QALAB KI PERWARISH

QALAB KI PERWARISH

Jo insaan ALLAH Jalle shan a hu tak pohanchnain ka irada kerta hay , wohi insaan apnain Qalb ki hifazat kerta hay , Kioon k ALLAH Tabarik wa Taala tak pohanchnain k raastay Qalab or rooh tay kertay hain or dunia k faslay aqal or jism tay kertay hain.
Jisnain apnain dill ki hifazat kerlee us ki rasaie aik din ALLAH pak k Habeeb Serkaar e Do Aalam Hazoor Nabi e Akran (SAW) tak ho jay gi or Qalab ki hifazet wo log kertay hain jo buraiyon ko terk kernain ka Irada ker laytay hain.
Jisnain apnain ooper Badee k derwazay band ker liye us nain nafas ki mout ka saaman kia, or jis nain nafas ki mout ka saaman kia us nain ALLAH Jalle shana hu or un k Habeeb e paak (SAW) ki khushnudi ka saaman kia. Jis nain ALLAH k dushman ko halak ker daala us nain Maabood ki khushnoody hasil kerli, Phir Maabood un k saathi ban jatay hain, Un ka irada ban jatay hain or un ko bin mangay ataa fermatay rehtay hain.
Qalab ki perwarish naik amal hay or is ki zindagi ka daro madar ALLAH Jalle Shana hu or un k Habeeb ( SAW) ki muhabbat hay jab is muhabbat main mubtila hota hay to ziker e Rasool (SAW) main masroof ho jata hay or jab ALLAH ki muhabbat main mubtila hota hay to ALLAH ka ziker ker ta hay or ALLAH ko ALLAH say talab kerta hay phir wo taalib e mola ho jata hay or dunia or akhirat ki zangeer say nikal jata hay phir wo ALLAH ki zangeer main aa jata hay phir sirf ALLAH ka ziker reh jata hay. ALLAH k ziker main itna gharq ho jata hay k wo ALLAH ko ALLAH say talab kerta hay na dozakh ka khial na jannat ka. Jab ALLAH ka noor rooh ki ghiza banta hay tp ik saroor wa mastee or madhoshi main hota hay leikin madhosh ho ker bhi bahosh hota hay.
Is aalam ko aalam e salook kehtay hain or jo ye rah tay ker layta hay usay saalik kehtay hain. ALLAH Jalle Shana hu ka inaam e khass jo bandon ko ata hota hay wo us ka qurb hay. Is say bher ker koie naamat or dolat ho hi nahien sakti. Jin ko Ye naamat milli unhon nain sab naamaton ko terk kerdia or is naamat k shuker main mashghool ho gay, or phir..................................... kisi or shay ki fursat na rahi.
ALLAH tabarik wa taala hamain apnain qalb ki sahee manon main perwarish kernain ki tofeeq ata fermay.......... ( AMEEEN )
 

pirsab101

Citizen
Allah ke zikr ka tareeqa humain Rasool Allah (Salalahu Alaihe Wa'alihi Wassalam) ne bataya hai, jiss main Azkaar mukhtalif auqaat ke azkaar shamil hain.
Bidaat bayan kar ke logon ko gumrah na karain.
May Allah guide you to the straight path of Quran O Sunnah.