بنگلہ دیش:شیخ حسینہ واجد کی سیاسی جماعت عوامی لیگ پر پابندی لگا دی گئی

1746940924991.jpeg

بنگلا دیش کی عبوری حکومت نے سابق وزیر اعظم شیخ حسینہ واجد کی جماعت، عوامی لیگ، پر انسداد دہشت گردی قوانین کے تحت پابندی عائد کر دی ہے۔

غیر ملکی خبر رساں ادارے کے مطابق یہ فیصلہ اس وقت تک کے لیے نافذ العمل رہے گا جب تک جماعت کے خلاف مقدمے کی سماعت مکمل نہیں ہو جاتی۔

حکومت کا مؤقف ہے کہ پابندی انسداد دہشت گردی قانون کے تحت لگائی گئی ہے، جس کے تحت کسی بھی ایسی تنظیم کی سرگرمیوں کو روکا جا سکتا ہے جو قومی سلامتی کے لیے خطرہ سمجھی جائے۔

اس کے ساتھ ہی حکومت نے انٹرنیشنل کرائمز ٹربیونل ایکٹ میں ترمیم کی منظوری بھی دے دی ہے، جس کے تحت اب سیاسی جماعتوں اور متعلقہ اداروں کے خلاف قانونی کارروائی کی جا سکے گی۔

دوسری جانب عوامی لیگ نے حکومت کے اس فیصلے کو غیر قانونی اور سیاسی انتقام قرار دے کر مسترد کر دیا ہے۔

واضح رہے کہ شیخ حسینہ واجد نے گزشتہ برس اگست میں ملک گیر عوامی دباؤ کے باعث وزارتِ عظمیٰ سے استعفیٰ دے دیا تھا اور بعد ازاں بھارت چلی گئی تھیں۔ بنگلا دیشی حکومت بھارت سے ان کی حوالگی کا مطالبہ بھی کر چکی ہے۔
 
Last edited by a moderator:

ek hindustani

Chief Minister (5k+ posts)
Bangali theek ja rahe hain.

PTI should have been banned 2 years ago.
...to Bhos DK kar day na.
Tumharay Abba ko roka kis nay hai.
Jahan itna zulm aur jabr kiya wahan ye bhi kar day.
Lekin tu jaanta hai ki aisaa karnay say koi khaas faidah nahi hoga.
Saalay !
Election mein bina kisi Nishaan k PTI nay 180 seats jeet li thi. Tabb tere Abba ko maloom huaa ki ban kaney say koi faidah nahi hoga.
 
Islamabadiya

Suna phir Pajeeet

How is the Josh this morning ? lol 😂
 
BlackBirdSSG

Politcal Worker (100+ posts)
Bangali theek ja rahe hain.

PTI should have been banned 2 years ago.
Not just banned, they should all be killed, similar to how Hitler went after Jews. PTI have no place or space in Pakistan. They have no right to breath air on Pakistani soil.

Is that right?
 
Mocha7

Chief Minister (5k+ posts)
Not just banned, they should all be killed, similar to how Hitler went after Jews. PTI have no place or space in Pakistan. They have no right to breath air on Pakistani soil.

Is that right?
By Almighty's grace Pakistan will crush anti state PTI like it did with MQM.

Baaqi jo Pakistan zindabad ke naare ke saath chale ga usko operate karne ke ijazat rahe ge jaise Altaf Hussain ko crush karne ke baad MQM Pakistan ko ijazat hai.

Reh gai Hitler ke baat, if I had the power tu Khan nahi tu Pakistan nahi kehne walon ko forun encounter karwa deta.

Is ka accha aur asaan hal immediate prosecution and justice system hai. Jese army ne traitor ex-service men ko saza suna de. Jaise UK ne recently within few days, fake news pe riots pe sakht sazaein sunaein theen. Aur fake news social media post pe bhi logon ko jail bhej diya tha..

Hamare judges beghairat hain. Is liye mulk mein sukoon nahi..
 
"Anti-state" declare karna koi Twitter/X ka poll nahi hota jo har doosra banda apni marzi se kar de. Na tum NAB ho, na judiciary, na interior ministry, aur na Army jise politics ka keera ho. Pakistan mein kisi party ya shakhs ko officially anti-state declare karna sirf state institutions ka kaam hai, wo bhi evidence aur court orders ke through, na ke keyboard per apna sarr maar maar ke jazbaati thread ke zariye.

PTI se jitna bhi ikhtilaf ho, jitni bhi buri lagti ho, Imran Khan se jitni bhi nafrat ho, sach yehi hai ke uss ki party aaj bhi ECP mein registered hai, elections larti hai, aur usko crore'on logon ne vote diya hai aur unn ki support haasil hai. Tumharey personal feelings ager hurt hui hain, iss ka ye matlab nahi ke kisi ko traitor bana do. MQM ka example de rahe ho, lekin bhool gaye ho ke Altaf Hussain ko bhi court order ke baad ban kiya gaya tha, aur MQM Pakistan ko kaam karne diya gaya. PPP ki bhi kahaani kuch aisi hee hai.

Aur jo tum "encounter" aur "fake news pe jail" ki baat kar rahe ho na, bro, yeh koi video game nahi chal rahi. Kisi mulk ko banana republic banane ka shortcut hota hai aisay logon ko power milna jo sirf dushmani aur emotional outbursts se mulk chalana chahtay hain.

Judges ko "beghairat" kehna asaan hai jab tum khud law ya constitution ka 'R' bhi nahi samajhtay. Aur agar itna hi masla hai to khud election larke aa jao, court reform le aao, warna kam az kam civil discourse ka tajarba seekho.

Lastly, Pakistan zindabad kehna zaroori hai, lekin uss se kahin zyada Pakistan samajhna zaroori hai.
 
Mocha7

Chief Minister (5k+ posts)
"Anti-state" declare karna koi Twitter/X ka poll nahi hota jo har doosra banda apni marzi se kar de. Na tum NAB ho, na judiciary, na interior ministry, aur na Army jise politics ka keera ho. Pakistan mein kisi party ya shakhs ko officially anti-state declare karna sirf state institutions ka kaam hai, wo bhi evidence aur court orders ke through, na ke keyboard per apna sarr maar maar ke jazbaati thread ke zariye.
Way before the final operation against MQM was started, at least two operations were conducted against MQM. There was no court orders for that. Then there was a time when traitor general Musharraf used MQM for his rule. Later by the grace of the Almighty Pakistan crushed MQM. The period of decades in between, people do know that it is indeed a terrorist and anti state organisation. State actions or no action won't change that.

There are countless post emitting same sentiments like mine on social media. Again state actions or no action won't have any effect on that.
PTI se jitna bhi ikhtilaf ho, jitni bhi buri lagti ho, Imran Khan se jitni bhi nafrat ho, sach yehi hai ke uss ki party aaj bhi ECP mein registered hai, elections larti hai, aur usko crore'on logon ne vote diya hai aur unn ki support haasil hai.
Is se kiya saabit karna chahte ho. Hitler was way popular....
images

France has kicked out popular right wing presidential candidate Le Pen from the next elections. Germany as a first step has labelled highly popular AfD as extremist party. Both of the actions drew wide spread criticism and condemnation from US.

Europe has a specific set of history and memory. They have decided where they want to take Europe and where they do not want Europe to be led to.
Tumharey personal feelings ager hurt hui hain,
Lol tumhara leader mere cycle le kar bhaag gaya hai kiya jo mere personal feeling hurt hogai hon ge.
MQM Pakistan ko kaam karne diya gaya.
You were supposed to contest my arguments, not endorse them. I just wrote that in my post that I am confident and hopeful only non fasadi actors in PTI will be allowed to led PTI and off course work as a mainstream political party.
Aur jo tum "encounter" aur "fake news pe jail" ki baat kar rahe ho na, bro, yeh koi video game nahi chal rahi. Kisi mulk ko banana republic banane ka shortcut hota hai aisay logon ko power milna jo sirf dushmani aur emotional outbursts se mulk chalana chahtay hain.
Acha ab youthiye UK ko democracy sikhaen ge?!?

There was widespread recognition that false claims and online hate contributed to the violence and racism on British streets in August. In their wake, Prime Minister Keir Starmer said social media “carries responsibility” for tackling misinformation.

More than 30 people found themselves arrested over social media posts.
Judges ko "beghairat" kehna asaan hai jab tum khud law ya constitution ka 'R' bhi nahi samajhtay. Aur agar itna hi masla hai to khud election larke aa jao, court reform le aao, warna kam az kam civil discourse ka tajarba seekho.
Lol I don't know why you get so butthurt about my comments on judges. Perhaps you have same crush on Imran khan that some of the judges have. Judiciary is weak, broken and has a tilt towards everyone knows who.

By the way where did you get the what you call licence to ban MQM. Should have gotten it from Sindh high court, but that's was Lahore High court. Because it was always under control of establishment. Was it ethical? No. Was it lawful? That's debate able. But was it necessary. Yep it was necessary.
Lastly, Pakistan zindabad kehna zaroori hai, lekin uss se kahin zyada Pakistan samajhna zaroori hai.
Yeah and what is Pakistan samajhna? پاکستان سمجھنا
Is it some kind of philosophy of yours that I am not interested in. Lastly, I don't waste my energy on engaging with youthiye. You asked a question, to which I replied. You commented on that so I am replying the last time. There's no point of argument when there are so polarised views.
 
BlackBirdSSG

Politcal Worker (100+ posts)
Way before ...
Tumhare reply mein logic se zyada nostalgia aur self-granted moral superiority tapak rahi hai. Tum keh rahe ho ke “State action ho ya na ho, MQM terrorist thi”, O' bhai agar tumharey jazbaat decide karte hain ke kaun terrorist hai, to phir courts, laws aur Constitution ko din raat kyun chaat'te rehte ho? Seedhi terha bolo ke tum Authoritarian ho.

Aur agar tumhare standard pe chalein, to Imran Khan ko bhi kisi zamane mein UN ne "Champion of the Earth" declare kiya tha. Chalo phir woh bhi final verdict maan lein?

Tum France aur Germany ka example de ke khush ho lekin bhool gaye ke wahan har action courts ke zariye hota hai, not basement ke keyboard se ya pindi ke kaale boot pehn'ne aur chaat'ne waalon se. Le Pen ko disqualify karne ka process bhi legal framework ke under hua, na ke kisi Mochi ne Twitter/X pe verdict diya.

Tum keh rahe ho ke "I don’t waste time with youthiyas", magar 500 lafzon ki justification likh di, lagta to nahi ke waste of time lag raha tha. Bas thoda sa koi tumhari baat ka logical dismantling kar de, to foran “Hitler”, “UK riots”, “Imran ka crush” nikal aata hai. Classic deflection move.

Aur haan, agar kisi din judge tumhare haq mein faisla suna dein, to yehi "beghairat" judiciary achanak insaaf ki misaal ban jaye gi, right?

Tum khud likh rahe ho ke MQM ke khilaaf court order Lahore High Court ka aaya, aur keh rahe ho “was it lawful? Debatable”, bhai law debatable nahi hota, clear hota hai. Agar clear nahi hai, to tumhara moral victory bhi ek self-proclaimed delusion hai.

Aakhir mein, “Pakistan samajhna” philosophy nahi, zarurat hai. Kyunki agar har banda Pakistan ki mohabbat ko sirf naaron tak simat de, aur har mukhalif ko “anti-state” keh kar side pe kar de, to phir Russia, China, ya North Korea se farq kya reh jaye ga?

Tumhara opinion tumhare paas mubarak ho, lekin jab tak lawfully koi traitor ya party declare na ho, woh Pakistani hai, aur uski siasat bhi itni hi legitimate jitni kisi aur ki.

Likhne ka shauq zaroor rakho, lekin qanoon ko bhi kabhi kabhar daikh liya karo.
 
Back
Top