Pakistan jahilon ka mulk bann chuka hai, aap sab ki posts dekh kar aur bhi yaqeen ata jaa raha hai. MQM k khilaf hone ka matlab taliban ki himayat nahin hai. Dehshat gard sab barabar hain, chahay wo koi bhi hon. Masla ye hai k MQM ka wawela jo wo taliban k khilaf karti hai, wo iss liyay nahin hai k unn ko dehshat gardi se kisi qisim ki nafrat hai, asal baat ye hai k wo apnay jaraim pe parda dalna chahtay hain. Talibanisation ka karachi se dour dour tak koi wasta nahin hai. magar Altaf hussain ko 2 saal se karachi main taliban nazar aa rahay hain. Aaj kal ka aam chalan hai, jis ko islam se nafrat hai, wo moulvi ya taliban ko gali dene lagta hai. bas asal baat aur sach ye hai. Altaf hussain anti taliban ho ya na ho, he is nothing. wo aik terrorist hai, uss ki apni jamat ne hazaron logon ko qatal kia hai, na janay kitnay mazoor kiyay hain, kitnon ka mustaqbil khatam kar diya hai, aur kitnay aisay hain jo mqm k zulm main pis rahay hain. kahan hai hukoomat ki ritt? 12 May ko MQM ne kia nahin kiya, sab k samnay hai, magar hukoomati writt kahan chali gai??? ye wohi MQM hai jis par 94 main army operation hua tha. aur bilkul sah hua tha, aik dehshat gard tanzeem k khilaf aisa hona hi chahiyay. PPP, PML aur baqi tamam siyasi partiyan dehshatgard nahin hai, unn ka mqm se koi muqabla nahin hai. Rahi baat taliban ki, tou pakistan main buhut se log unn k haami hain. sab k sab america aur maghrib ko sijda nahin karte. Taliban ka jurm kiya hai? yehi k wo islam ka nifaz chahtay hain??... So bismillah, ji aya noon, bhali karay aya, khush amadeed, pakhair raghlay. Islam k liyay jo mulk bana, uss main taliban islam k nifaz ki koshish kar rahay hain, iss main burai kia hai?... aap kehain gay k unn ka tareeqa ghalat hai, ok maan liya, unn ka tareeqa ghalat hai, aap ki baat sahi hai, tou???...iss se unn k maqsad par tou koi haraf nahin ata.. maqsad aur tareeqa do alag alag cheezain hain. acha chain ajain tareeqay pe. Taliban jab afghanistan main aaey thay, tou kis ka tareeqa unn se pehlay acha tha? rasheed dostam ka? shumali itehad ka? ya aaj jo america aur nato hain unn ka??? konsi aisi hukuma thi taliban se pehlay aur baad main jo tashadud nahin karti thi. Dosray tou kufrr k liyay tashadud kar rahay hain, taliban islam k liyay kar rahay thay, aur hain. aap k pas yehi 2 choices hain, ab aap kufr aur islam main se chose kar lain. wese tou khair aap ne kar hi liya hai kafiron ko pasand, magar phir bhi agar zameer ki koi choti si ramaq baqi hai tou aap ko nazar ajaey ga k aap kis k sath kharay hain. Taliban se deal karnay ka ye tareeqa nahin hai k poray k poray cities pe bombari ki jaey. unn k sath bat cheet karna chahiyay thi, unn k sath siyasi tour se deal kiya jana chahiyay tha. wo musalman log hain, aur islam ki baat mantay hain, wo yaqeenan izaat dete agar unn se islami andaz main baa ki jati, magar america k ghulam, 2 , 2 rupay main apni maaon ka soda karnay wali qom kia kar sakti hai siwaey iss baat k k wo taliban aur islam pasand logon ko dehshadgard kahay, aur asli haqeeqi dehshat gardon ko vote de kar asemblion main laey.