قاضی فائز کیس:ایف بی آر کو تحقیقات کیوں نہیں کرنے دیں گئیں؟شاہزیب کے سوال

Mughal1

Chief Minister (5k+ posts)
کس نے کہا ہے کہ قاضی صاحب بےگناہ قرار نہیں پائے؟؟ فیصلہ اور کیا آیا ہے؟؟ پہلے فیصلے میں ہی قاضی صاحب کو بےگناہ قرار دے دیا گیا تھا لیکن اس فیصلے میں اکثریت نے ان کی بیوی کی دی گئی منی ٹریل کو درست تسلیم کرلیا ہے . بے گناہی اور کسے کہتے ہیں؟؟

azeezam resiliant sb, kisi ke yun hi kisi ko begunah keh dene se koi begunah saabit nahin ho jaata. money trail drust hai ya ghalat is ka faisla tab ho ga jab asal money trail di jaaye gi aur us ka hisaab lagaaya jaye ga trial court main. agar baat drust saabit hui to drust aur agar ghalat saabit hui to ghalat. phir jab poora written faisla aaye ga to pata chale ga asal baat kia hai abhi to bahot si baaten ki jaa rahee hen jin ke drust ya ghalat hone ka ham ko pata hi nahin hai. lihaaza mazeed details per baat kerna abhi mahz andhere main teer chalaane waali baat hai. scp ke judges ne meri nazar main khud ko naa-ehl saabit ker diya hai apne remarks aur faislun se.

rahee baat pehle faisle ki to us main qazi sb ko begunah nahin bataaya gayaa tha balkeh maamle ki mazeed inquiry ke liye fbr ko bhaijne per itifaaq huwa tha. baad ke faisle main fbr ki inquiry ko hi khatam ker diya gayaa. yani reference aur inquiry dono ko hi khatam ker diya gayaa kyun? hona to ye chahiye tha keh fbr ki inquiry ke baad maamla trial court main bhaij diya jaata taa keh wahaan per money trail ki tasdeeq ya tardeed ki jaa sakti. scp to trial court hai hi nahin. mera kehna ye hai keh ye case shuroo hi se scp ke judges ne saheeh tarah se handle hi nahin kiya. ab jo chahyen karen magar baat waheen atki rahe gi.

ab to sirf ye dekhna baaqi hai keh kia scp ke judges ne aainda ke sab case bhi qazi sb ke khilaaf band ker diye hen apne order se ya nahin. agar kiye hen to ye phir un ka unjaan pan hai ya phir haraami pan. agar to ye judges ka haraami pan hai to ye chale ga nahin aur na hi is ko chalne dena chahiye keh ye pakistan ke wajood ke liye intahee khaternaak hai. haan agar ye anjaan pan hai judges ka to aise judges ko istefa de ker apne apne ghar chale jaana chahiye. ye log is qaabil hi nahin hen keh scp ke judges kehlaa saken. ye intahee serious baat hai jis ko kisi tarah bhi nazar andaaz nahin kiya jaa sakta. lihaaza ham ko tafseeli faisle ke aane aur us ko saheeh tarah se samajhne tak ka abhi intazaar kerna chahiye. abhi money trail ke baare main log tarah tarah ki baaten ker rahe hen jab saamne aaye gi aur log hisaab kitaab lagaaye ge to pata chale ga keh asal baat kia hai.

regards and all the best.
 
Last edited: