Jin Hazraat ko Siddiq e Akbar RA ke Ghar e Yar hone pe takleef hay or un ke baray men ALLAH or uss ke Rasool ke kalam men taweelen dhonte nahee thaktay, un keliye chand baten arz hen ......
1) ALLAH ke Nabi SAW ne kuffar ke khof se ke wo kaheen un ko halaak na ker den , madeenay ka safar kioon kia ??? ager khof na hota ye madeena kion niklay chup chupa kar ??? Isliye ye khof khof keee kahanian rehne den shia hazrat. Verna aisa etiraaz pehle Nabi SAW per hoga ke wo apni jaan bacha ker makkay se kioon gaye ??? or Ghar men chup ker kioon bethe ??? Ager shia hazrat apni fazool taweelen na karen to aise behooda sawaal bhee naa uthai jain gay.
2) Pooray Makkay men Nabi AS ko siwa Abu Baker RA ke koi or rafeeq na mila tha. Baqi Ahle bait ya banu Hashim men koi is qabil na tha ke is kathan safer men uss ko apna shareek banatay ???? Siddiq e Akbar hee kion ??? Maloom hua ke Nabi AS ke bahtreen sathi or sab se Qabil e Etibar Sahabi thay ke jin Ko hamsafar bananay keliye ALLAH ke nabi nay tamam mohmineen or ahl e bait per bhee foqeeat dee.
Abh shia ko ye bat hazam na ho to kia kia jasakta hay. Deewar se apna sir to maar sakte nai. ham ne to Haq bayan ker dena hay. Koi qabool karay na karay.
3) ALI RA ko sath le ker kion nahee gaye ?? Un per bharosa nahee tha kia ??? Kia wo Yar e Ghar nahee ban saktay thay ??? Unko bister pe kion sulaya ??? kia wo sirf bister pe sulannay keliye thay ??? Sath le jane ko Siddiq huye or ALI ko bister pe sullaa gaye ??? Abh agaer ALI ko ye saadat naseeb nahee hui to iss men Siddiq e Akbar ka kia qasoor ??? Poochen ALLAH ke nabi SAW se wo kion na ALI ko sath le gaye ?????
4) ALI RA ke hote huye ALLAH ke Nabi SAW ko kis bat ka dar tha ke wo kafiron se jaan bacha ker madeena rawana ho gaye ??? unki zulfqar kahan thee ??? unki jurrat or bahaduri kahan thee ??? Kafiron kee ye jurrat ke NABI SAW ke qatl ka qasad karen or ALI bister pe daraaz rahen ??? ALLAH ka Nabi SAW ko kafir soongtay phir rahe thay talwaren nangi kee huye or ALI RA bister pe so rahe thay ?????
Jab aap log apnee fazoool tashreehat or kahanian bayan karen gay or unglian Siddiq e Akbar kee taraf uthain gay to aisee hazar unglian aap ki janib uthen geee. Is liye ALLAH ke kalam or Quran ka faisala qabool kijiye.
5) ALLAH ke rasool ne AbuBAKR RA ko chunna , wohee is qabil thay ke Nabi SAW ka sath dete or un ke Yar E ghar bantay..... Wohee is Qabil thay ke unki suhbat ghar men, ALLAH quran men bayan kerta......Wohee is Qabil thay ALLAH ke nabee ne un ko La Tahzan kee khushkhabri dee (aap ke ALLAH Sath hay jis tara Nabi SAW ke sath hay)...... Wohee is qabil thay ke in dono ko ''Isnain'' keh ker pukara gaya.
SubhAnALLAH. Siddiq e Akbar kee shan bohet oonchi hay or shia ke oochay hathkanday unki shan men ratti barabar kammi nahee ker saktay. Ta Qayamat ALLAH ke ayaton se takren maarte rahen .... Siddique kee sadaqat kee gawahi ALLAH or uss ka Rasool dete rahen gay.