ko bhi silm kehte hen kyunkeh us ko aadami oochi jagaa pohnchne ke liye istemaal karta hai.
Islam Allah ka bataaya huwa deen hai, yani yeh khudaa ki taraf se bandun ke liye maqarar maqsad tak pohnchaane ka zariya hai. ab sawaal peda hota hai,khudaa ne duniya kyun banayee aur is main insaan ko kyun peda kiya?
is ka jawaab hai apni ibaadat ke liye. ab sawaal peda hota hai ibaadat kia cheez hai? ibaadat ka lafz ain, baa aur taa ke maada se mushtaq hai. is maade main hakoomat ka tasawur muzmir hai. yano haakamo mahkoom ka. qurani taleemaat ke mutaabiq haakim sirf aur sirf Allah hai aur mahkoom tamaam makhlooq. albata insaan ka maamla alag hai kyunkeh is ko sahibe ikhtyaar peda kiya gayaa hai aik had tak. is ki kia wajah hai? is ki wajah insaan ka maqsade takhleeq hai. khudaa ne insaan ko is liye peda kiya hai keh woh khudaa ki takhleeqi quwwat ki wajah se khudaa ko pehchaane. is liye keh khudaa ne isaan ko peda hi apni maarfat ke liye hai. ab khudaa ham ko nazar to aata nahin hai is liye us ki pehchaan is ke siwaa aur kisi zariye se mumkin hi na thi bajuz us ki takhleeq ko jaane aur us ke paighaam ko pehchaane.
yeh baat ham ko hamesha batayee gayee hai khudaa ko insaan se kisi shai ki talab nahin hai magar quran ki roshni main is baat ka matlab yeh har giz nahin hai jo ham logoon ne molavyun se suna hai. asal baat kuchh yun hai keh khudaa ko apne wajood ki mojoodagi aur isteqaamat ke liye kisi sahaare ki zaroorat nahin hai magar khudaa bhi mukhlooq se apni pehchaan ka talabgaar hai. agar khudaa ko insaanu se kuchh bhi talab na hota to wahee ki zaroorat hi na thi aur na hi takhleeqe makhluqaat ki.
khudaa aik zinda hasti hai aur har zinda hasti ki zindagi ka saboot us ka kisi na kisi tarah mutaharak hona hai. khudaa ne apne aap ko express kiya is liye keh woh aik zinda hasti hai. us ne apne aap ko express kiya kaise? do tarah se, aik taklhleeqe makhluqaat aur doosra wahee ke zariye.
khudaa ki pehchaan pooja paat se ho hi nahin sakti kyunkeh kisi bh shai ko jaanane ke liye aqal ka istemaal zaroori hai. aap aqal ke bagher khudaa to kia aik atom ko bhi jaan nahin sakte. yahee wajah hai khudaa ne insaanu ko aqal di aur apni taraf se hadaayat bhi aur sahibe ikhataay banaaya.
khudaa ne insaanu ko sahibe ikhtayaar isi liye bayaa hai ta keh insaan apni poori azaadi ke saat khud apne ilm ki bunyaad par khudaa ko pehchaane. isi baat ka taqaaza tha keh insaan ko khud mukhtari di gayee aqlo hawaas ke saath. yahee wajah hai khudaa ne duniya irtqayee bunyaad par peda ki ta keh insaan banaaye ge qudrati nizaam main apna raasta khud talaash kare aur wahee se us ki madad sirf wahan ki jaaye jahan woh maloomaat hasil karne se aajiz ho. yahee wajah hai insaan ki zindagi us ke zaati tajarbe par munhasir kar di gayee hai pedaaish se le kar wahee ki zaroorat mehsoos karne tak. jo log hewaani satah tak hi reh jaate hen un ko wahee se kuchh bhi haasil nahin hota aur jo zindagi ke tajarbaat se guzar kar khudaa ko dhoodne nikalte hen to un ko wahee ki zaroorat aur ehmiyat ka ehsaas jaagta hai.
yahee wajah hai wahee ka maqsad logoon ko khudaa ka pujaari banaana nahin hai balkeh un ko un ki zingaki ke maqaasid bataana hai aur un maqaasid main aik maqsad khudaa ki kaarigari ko dekhna bhi hai aur zahir hai khudaa ki kaarigari ham yahan zameen par mehdood reh kar to nahin dekh sakta is ke liye ham ko aasmano main raaste talaash karne hun ge aur aasmanu ki sair karni ho gi. is ki kia wajah hai? is ki wajah yeh hai jab tak insaan khud apni madad aap ke teht mehnato mushaqqat se takhleeqi amal se nahin guzarta us ko yeh ehsaas kaise ho sakta hai jo kuchh khudaa ne banaaya hai woh kitni badi kaarigari hai. yahee wajah hai khudaa ne hamaare andar jo jo salahiyaten rakhi hen un ka waqt ke saath saath zahoor hota jaaye ga aur insaaniyat taraqi ki manzilen teh karti rehe gi.
isse pehle keh insaan aasmanu par jaa pohnche duniya main aik aise nizaam ki zaroorat hai jo sab insaanu ko aik tasbeeh ke daanu ki tarah pero de. is ki zaroorat is liye bhi hai keh jab tak sab log aik ho kar khudayee maqsad ki taraf matwajoh nahin hote woh us maqsad ko poora karne ke liye kaamyaab nahin ho sakte. yeh nizaam islami nizaam hai. is ka maqsad is duniya main baith kar insaanu se khudaa ki pooja paat karwaana nahin hai balkeh in ko ikatha kar ke apni agli manzil ki tarah le kar chalna hai.
kia aap ne quran main padha nahin har shai Allah ne insaanu hi ke liye peda ki hai keh woh us ko apne liye istemaal main laayen? ghoda, gadha ho yaa gaaye bakri zameen ho yaa aasmaan chaand ho yaa kehkashaayen sab khudaa ne insaan ko apni qudrat dekhaane ke liye peda kiye hen. ab jab tak insaan khudaa ki qudrat dekhne ke liye apne andar di gayee salahiyatun ko istemaal nahin kare ga khudaa ke diye huwe maqsad ko poora kaise kare ga? yahee wajah hai islam woh nahin hai jo molvi ham ko bataate hen balkeh asal islam quran main hai aur us ko talaash karna chahiye. khudaa ki ibaadat us ke diye ge maqaasid ko maloom kar ke poora karna hai pooja paat nahin. yahee wajah hai kaainaat main har shai apna apna maqsad poora kar rahee aur yahee khudaa ki ibadat hai. insaanu ko bhi chahiye apna maqsad maloom karen aur us ko poora karne ki koshish karen.
khudaa ne insaanu ko aik bahot hi bade program ko poora karne ke liye peda kia hai. mullah ham ko yeh bataata hai khudaa ne ham ko pooja paat ki aazmaaish ke liye peda kiya hai. bilkul ghalat baat hai jo mullah ham ko bataata hai. ham ko quran khud padhna chahiye aur us main di gayee baatun par ghoro fikar karna chahiye.
aakhir khudaa ne ghoda hamare liye peda kiya to kia jab ham peda hote hen ghode par sawaar hote hen? nahin balkeh ghode ko qaaboo karne ki salaiyaten ham main rakh di gayee hen aur ham main se jo un salahiyatun ko istemaal main laata hai ghode ko qaaboo kar leta hai aur us ko apne maqsad ke liye istemaal karta hai. isi tarah khudaa ne kaainaat insaanu hi ke liye banayee hai aur jo log is par apni salahiyatun ko baroa kaar laate hen us se wabasta fawaaid haasil karte hen.
is tanaazur main har sahibe ilm shakhs ki baatun ko dekhen ge to pata chale ga modoodi sb ne bhi kaafi had tak batun par ghoro fikar kia hai, aur hamaara kaam un ki un baatun ko aage le kar jaana hai jo aage chalne ki salahiyat rakhti hen.
isi tanaazur main ham ko parwez sb ki baatun ko bhi lena ho ga aur deegar ulemaekraam ki baatun ko bhi issi ko ilm ikhtilaaf kehte hen. baaqi sab mazhabi firqawariyat hai jo insaaniyat ko aage badhne se rokti hai. musalmaan woh hai jo waqt ko apne saath saath chalaata hai. fitrat ki paaband gher insaani makhlooq hai insaaniyat nahin. insaan khudaa ka takhleeqi shahkaar hai har makhlooq se badh kar. ab to ham ko yeh baat samajh aa jaani chaiye keh aisa hai kyun.