irfanullahsaif
New Member
Nawaz Sharif, aap ne Sarhad Assembly ke qarardad ka ihteram na karke na sirf ANP ko 2 saal tak siasat chamkanay ka moqa faraham kia, balke khud ko bhi ek intehaye doghla insan sabit kardia, jo ek taraf tu khud ko jamhoriat ka alambardar samajhta hai aur Assembly ki baladasty aur ihteram ki baat karta aur Assembly ke plat form se 17th tarmeem ke khatam karne ko kehta hai (jo aap ke mafad me ta), tu dosri taraf Sarhad Assembly ki pehlay se mojod qarardad ki tauheen karke apna manpasand naam tok detay ho, tareekh sabit karegi ke tum ne qarardad ka ihteram na karke 2 big bluders kiay ek tu khud ko credit se mahrom rakha, jo aap ye kehkar le sakte te, ke me ne Sarhad Assembly ke qarardad ka ihteram karke us ke manzor karda naam ko qabol karlia, tu awam aap se impress hojate aur samajh jaate ke Nawaz Sharif baja tawar par Assembly ki baladasty aur ihteram ki baat karta hai q ke woh khud bhi us pe amal karta hai. Lakin mojoda rawayye se tu aap ne khud ko ek taraf tu ek matlab parast siasatdan sabit kar dia, jisko jamhori amal sirf apnay maqsad ke khad tak aziz hota hai.Dosri taraf aapne ANP ke khelaf pukhtunon ke nafrat ko hamdardi me badal dia, jo pukhtunon ko ANP se us waqt hogai ti jab unhon ne Abbot Abad se jalos nekalkar wahan ke logon ke khelaf zahar aalod alfaz istemal karke un ko Pukhtun Khwa ke Khelaf uksaya ta, jab ke aap ne 2 saal tak es naam ko masala bana kar district Hazara ke awam me lesani taassub ko khob bedar karke un ko Pukhtunon se mutanffir karne ki koshish ki. Akhir hamare sobay me tum ko ye mudahilat ka haq kis ne dia hai jabke tum apne sobay me sadar pakistan ki mudahilat ko bhi bardasht nahi karsakte, jis ka sabot aap ke party ne sadar ke halia dora lahore ke moqa par farahm kia, ke aap ke party k kuch log tu sadar ke aamad se pehle hi rafo chakkar hogai, aur jo mojod rahe, tu un me se bhi ek ne "jab sadar ne ye kaha ke me punjab har mahine aaonga aur darbar sajonga" kaha ke agar sadar darbar sajainge tu hum darbari nahi banegay. Ye woh sawalat hai jo umar bhar aap ka peecha nahi chorain gi. Aap andaza es chez se laga sakte hai ke me aap ka a maddah (fan) ta aur aaj aap ke es rawayye ki waja se me bhi aap se mutanaffir hogia baqi ka andaza aap khud kare.