Tumhare reply mein logic se zyada nostalgia aur self-granted moral superiority tapak rahi hai. Tum keh rahe ho ke “State action ho ya na ho, MQM terrorist thi”, O' bhai agar tumharey jazbaat decide karte hain ke kaun terrorist hai, to phir courts, laws aur Constitution ko din raat kyun chaat'te rehte ho? Seedhi terha bolo ke tum Authoritarian ho.
Aur agar tumhare standard pe chalein, to Imran Khan ko bhi kisi zamane mein UN ne "Champion of the Earth" declare kiya tha. Chalo phir woh bhi final verdict maan lein?
Tum France aur Germany ka example de ke khush ho lekin bhool gaye ke wahan har action courts ke zariye hota hai, not basement ke keyboard se ya pindi ke kaale boot pehn'ne aur chaat'ne waalon se. Le Pen ko disqualify karne ka process bhi legal framework ke under hua, na ke kisi Mochi ne Twitter/X pe verdict diya.
Tum keh rahe ho ke "I don’t waste time with youthiyas", magar 500 lafzon ki justification likh di, lagta to nahi ke waste of time lag raha tha. Bas thoda sa koi tumhari baat ka logical dismantling kar de, to foran “Hitler”, “UK riots”, “Imran ka crush” nikal aata hai. Classic deflection move.
Aur haan, agar kisi din judge tumhare haq mein faisla suna dein, to yehi "beghairat" judiciary achanak insaaf ki misaal ban jaye gi, right?
Tum khud likh rahe ho ke MQM ke khilaaf court order Lahore High Court ka aaya, aur keh rahe ho “was it lawful? Debatable”, bhai law debatable nahi hota, clear hota hai. Agar clear nahi hai, to tumhara moral victory bhi ek self-proclaimed delusion hai.
Aakhir mein, “Pakistan samajhna” philosophy nahi, zarurat hai. Kyunki agar har banda Pakistan ki mohabbat ko sirf naaron tak simat de, aur har mukhalif ko “anti-state” keh kar side pe kar de, to phir Russia, China, ya North Korea se farq kya reh jaye ga?
Tumhara opinion tumhare paas mubarak ho, lekin jab tak lawfully koi traitor ya party declare na ho, woh Pakistani hai, aur uski siasat bhi itni hi legitimate jitni kisi aur ki.
Likhne ka shauq zaroor rakho, lekin qanoon ko bhi kabhi kabhar daikh liya karo.