Itna Ghussa ? Tu Naswar main bhi nahi hota bhai. Jawab yeh hai kay tum nay aapni her post main Namaz namaz lagae hoe thi. Mera kehnay ka mutlab yeh tha key tum namaz main ghulti ko eik zani ki ghalti say nahi milla saktay. Aur yeh nahi keh saktay kay kionkay namaz main ghalti hogae tu bunday ko namaz hi perhna nahi aati. Agar compare karna hai tu eik Zani Bhi Islam say kharij nahi hota tu pher eik namaz perhnay main ghalti karnay wala kistarah Islam say kharij Ho sakta hai. Yeh achi batt hai kay tum naswar nahi khatay. Naswar koe achi cheese nahi hai.
Tumharay Ilzamat ki list toh barhti hi chali ja rahi hai.. Tumhara matlab jo bhi ho Mujhe mere pichlay sawalo k jawab bhi chahiye.
- Gaali aur personal attack pehlay kis ne kiya tah??? Tum ne mujh par pehlay gaali aur personal attack ka ilzam q lagaya???
- Main ne kab Zani aur Namaz ka tareeka na aanay walay ko compare kiya bhai???? (zani Allah ko jawab de hai, aur namaz ka tareeka jisay nahi aatah woh bhi Allah ko jawab de hai, main ne kab compare kiya dono ko??)
- Main ne namaz k baaray main kaunsa fatwa diya??? (main ne toh aek banday k baaray main kaha k woh namaz ghalat parhtay huway cameray par pakrha gaya pata nahi cameray k baghair oski namaaz ka kiya haal hoga. Namaz par toh main ne kabhi fatwa nahi diya)..
Aewi fazool main khud say ilzamaat ki list barha rahay ho...
Han agar Zani k khilaf court main koi case hai aur woh osmain guilty hai toh osay wohi karna parhta hai jo court kehta hai, aur shayad yahi Imran khan ne kiya, toh phir issue kiya hai??? Pakistan main shariyat hai k osay sangsaar kiya jae?? Aur kiya kisi dusri jaga gunaah kar k(jaha par gunaah ki punishment/dynamics/law alag ho waha say kisi ko drag kar k kisi shariyat court main phir shariyat k mutabik wali saza di ja sakti hai??? Kiya kisi Islam say be khabar Insan ko sahi maenay main toba k baad oskay pichlay gunaaho k liye oskay hath kaatay ja saktay hai ya sangsaar kiya ja sakta hai??? Yeh sawalaat baad k hai jis par I am sure apko bhi in kay jawabat ka nahi pata hoga. Lakin aek bat jis par shayad saaray hi mutafiq ho woh yeh hoga k jis k sath woh hadsa huwa hai osko insaf milna chahiye, aur shayad Imran khan apni zimedari ab nibah raha hai, baki rahi tumharay dusray ilzam ki baat k imran khan Tyran k baaray main jhoot bol raha hai, I think yaha bhi tum ghalat bayani say kaam le rahay ho, Imran khan hamesha Tyran k maamlay par khamosh raha hai, kabhi oski nafi nahi ki..