Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Musharraf's Name from ECL

jason

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

aap k kia khayal hai fauj jab bhi aai hai awaam k liye aai hai ????

awaam k liye aai hoti to awaam k liye kuch kia bhi hota , yeh to jab bhi aai hai ulta mazeed satya nass kia hai aur satya naas kar k hi gayi hai

yeh jab bhi aai hai apne baironi aaqaon ki marzi aur aashirwad se aai hai aur unhi ki chattar chaaya main 11 , 11 saal hakumat karti rahe hai
Fauj jab bhi aai hukamranon ki kamzori ki wajah say aai
 
jason

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

Pakistan ka satya nass corruption say huwa iss main saab hissa dar hain, awam fauj aur politician, aik institute per zimadari dalna nainsaafi hai
corruption aik bi product hay dictatorial tendencies kaa agar democracy meaning accountability sahih maainon main raij hoti tu yeh sorathaal nah hoti laikin ab kafi awareness aagai hay logon main.
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

Ghair jamhori quwaton ku apni jagah rakhnay kay liay zaroori hay
awam ka hakoomat say mutmain hona
aur awam ka us hakoomat kay peechay huna.

agar aisi soorathaal hui tu foj so bar sochay gi.

Aisi Surat e Haal awwal to hogi nahi

Aur agar kabhi ho gayi to Fauj sochay gi nahi balke us surat e haal ko Tehes Nehes kar de gi apne agenton ke zariye , Pakistan ki Civil Hakumat Bad Tareen ho , Yehi Faj Chahti hai , Fauj agar mukhlis hoti to Pehle zardari ko aur baad main nawaz ko le kar na aati

Pehle Benazer ko Raste se Hataya aur Zardari ko lai
Phir IMran ko Dhaandli se Harwaya aur Nawaz ko Lai
 
aamir_uetn

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

nahi yeh sabit nahi hua

aap cheezon ko ooper ooper se dekh rahe hain tab hi aisi baat kar rahe hain

muamlaat , tareekh , insani kirdar , Siasat par Deep Nazar daal kar dekhain to aap ko Picture Clear nazar aa jai gi

یہ رہی تاریخ، انسانی کردار اور سیاست عزیز من

zia-n-nawaz-jpg.24374

30.jpg

a5-d3otciaa9q7o.jpg

images

35911_411142562327654_1668876607_n.jpg

jason

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

Aisi Surat e Haal awwal to hogi nahi

Aur agar kabhi ho gayi to Fauj sochay gi nahi balke us surat e haal ko Tehes Nehes kar de gi apne agenton ke zariye , Pakistan ki Civil Hakumat Bad Tareen ho , Yehi Faj Chahti hai , Fauj agar mukhlis hoti to Pehle zardari ko aur baad main nawaz ko le kar na aati

Pehle Benazer ko Raste se Hataya aur Zardari ko lai
Phir IMran ko Dhaandli se Harwaya aur Nawaz ko Lai
yeh aik power contest hay aur foj apna power share maangti hay.
aisi sorathaal US ya India ya ab turkey main kion nahi hoti?
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

یہ رہی تاریخ، انسانی کردار اور سیاست عزیز من

zia-n-nawaz-jpg.24374

30.jpg

a5-d3otciaa9q7o.jpg

images

35911_411142562327654_1668876607_n.jpg

main to is baat ka Iqrar Pehle hi kar chuka hoon , mujhe Inkar nahi is baat se
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

yeh aik power contest hay aur foj apna power share maangti hay.
aisi sorathaal US ya India ya ab turkey main kion nahi hoti?

Allah Behtar jane k US , India yah Turkey ki Fauj par KHuda ki maar kuin nahi hai

Yeh power contest sirf politicians k darmiyan hona chahiye tha jaisa India aur dosre mumalik main hota hai , is Power contest main fauj ne baar baar moon maara aur ussi moon marne ka kia dhara hum bhuggat rahe hain

Sirf moon hi nahi maara balke parde k peechay chup kar aur bhi bohut se khel lhele hain
 
تو عزیزم میں بھی تو تاریخ کے ہی آینے میں بات کر رہا ہوں ، تاریخ یہی بتاتی ہے کہ ذاتی معاملہ ہے سارا ، پاکستان کا صرف نام استعمال ہو رہا ہے
 
baad main ka jawab doon ga InshAllah :) abhi mujhe offline hona hai Aziz e Mohtaram :)
 
acha hamari bureaucracy ki misal bhi yahi hay kay isko postings aur promotion kay liay bhi merit ki nahin balkay inkay abro kram kayisharay ki zarorat parti hay.Nawaz shareef kaa bas chalay tu army chief bhi kisi butt ko lagaday 1999 main usnay yeh koshish ki thi kamyab na husaka.

hamari khali jamhoriat hi nahin aur bhi buhut kuch kharab hay (bigsmile)
 
aamir_uetn

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

baad main ka jawab doon ga InshAllah :) abhi mujhe offline hona hai Aziz e Mohtaram :)

مجھے امید ہے آف لائن ہونے کے بعد آپ جلد لائن پے آ جائیں گے ، میرا مطلب ہے جلدی ان لائن آئیے گا
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

تو عزیزم میں بھی تو تاریخ کے ہی آینے میں بات کر رہا ہوں ، تاریخ یہی بتاتی ہے کہ ذاتی معاملہ ہے سارا ، پاکستان کا صرف نام استعمال ہو رہا ہے

nawaz ka fauj se takrao purana hai , mujhe yeh zaati muamla nahi lagta lekin choonke musharraf ne naaz k saath bohut ziadati ki lihaza nawaz k dil main intaqam wali baat ko radd nahi kia ja sakta
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

yeh aik power contest hay aur foj apna power share maangti hay.
aisi sorathaal US ya India ya ab turkey main kion nahi hoti?

Pakistan ka satya nass corruption say huwa iss main saab hissa dar hain, awam fauj aur politician, aik institute per zimadari dalna nainsaafi hai

تو عزیزم میں بھی تو تاریخ کے ہی آینے میں بات کر رہا ہوں ، تاریخ یہی بتاتی ہے کہ ذاتی معاملہ ہے سارا ، پاکستان کا صرف نام استعمال ہو رہا ہے

Tasweer main Qazi Hussain Ahmad bhi maujood hai

images
 
aamir_uetn

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

nawaz ka fauj se takrao purana hai , mujhe yeh zaati muamla nahi lagta lekin choonke musharraf ne naaz k saath bohut ziadati ki lihaza nawaz k dil main intaqam wali baat ko radd nahi kia ja sakta

عزیز من عشق پرانا ہے ٹکراؤ تو اب شروع ہوا ہے جس سے یہ ثابت ہوتا ہے کہ سب ذاتی مایہ ہے سمجھا کریں
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

laikin betay bananay ka haq Nawaz sharif nay ada kia (bigsmile)
jabhi PM aur CM bhi bana

har mauqay par fauj ne kisi na kisi civilian leader ko dassa hai , zia ne bhutto ko dassa tha
 
Sohraab

Prime Minister (20k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

عزیز من عشق پرانا ہے ٹکراؤ تو اب شروع ہوا ہے جس سے یہ ثابت ہوتا ہے کہ سب ذاتی مایہ ہے سمجھا کریں

mere khayal se kisi had tak zaati hai mukammal nahi
 
jason

Chief Minister (5k+ posts)
Re: Supreme Court Suspends Sind High Court Verdict of Removing Busharraf's Name from ECL

mere khayal se kisi had tak zaati hai mukammal nahi
zaati iskay way of governance sy hay yeh sarkari afsaron ku bhi zaati mulazmon ki trah treat karna chahta hay aur ju nahi iski marzi par chalta uskay magar parh jata hay.
 
Back
Top