By Almighty's grace Pakistan will crush anti state PTI like it did with MQM.
Baaqi jo Pakistan zindabad ke naare ke saath chale ga usko operate karne ke ijazat rahe ge jaise Altaf Hussain ko crush karne ke baad MQM Pakistan ko ijazat hai.
Reh gai Hitler ke baat, if I had the power tu Khan nahi tu Pakistan nahi kehne walon ko forun encounter karwa deta.
Is ka accha aur asaan hal immediate prosecution and justice system hai. Jese army ne traitor ex-service men ko saza suna de. Jaise UK ne recently within few days, fake news pe riots pe sakht sazaein sunaein theen. Aur fake news social media post pe bhi logon ko jail bhej diya tha..
Hamare judges beghairat hain. Is liye mulk mein sukoon nahi..
"Anti-state" declare karna koi Twitter/X ka poll nahi hota jo har doosra banda apni marzi se kar de. Na tum NAB ho, na judiciary, na interior ministry, aur na Army jise politics ka keera ho. Pakistan mein kisi party ya shakhs ko officially anti-state declare karna sirf
state institutions ka kaam hai, wo bhi
evidence aur court orders ke through, na ke keyboard per apna sarr maar maar ke jazbaati thread ke zariye.
PTI se jitna bhi ikhtilaf ho, jitni bhi buri lagti ho, Imran Khan se jitni bhi nafrat ho, sach yehi hai ke uss ki party aaj bhi
ECP mein registered hai, elections larti hai, aur usko crore'on logon ne vote diya hai aur unn ki support haasil hai. Tumharey personal feelings ager hurt hui hain, iss ka ye matlab nahi ke kisi ko traitor bana do. MQM ka example de rahe ho, lekin bhool gaye ho ke Altaf Hussain ko bhi
court order ke baad ban kiya gaya tha, aur MQM Pakistan ko kaam karne diya gaya. PPP ki bhi kahaani kuch aisi hee hai.
Aur jo tum "encounter" aur "fake news pe jail" ki baat kar rahe ho na, bro, yeh koi video game nahi chal rahi. Kisi mulk ko banana republic banane ka shortcut hota hai aisay logon ko power milna jo sirf dushmani aur emotional outbursts se mulk chalana chahtay hain.
Judges ko "beghairat" kehna asaan hai jab tum khud law ya constitution ka 'R' bhi nahi samajhtay. Aur agar itna hi masla hai to khud election larke aa jao, court reform le aao, warna kam az kam civil discourse ka tajarba seekho.
Lastly, Pakistan zindabad kehna zaroori hai, lekin uss se kahin zyada
Pakistan samajhna zaroori hai.